Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 13964
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr aik shakhs ki sirf aik bety ho to warasat k kya ahkamat hn

Answer: 1: Meeras ki taqseem k liye marhoom k rishte daron k 3 Groups (tabqe) bante hen, or ye tarteeb-waar (number wise) hen, yani jab tak pehle tabqe k afrad mojud hon chahe ek fard hi Q nah ho meeras dusre tabqe k afrad ko nahi milti. 1st Group: Marhoom ke Maan, Baap or aulad hote hen. 2nd Group: Marhoom ka Dada, dadi, nana, nani, behn or bhai hen. 3rd Group: Marhoom ka chaha, phophi, mamu, khala hote hen. Or jab tak ek tabqe k afrad mojud hon chahe ek hi fard ho us waqt tak meeras us k baad wale tabqe ko nahin di jaigi. 2: Agar marhoom ka waris faqat aik fard ho to marhoom ka poora maal usi ko hi mile ga. (Ref: Ayatullah Ruhollah Khomeini, Tauzeeh ul masael, Mafhoom e Maslah # 2724,2727) [Updated on 23-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14019
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam-u-Alaikum, sir mery dada ki death hogai hai or un k 6 beton me se 1 ki death hogai.. to dada k ghr ka hissa un k marhoom bety ki family ko diya jaega? Ya sirf 5 hissy hongy?

Answer: Agar baite ka inteqal apne walid ki zindagi main hoa tha tu 5 baiton main baraber baraber taqseem kar di jaey gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus saliheen, part #3, maslah #991). [Updated on 03-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14179
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: beti ka apny bap ki jaedad kotna hisa hota hai or aik bewa ka apny shohar ki jaedadme kitna hisa hota hai.us ko kos tarha taqseem kia jata hai.

Answer: Meeras ko sharae taur par taqseem kiya jaye ga. Insan ki mout k baad us ki biwi ko ghar ki zameen men say koi hissa nahi milta or nah hi us ki qeemat karwany ki soorat men koi hissa milta hay lekin ghar ki emarat men wesy to us ka hissa nahi banta magar us ki qeemat karwae jaey to us emart ki jo qeemat hogi us men hissa milta hay or jo cash ya gold ho ya jo jaedad ho to sab men biwi ka 1/8 (aathwan) hissa banta hay agar aulad ho to, or baqi jaidaad aulad men taqseem ho gi, is tarah se k har beti ko aik or har betay ho dogna(double) hissa milta hay, or mazeed tafsilaat k liay ham say contact karen, (Ref: Aayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2215/2694/2728) [Updated on 01-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14259
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mare walid ke intikal ke 48 days bad mare bhai ke death ho Gaye ab wwrasat main us ke bachon ka hissa banta ha ? Agar banta ha to kitna

Answer: Meeras ki taqseem k liye marhoom k rishte daron k 3 Groups (tabqe) bante hen, or ye tarteeb-waar (number wise) hen, yani jab tak pehle tabqe k afrad mojud hoon chahe ek hi fard Q nah ho meeras dusre tabqe k afrad ko nahi milti. 1st Group: Marhoom ka Baap, Maan or aulad hote hen. 2nd Group: Marhoom ka Dada, dadi, nana, nani, behn or bhai hen. 3rd Group: Marhoom ka chaha, phophi, mamu, khala hote hen. Or jab tak ek tabqe k afrad mojud hon chahe ek hi fard ho us waqt tak meeras us k baad wale tabqe ko nahi di jaeygi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Maslah #2691). (Note: Jee nahin, Bachon ka us jaidad men koi hissa nahin hai Q ke Marhoom ki wafat ke bad jo Marhoom ki jaidad hoti hai wo jab tak marhoom ka pehla tabqa mojud ho unko milay gi, lihaza dosre tabqe (yani aulad ki aulad) ko nahin milay gi ). [Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14264
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: !اسلام وعلیکم Hounrable Sir, mari tabiyat kuch thik nahi mare parents hayat hain, meri 1 Biwi 1 beta aur aik beti hai. Ess k elawa mere 3 bhai aur 2 behne hain. Kindly, mere property kase taqseem ho gi.

Answer: Q ke fiqhi masla ye hai ke Kisi bhi shakhs ki zindgi men meeras taqseem nahin hoti. Han aap apni jaidad(property) tuhfe(gift) ki surat men apni zindgi men hi jis ko chahen de saktay hain or kam ziyada bhi de saktay hain. aur aap ki marzi hai agar Aap kisi ko dena chahay tou de sakte hai lekin marne k baad aap k maan, baap, zoja or aulaad ko hissay diye jaaen gay, aulaad mai betiyon ko beton ki nisbat aadha hissa diya jaaye ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, edition #42, maslah #2691,2694). [Updated on 24-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14327
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Walda ki property.me.bachon ka hoq hota he ya nhi.

Answer: Bilkul hota hai. Aulaad meeraas k pehlay tabqay mai hai lehaaza walida ki property sai aulaad ko un ka hissa milay ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2691). [Updated on 07-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14345
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Biwi ki milkiyat sohar ki hoti hai ya aaulad ki

Answer: Jee dono ki hoti hai albatta jaidad ki taqseem men farq rahe ga. Agar aurat bay aulad mar ajey tu os k saare maal ka nisf(Half) hissa shohar ko aur baqi maandah doosre warasaa ko milta hay. or agar aurat ki usi shohar se ya kisi or shohar se aulad ho tu saare maal ka chothae(1/4) hissa shohar ko or baaqi maandah doosre warasaa ko milta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2727). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14346
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya koi shakhs apni puri jaedad ek bete ko wasiyat kr skta hai??

Answer: Jee han kar sakta hai. Wasiyat ye he k insan takeed karay k os k marnay k bad os k lie falaan kam kiay jain ya ye kahay k is k maal me se falan cheez os k marnay k bad falaan shakhs ki milkiyat ho gi, ya khayraat ki jay , ya apni aulad k lie. Jo shakhs wasiyat karay wo zurari he k baligh aur aaqil ho aur apnay ikhthiyar se wasiyat karay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2687,2690). [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14495
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar kisi shakhs ki sirf betyan ho aulad me beta na ho or usky waldain b fot ho chuly hon to uski jaidad men usky bad baki rishtedaron yani bhatijon or bhanjo ka hisa lagta hy ya nahi? Ya tamam jaidad ki waris betyan hongi

Answer: Meeras ko sharaei taur par taqseem kiya jaye ga. Insan ki mout k baad agar us ki biwi mojod ho to us ko ghar ki zameen men say koi hissa nahi milta or nah hi us ki qeemat karwany ki soorat men koi hissa milta hay lekin ghar ki emarat men wesy to us ka hissa nahi banta magar us ki qeemat karwae jaey to us emart ki jo qeemat hogi us men hissa milta hay or jo cash ya gold ho ya jo jaedad ho to sab men biwi ka 1/8 (aathwan) hissa banta hay agar aulad ho to, or baqi jaidaad betiyon men barabar barabar taqseem ho gi, isi tarah agar biwi mojod nahin hai to tamam ki tamam jaidad betiyon men barabar barabar taqseem hogi. (Ref: Aayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2691,2694,2728) (Note: Marhoom ki aulaad(betiyan) hone ki soorat main bhatijon, bhanjon ko meeras nahin mile gi ). [Updated on 12-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14617
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.o.A Agar Kisi Ke husband ke death hojai or uske wife apni Choty Bachon ko Dada ke ghar chorkar dosry shadi karlay to uske marhoom chohar ke paison par uska kitna hisa banta hai.

Answer: Meeras ko sharaei taur par taqseem kiya jaye ga. Insan ki mout k baad us ki biwi ko ghar ki zameen men say koi hissa nahin milta or naa hi us ki qeemat karwany ki soorat men koi hissa milta hay, lekin ghar ki emarat ki qeemat men hissa milta hay, or biwi ki ijazat ke baghair baqi wurasa ghar istemal nahin karsakte. Agar biwi ki aulad bhi ho to cash, gold or doosri jaedad men biwi ka 1/8 (aathwan) hissa banta hay. Biwi ka hissa dene ke bad baqi jaidaad aulad men taqseem ho gi, is tarah se k har beti ko aik or har betay ho dogna(double) hissa mile ga, or mazeed tafsilaat k liay ham say contact karen. (Note:Shohar ke marne ke baad zouja ke doosri shadi kar lene se bhi meeras men koi farq nahin parta.) (Ref: Tauzeeh ul masael, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2215/2694/2728). [Updated on 30-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!