Question: mene majburi mein nabi(saw) ki kasam li..aur majburi mein todi...mein ab kya karun?
Answer: Ye Qasam sharaee aytbar se sahi hi nahi hai. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Apni biwi ka khana par koi kasam kata hai ka woh kisi ladki se baat nahi kara ga, aur woh bas apni biwi ki jaan bacha na ka liya kharaha hai toh uska kya kuffara hai? pls reply as soon as possible? waiting?
Answer: Ye Qasam sharaee aytbar se sahi hi nahi hai. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: janab agar kuda sa waada kar ka osa pura na kiya jae to iss ka kaya anjaam ha
Answer: Agr apne Allah se Wada krte wqt is tarah ka jumla kaha tha k “Men Allah se Ahad krta hun” to is ahad per amal na krne ki surat men ap gunahgar hen or zaruri hai k kaffar den aur is ka kaffara 60 faqeero ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai. Lekin Agr apne zaban is tarah ka jumla ada nahi kiya to ap per shareeat ki janib se koi hukm nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2631,2632). Update on dated 31-07-2015.. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agar koi shaks kisi kaam ko na karne ki kasam khaye aur kasam ye ho k agar mene ainda falaan kaam kiya to meri biwi mujh pe talaaq 3 aur phir wo kaam kar bethe to kya talaaq waqia ho jae gi ?
Answer: Jee nahi is se talaq nahi hogi or ye qasam sahi nahi hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 498, Eidition 1417 hij). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Halaf torny pa insan k sath kia ho skta ha us ko kin kin halat sy guzarna perta ha
Answer: Agr wo us sharee qasam k khilaf amal kre to wo gunahgar hai or zaruri hai k kaffar de, or kaffare men 10 faqeeron ko pet bhar kr khana khilaye ya phir unko libaas pehnaye or agr in kamon ko anjam na de sakta ho to zaruri hai k 3 din musalsal roze rakhe. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kasam aur us k types pata de...!! quran or sunnah se relaye kr k.
Answer: Qasam ki 2 qismen hen. 1) kisi kaam ko anjaam dainay ya terk kerne ki qasam.maslan Jab koi shakhs qasam khaye k falan kam anjam dega ya tark karay ga maslan qasam khaye k roza rakhe gay a tambakoo istemal nahi karay ga, Is (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-2634) 2) – sach ya jhoot ki tasdeeq ki qasam.Agar koi shakhs qasam khaye k me jo kuch keh reha hoon sach keh reha hoon to agar sach keh reha ho to ye qasam khana makrooh he aur agar jooth bool reha ho to haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638) Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam meri wife ne muj se Quran pak pe kasam li hai ke me dosri larkio se na bat karon namilon lekna me ye kasam pori na kar saka pleas muje barbani kar ke kafara ka tareka batan ar is kasam se me kis tara azad ho sakta hon
Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya mannat mangan gunah hai ya nahi?
Answer: Jee nahi ye gunah nahi hai ye bilkul jaiz hai, lekin Nazar sahi ho or nazar or mannat manne wala shakhs jan bhooj kr bad men usko pura na kre to ye gunah hai, lehaza use chahiye k wo kaffara de, or kaffar ye hai k 60 faqeeron ko pet bhar kr khana khilye ya phir 2 mahine musalsal roze rakhe.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2604-2632). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: sir mai nai is dafa 10 muharum ko imam barghah sai ring ki manat uthae hai k jahan mai chati hun meri shadi wahan ho jahai or ALLAH ki raza or khushnudi sai ho jahai ...kia ye manat theek hai or kia ye manat puri hogi ...plz reply..
Answer: Jee nahi ye Mannat thik nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2603-4). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sir maney ak mushkil ma akey quran pak ki kasam khai ha is gunha ki kasey mafi ho ge pls reply me
Answer: Ye qasam sahi nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).