Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 12862
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir mera sawal hn agar maap baap zinda hu tu beti ka kitna hisa hota or agar na ho tu beti ka kitna hisa hota( 7 bhai or 4 bhny hn)

Answer: Jab tak walid zinda hai tou meeras taqseem nahi hogi or un ki marzi hai agar wo kisi ko dena chahay tou de sakte hai lekin baap k marne k baad un k maa baap (daada dadi),zoja (yaane aap ki walida) or aulaad ko hissa diya jaaye ga aulaad mai betiyon ko beton ki nisbat aadha hissa diya jaaye ga. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2691,2694). [Updated on 15-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12974
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam... Sir hamarey father ki death ho gae hai.. hum sirf 4 betiyan hi hain... Jo hamari ami key name per jaidad hai oir abu key name per hai usey keisey hum apne name per kar saktey hain... Plz answer

Answer: Agar merne wale ke maan , baab ya aulaad main se aik bhi shaks maujood ho tu kisi aor afraad ko miraas main se koe hissa nahi mile ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2691). Agar marhoom ki wafaat se pehle marhoom k walidain ka inteqal ho gaya ho, tu bivi ko aathwaan (8th) hissa marhoom shohar ki meraas se mile ga laikin zameen ya pilot me se koe hissa nahi mile ga, or baqi meras marhoom ki 4 baitiyoon main braber taqseem kar di jaey gi. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#3, maslah#991) [Updated on 13-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13082
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam u alaikum My husband died few months ago,we had no children.Hmara ek makan(cost 60 lac), shop (25 lac)or zameen(25 lac) hy..mghy ye pochna hy k isme kon kon warasat ka hisydar hy or mera kia hissa bnta hy?

Answer: Marhoom ki zoja ko meras ka 1/4 hissa milay ga laikin makan ya dukan ki zameen se zoja ko koe hissa nahi milay ga, or Q agar marhoom maan baap ya in main koe aik hoa tu phir meeras os ko day di jaey gi.(Ref: Tauzihul masael, Ayatullah sistani db, maslah#2726) [Updated on 15-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13151
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mere Bhai ke death hogae ha or unka koe ulad nahe ha malom ye karna ha k unke Office ke settlement me Jo gratuity, bouns ke amount bante ha uska haqdar Kon keya would walda, Bhai ke bewa or behn bhaeyo me taqseem hoge agar hoge to kiss hisab se.

Answer: Meeras ki taqseem k liye marhoom k rishte daron k 3 Groups (tabqe) bante hen, or ye tarteeb-waar (yani number wise) hen, yani jab tak pehle tabqe k afrad mojud hoon chahe ek hi fard Q nah ho meeras dusre tabqe k afrad ko nahi milti. 1st Group: Waaldain or aulad hote hen. 2nd Group: Dada, dadi, nana, nani, behn or bhai hen. 3rd Group: chaha, phophi, mamu, khala hen. Bas Agar aap k bhai ki biwi maujud hen to property men se chautha (¼) hissa unko milne k baad baqi property uper wale 3 tabqon k mutabiq tarteeb-waar taqseem ki jaey gi, Or Agar aap k Marhoom uncle ki wife bhi nahi hen to phir puri property meeras k 3 tabqo k mutabiq taqseem hohi. Or jab tak ek tabqe k afrad mojud hon chahe ek hi fard ho us waqt tak meeras us k baad wale tabqe ko nahi di jaeygi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2691). [Updated on 08-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13158
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri Nani meri ami ko apna property ka hisa dana chati hain to kiya ho da skti hain ? nani ka baki bacho ka koi haq hoga phir os mai ?

Answer: Zindagi main apna maal kisi ko daina jaiz hay laikin ye meras shumaar nahi hoga. or jab aap ki nani aap ki walida ko apni property day dain tu phir nani k doosre bacho ko koe huq nahi hoga keh wo is main se kuch lain.(Ref: minhajus saliheen, jild#2, maslah#1310-1320) [Updated on 26-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13195
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri walida ko talaq ho gai or mera dada abu bhi foat ho gai or walid bhi hum 3 bhai or aik behan hy or dada abu koi wasiyat nahi chor kar gar pehle dada abu foat hue bad me walid to kia hume hissa lena chie mere 3 taya bhi hyn

Answer: Jab kisi ka inteqal ho or uski aulad bhi maujood or aulad ki aulad bhi maujood ho tu meras aulad main taqseem hogi or meras aulad ki aulad main taqseem nahi hogi. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus saliheen, jild#3, Mafhoom e Maslah # 2694). [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13208
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar baap ne pori property beton k naam kardi or foat hogaya betian ko hissa nhn dia to kia beti ka hissa milega ya nhn

Answer: Baap ne jo maal apni zindagi men apni aulaad ko de diya wo tohfa (gift) shumaar hota or jisko diya jaey wo us ka maalik ban jata hai, or us per meras k ahkaam nahi ate. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1320 , Eidition 1417 hij). [Updated on 19-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13251
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ek shaks ki death ho gai ho. Our oulad bi na ho tou bhavi our marnay walay shaks ka bhan bhaio ko jaydad mein kitna hissa mila ga waldain ki be death ho gai hai.

Answer: Agar marhoom ki wafaat se pehle marhoom k walidain ka inteqal ho gaya ho, tu bivi ko chautha (1/4) hissa mile ga laikin zameen men se bivi ko koe hissa nahi mile ga, or baqi meras marhoom ke behn bhaiyon main is tarh taqseem gi ke bhaiyon ko bhenon se dugna hissa milay ga. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#3, maslah#991). [Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13352
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam sir mera sawal yeh hy k agar baap zindgi men srf beton ko hissa diya or beti ko nh to kya beti ka haq bnta hy

Answer: Jis maal ka insaan apni zindaghi me kise dosere ko malik bana daita hay wo maal phele wale insaan ki milkiyat se nikal kar dosere shaks ki milkiyat me chala jata hai. Is bina per jo maal aap k baap ne apne baito ko zindagi men de diya tha wo baito ka maal hoga. Lihaza Baap k inteqaal k baad jo maal baap ki milkiyat main tha wo tamaam baito or baitio or biviyoon main taqseem hoga. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1320, Eidition 1417 hij). 2) Agar kise mard marne wale k waris betay aur betiyaan hoon to maal ko yu taqseem kiya jaay ga k har beta, beti se dugna (double) hissa paay ga. (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35, Mafhoom e Maslah # 2694). [Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13386
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Ham 4 sisters hain kya mera walid ki property ma mera chacha ya Phoppo ka Bi haq hai aur hamairi dadi sorely hain dada ka intiqal ho Gaya hai ISI Tarah kya ami ki property ma mammo ka bhi haq hai Please guide us Jazakhallah

Answer: jin louqo ko meraas milte hay un ke 3 tabqe hain jab tak phele tabqe me se aik fard bhi muojood hay dosere tabqe walo me se kise ko bhi meraas nahe mile ghe meraas Agar marhoom ki wafaat se pehle marhoom k walidain ka inteqal ho gaya ho, or biwi mojod ho tu biwi ko aathwaan(1/8) hissa mile ga laikin biwi ko zameen se koe hissa nahi mile ga, or baqi meras marhoom ki 4 baitiyoon main braber taqseem kar di jaey gi. or chacha ya phopo ko nahin milay ga. Isi tarah Aap apni maan ki mirass k waris hen is liay ap ki walida ko jo hissa mila tha ab wo aap ka hoga or aap k mamu ko nahin milay ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #991.2694). [Updated on 24-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!