Question: Agar shohar ko talaq dene pe majboor kia ho to talaq baatil hogi. Kya aurat abhi bhi us mard ki biwi hogi? Agr han to ye bat larkay walo ko kese smjhain aesi surat mein larki kya kare. Kya wo dusri shadi krle?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya ke mutabiq, bilkul aisa hi hai ke agar shohar ko talaq dene pe majboor kiya jaye to ye talaq baatil hogi aur wo dono shohar aur biwi hi rahen gay. aur shadi shuda larki ke liye kisi dusre mard se shadi karna Haram hai. Han agar larki ko kisi dusre mard se shadi karni hai to larki ko chahiye ke shohar se baat kare aur use kahe ke tamam sharaait aur raza mandi ke saath larki ko talaq day aur tamam sharaait ke saath talaq sahi hone ki surat me larki iddat guzaray gi aur iddat guzarnay ke baad larki kisi dusre mard se shadi kar sakti hai. 2: Larkay walon ko samjhane ki koshish ki jaye ya phir darj zel numbers par un ki baat karayei jaye taake un ko sharaei masleh se aaghah kiya jaa sakay. Office Timing: 2:00 PM - 9:00 PM Tel: (0092-21) 32226948 Tel: (0092-21) 32237207 (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462,2472,2475). [Updated on 13-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Maine apni wife ko talak diya.aur mere 2 bachhe h..aur wo pregnant v h 2 months ki...aur jb Maine talak diya ..tb mujhe kuch yaad v nhi rha .please iska hal bataye...
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq talaq ke sahi hone ki chand sharaait hain ke agar talaq ke waqt un tamam sharaait ki pabandi ki jaye tab talaq sahi shumar hogi lakin agar is tamam sharaait me se kisi aik shart ki pabanadi nah ki jaye to Talaq sahi nahin hoti, aur jab talaq sahi nah ho to wo dono shohar aur biwi hi rahen gay. Talaq ki sharaait: 1-Talaq ke waqt aurat haiz or nifaas se paak ho or is paaki ke dauraan mard ne jima (intercourse) nah kiya ho. Agar aurat ko haiz ya nafaas ki haalat mein hai to is surat mein 3 surton mein talaaq dena sahi hai: (1) Shohar ne nikaah ke baad us se hambistari na ki ho. (2) Maloom ho ke wo hamilaa hai aur agar ye baat maloom na ho aur shohar use haiz ki haalat mein talaaq day day aur baad mein shohar ko pata chale ke wo hamilaa thi to wo talaq baatil hai aur ehtayaat ka khayaal rakhna behar haal behtar hai. agarche dobarah talaaq dene se ho. (3) Mard ghair hazri ya kisi bhi aur wajah se agarche apni biwi ke makhfi rakhne ke sabab ye maloom nah kar sakta ho ke wo haiz ya nafaas se paak hai ya nahin. Lekin is surat mein ehtayaat-e-waajib ki bina par zaroori hai ke mard intizaar kare taakeh biwi se juda hone ke baad kam az kam aik mahina guzar jaaye us ke baad use talaaq day. 2-Talaq zabaani di jaye yani likh kar talaq dena baatil hai aur talaq nahin kehlaay gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main parha jaye. 4-Talaq do aadil (jo zaahiran gunahgaar nah hon aur wajib kamon par amal karte hon aur haram kamon se bachte hon) gawahon ki maujoodgi main di jaaye. 5-Zaroori hai ke mard talaq apne ikhteyaar se day aur agar use apni biwi ko talaq daine par majaboor kiya jaaye to talaq baatil hai. 6-Mard talaq ke waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaaq sahi nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462,2472,2475). [Updated on 22-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Janab kiya dil main biwi ko talaq dene se talaq ho jati hai ya nai
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq is tarah talaq nahin hoti, balke talaq ke sahi hone ki chand sharaait hain ke agar talaq ke waqt un tamam sharaait ki pabandi ki jaye tab talaq sahi hogi lakin agar is tamam sharaait me se kisi aik shart ki pabanadi nah ki jaye to Talaq sahi nahin hoti, aur jab talaq sahi nah ho, dono shohar aur biwi hi rahen gay. Talaq ki sharaait: 1-Talaq ke waqt aurat haiz or nifaas se paak ho or is paaki ke dauraan mard ne jima (intercourse) nah kiya ho. 2-Talaq zabaani di jaye yani likh kar ya dil main talaq dena baatil hai aur talaq nahin kehlaay gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main parha jaye. 4-Talaq do aadil (jo zaahiran gunahgaar nah hon aur wajib kamon par amal karte hon aur haram kamon se bachte hon) gawahon ki maujoodgi main di jaaye. 5-Zaroori hai ke mard talaq apne ikhteyaar se day aur agar use apni biwi ko talaq daine par majaboor kiya jaaye to talaq baatil hai. 6-Mard talaq ke waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaaq sahi nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462,2472). [Updated on 07-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera talaq ho gaya h aur us dauran Mai haiz ki halat me thi to Kya talaq maana jayga
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq is tarah haiz ki halat me talaq sahi nahin hoti, Q ke talaq ki sharaait me se aik shart ye hai ke talaq ke waqt aurat Haiz aur Nifaas se pak ho aur is paaki ke dauraan mard ne jima (intercourse) nah kiya ho. lihaza haiz ki halat me di gayei talaq sahi nahin hai aur jab talaq sahi nah ho, to dono miyan, biwi hi rahen gay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472). [Updated on 26-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Wife ko husband kahe mene Tumhe talak de di seegy b parhwa Liye or zabardasti Ghar se Nikal k dusri shadi kar k bad me kaha mene talak nahi di na he seghy parhwae esi condition me orat kia kare ?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq, talaq ke sahi hone ki chand sharaait aur bhi hain ke agar talaq ke waqt un tamam sharaait ki pabandi ki jaye tab talaq sahi hogi lakin agar is tamam sharaait me se kisi aik shart ki pabanadi nah ki jaye to Talaq sahi nahin hoti, aur jab talaq sahi nah ho, dono miyan, biwi hi rahen gay. Talaq ki sharaait: 1-Talaq ke waqt aurat haiz or nifaas se paak ho or is paaki ke dauraan mard ne jima (intercourse) nah kiya ho. 2-Talaq zabaani di jaye, lihaza likh kar talaq dena (yani divorce paper par sign karne se talaq) baatil hai aur talaq nahin kehlaay gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main parha jaye. 4-Talaq do aadil (jo zaahiran gunahgaar nah hon aur wajib kamon par amal karte hon aur haram kamon se bachte hon) gawahon ki maujoodgi main di jaaye. 5-Zaroori hai ke mard talaq apne ikhteyaar se day aur agar use apni biwi ko talaq daine par majaboor kiya jaaye to talaq baatil hai. 6-Mard talaq ke waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaaq sahi nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472). [Updated on 26-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam. Mery husband or meri kafi time se bhes chal rahi thi. Mery husband ne muje kaha hai (jao talaq deta hu mein) Or yehi line 2 bar kahi hai muje . Or us waqt uske or mery siwa or koi nahi tha. To kia muje 2 talaq hogai hai ?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain. Agar aap taaluq kisi dusre fiqah se hai to aap apne kisi maulana se is silsilay me ruju karen). Fiqh e jafferiya ke mutabiq, aisi talaq sahi nahin hai balke talaq ke sahi hone ki chand sharaait hain ke agar talaq ke waqt un tamam sharaait ki pabandi ki jaye tab talaq sahi hogi lakin agar is tamam sharaait me se kisi aik shart ki pabanadi nah ki jaye to Talaq sahi nahin hoti, aur jab talaq sahi nah ho, dono miyan, biwi hi rahen gay. Talaq ki sharaait: 1-Talaq ke waqt aurat haiz or nifaas se paak ho or is paaki ke dauraan mard ne jima (intercourse) nah kiya ho. 2-Talaq zabaani di jaye, lihaza likh kar talaq dena baatil hai aur talaq nahin kehlaay gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e taaliq (طالق) ke sath parha jaye. 4-Talaq do aadil (jo zaahiran gunahgaar nah hon aur wajib kamon par amal karte hon aur haram kamon se bachte hon) gawahon ki maujoodgi main di jaaye. 5-Zaroori hai ke mard talaq apne ikhteyaar se day aur agar use apni biwi ko talaq daine par majaboor kiya jaaye to talaq baatil hai. 6-Mard talaq ke waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaaq sahi nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472). [Updated on 04-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya talak k seeghy phly ak gawah k samny parhny se aur phr dusry gawah k samny parhny se talak ho jati hai ya bayakwaqt donu gawaho k samny seeghy parhny hungae?
Answer: Talaq ka Sigha jaari karte waqt do adil mardon ka haazir hona aur Talaq ke seeghay ko aik sath sunna zaroori hai; is soorat ke alawa, Talaq baatil hai. maslan agar un do logon mein se koi aik Talaq ke Sighay ko sunay aur is ke baad Talaq ke Sighay ko takraar kiya jaye aur doosra fard bhi sun lay, to ye kaafi nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #4, edition #1443, maslah #522). [Updated on 18-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Me apni Ami k ghr rehny ai hn aik mahiny sy or mery shohar ny muj ye msg kia "Ajeb baten nhi yehi Haqeqt h... Tume Talak dy kr wohi raho..." Kia aik talaq ho gai ??
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, aise talaq nahin hati. Albatta biwi ke liye shohar ki ijazat ke baghair us ke ghar se baaher jaana Haram hai, chahe biwi ka ghar se baaher nikalna shohar ke haq ke manafi ho ya na ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376,2462 to 2472). [Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Talak ki jo condition ha kia wo ap kay letter head kay sath pdf formt may mil sakti hain Mary naam kay sath bcz may wo dikhani hain kisi ko
Answer: ( https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamiclaws.sistani ) Yeh Aqai Sistani (d.b) ki mob app hai iss me apko talaq ki tamam sharait asani se mil skti hai. [Updated on 15-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr husband just 1 notice bhjy TU divorce ho jti h ya ni
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain. Fiqh e jafferiya ke mutabiq, Jab tak shohar khud mukammal sharaait ke saath talaaq na day tab tak talaaq sahi nahin hoti. Note: Fiqh e jaffariya men talaq ki sharait ke mutabiq likh kar (written) talaq dena ya qanooni (court divorce) talaq dena baatil hai is tarah talaq nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2492). [Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]