Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 13406
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum janab, aik banday ki aulaad nai hai, do biwiyan hai, aik taya ka beta or teen betiyan hai aur behan ki death ho gai hai or behan k 4 betaytay or 2 betiyan hain, un main kis tarah wirasat taqseem ho gi

Answer: Meeras ki taqseem k liye marhoom k rishte daron k 3 Groups (tabqe) bante hen, or ye tarteeb-waar (number wise) hen, yani jab tak pehle tabqe k afrad mojud hoon chahe ek hi fard Q nah ho meeras dusre tabqe k afrad ko nahi milti. 1st Group: Maan, Baap or aulad hote hen. 2nd Group: Dada, dadi, nana, nani, behn or bhai hen. 3rd Group: chaha, phophi, mamu, khala. Or jab tak ek tabqe k afrad mojud hon chahe ek hi fard ho us waqt tak meeras us k baad wale tabqe ko nahi di jaeygi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2691). [Updated on 12-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13424
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Haqmair ma gold dia gaya phr bivi fot ho gai kia wo gold shoher apnay kise batay ko da sakta ha

Answer: Huq mehr ada karne k baad wo bivi ki milkiyat shumaar hoa or os k inteqal k baad os ki meras os k shohar, os ki aulad or os k maa, baap main shariat k mutabiq taqseem hoga.(Ref: Tauzihul masael, Ayatullah sistani, maslah#2690 & 2692) [Updated on 25-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13456
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam u alykum mera sawal ye hai k walid ki fot k bad jaedad mai batwara walda k hayat hote huwe hon chaiye ya nahi

Answer: Jee han, Walida ki zindgi men hi meeras ko taqseem kiya jaye ga. Aur Insan ki mout k baad us ki biwi ko ghar ki zameen men say koi hissa nahi milta or nah hi us ki qeemat karwany ki soorat men koi hissa milta hay lekin ghar ki emarat men wesy to us ka hissa nahi banta magar us ki qeemat karwae jaey to us emart ki jo qeemat hogi us men hissa milta hay or jo cash ya gold ho ya jo jaedad ho to sab men biwi ka 1/8 (aathwan) hissa banta hay jab k aulad ho to or baqi jaidaad aulad men taqseem ho gi, is tarah se k har beti ko aik hissa or har bety ho dogna(double) hissa milta hay, or mazeed tafsilaat k liay ham say contact kren,Contact: Email: info@qoitrat.org (Ref: Aayatullah Seestani (d.b), Tauzeehul masael, Edition# 39, Mafhoom e Maslah # 2694,2727,2728) [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13463
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal ye hai k agar walid ko dada ki taraf se jaidad me hisa mil jaye. Aur walid bacho me takseem ni krta. Khud bech k khata hai tu kya bachy walid se hisa mang sakte hain?

Answer: Meeras ki taqseem k liye marhoom k rishte daron k 3 Groups (tabqe) bante hen, or ye tarteeb-waar (number wise) hen, yani jab tak pehle tabqe k afrad mojud hoon chahe ek hi fard Q nah ho meeras dusre tabqe k afrad ko nahi milti. 1st Group: Marhoom ka Baap, Maan or aulad hote hen. 2nd Group: Marhoom ka Dada, dadi, nana, nani, behn or bhai hen. 3rd Group: Marhoom ka chaha, phophi, mamu, khala hote hen. Or jab tak ek tabqe k afrad mojud hon chahe ek hi fard ho us waqt tak meeras us k baad wale tabqe ko nahi di jaeygi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2691). (Note: Jee nahin, Bachon ka us jaidad men koi hissa nahin hai Q ke Marhoom ki wafat ke bad jo Marhoom ki jaidad hoti hai wo jab tak marhoom ka pehla tabqa mojud ho unko milay gi, lihaza dosre tabqe (yani aulad ki aulad) ko nahin milay gi. (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 35th, Mafhoom e Maslah #2691). [Updated on 28-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13603
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir mery dada k 4 bety thy.mery dada ny mery aik chachu k death k bad mery abu aur 2 chachu k nam sari jaidad lga di..to kia ab mery 4th chachu ki olaad ka is me koi hisa banta ha..

Answer: Agar marhoom ne zindagi main hi apna tamaam maal apne baito ki milkiyat main day diya tha tu phir meras main kisi ko kuch nahi mile ga. (Ref: Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen Part#2, Maslah #1331, eidition 1439 ). [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13612
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: WAFAT K BAD BIVI K TARKY ME SHOHAR KA KITNA HISA HOTA HY

Answer: Agar aurat bay aulad mar ajey tu os k saare maal ka nisf(Half) hissa shohar ko aur baqi maandah doosre warasaa ko milta hay. or agar aurat ki usi shohar se ya kisi or shohar se aulad ho tu saare maal ka chothae(1/4) hissa shohar ko or baaqi maandah doosre warasaa ko milta hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#2727). [Updated on 05-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13617
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar waled intqal kr jayen aur kiya walda apna jaidad ka hissa apne bachon mein se kisi ek ko agar chahey dqy sakti hai?ya shareean taqseem lazem hai? Barah e mhrbani is mamle mein rehnumai farmayen shukriya

Answer: Meeras ko sharae taur par taqseem kiya jaye ga. Insan ki mout k baad us ki biwi ko ghar ki zameen men say koi hissa nahi milta or nah hi us ki qeemat karwany ki soorat men koi hissa milta hay lekin ghar ki emarat men wesy to us ka hissa nahi banta magar us ki qeemat karwae jaey to us emart ki jo qeemat hogi us men hissa milta hay or jo cash ya gold ho ya jo jaedad ho to sab men biwi ka 1/8 (aathwan) hissa banta hay jab k aulad ho to or baqi jaidaad aulad men taqseem ho gi, is tarah se k har beti ko aik or har bety ho dogna(double) hissa milta hay, or mazeed tafsilaat k liay ham say contact kren, Contact: Email: info@qoitrat.org (Ref: Aayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masael, Edition# 39th, Mafhoom e Maslah #2215/2694/2728 ) [Updated on 05-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13632
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa,Mera sawal ha k Walid k intiqal k bad hmara ghr 75lacs MN bik rha ha hm 2 behn Aur 3 Bhai hn aur walida bhi hn tu hr aik ko kitna hissa milyga plz btadn

Answer: Agar marhoom ki wafaat se pehle marhoom k walidain ka inteqal ho gaya ho, to biwi ko aathwaan (1/8) hissa mile ga aur biwi ko zameen se koe hissa nahi mile ga, lekin zameen ki jo qeemat lagai jaye gi to is men se aathwaan (1/8) hissa mile ga. or baqi meras marhoom ki 2 betiyon 3 beton men yuon taqseem ki jaigi k har beta, beti se dugna(double) hissa paye ga. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#3, maslah#991). [Updated on 10-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13663
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa ye 1/8 hissa Kya hota ha?

Answer: jo bhi raqam ho usay 8 sai taqseem kar dein tu raqam jawab main aay gi wo 1/8 kehlaey gi. [Updated on 11-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13681
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa Walid k inteqal k bad inki jaidad me marhoom bety ka hissa hoga? jo in k biwi or bachun ko mile?

Answer: Agar baita baap ki zindagi main wafaat paa jaey tu os ka meraas per koe huq nahi or jahaan tak baat hay merhoom ka baita apne dada ki meraas paey gay a nahi tu oski 2 soratain hain, agar dada k inteqaal k waqt dada k maan, baab or aulaad main se koe aik shaks bhi maujood ho tu pote ko dada ki meraas nahi mile gi or agar in afraad main se koe bhi nah ho tu pota apne dada ki meraas paey ga. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 35, Mafhoom e Maslah #2691). [Updated on 17-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!