Question: Aoa... Sir meri sister ky husband ki recently death hui hai, uski 2 betiyan hain, mera ye sawal tha k kia usky husband ki property py uska haq hai? Agr hai to kitna hissa bnta hai uska? Plz answer
Answer: Insan ki mout k baad us ki biwi ko ghar ki zameen men say koi hissa nahi milta or nah hi us ki qeemat karwany ki soorat men koi hissa milta hay lekin ghar ki emarat men wesy to us ka hissa nahi banta magar us ki qeemat karwae jaey to us emart ki jo qeemat hogi us men hissa milta hay or jo cash ya gold ho ya jo jaedad ho to sab men biwi ko 1/8 (aathwan) hissa banta hay jab k aulad ho to or baqi jaidaad aulad men taqseem ho gi, is tarah se k har beti ko aik or har bety ho dogna(double) hissa milta hay,or mazeed tafsilaat k liay ham say contact kren,Contact: Email: info@qoitrat.org (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #2215/2694/2727/2728 ) [Updated on 03-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam sir mere dada ji ny apny behn ko jo beaulad thi un ko apna beta yani mery walid saab ko khuda wasty diya k aj se yeh beta tumhara hai.sir kya mery walid saab apna walid se hisaa ly sakty hain
Answer: Jee han, baita apne baap ki meras main se hissa paey ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2691). [Updated on 24-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam sir mere dada ji ny apny behn ko jo beaulad thi un ko apna beta yani mery walid saab ko khuda wasty diya k aj se yeh beta tumhara hai.sir kya mery walid saab apna walid se hisaa ly sakty hain
Answer: Jee haan, baap k inteqal k baad is baite ko meras mille gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2691). [Updated on 24-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya bivi ki waraset main shoher ka koi haq hae ?
Answer: Agar koe aurat bay aulad mar jaey tu os k saarey maal ka nisf hissa shohar ko or baqi maandaah doosrey warasaa ko milta hay. or agar aurat ki osi shohar se ya kisi or shohar se aulad ho tu saarey maal ka 1/4 hissa shohar ko or baaqi maandah doosrey warasa ko milta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2727,2694). [Updated on 15-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mre Abu ki phuphi abnormal thi n unko mre dada ne ak property gift ki thi.. ab mre Abu ki phupho ki wafaat k baad wo property kis k hisay aye gi?
Answer: Marhooma k maa, baap, shohar or on ki aulaad main. or agar in main se koe bhi nah tu aulad ki aulad main meraas taqseem hogi. Laikin agar marhooma ki shadi nah hoe ho, tu phir marhooma k dada,dadi, nana, nani , behen or bhaeo main meraas taqseem hogi. Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 2691)). [Updated on 07-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o alaikum Meri sister ke husband ke death ho gye h us ke koi aulad nhi thi miras mai cash jo taqrban 27 lakh ghar jis mai wo rehtay h is ke illawa 5 ghar jo rent pe dye hoyee h is k illawa eik bagh agricluter farm bhi h
Answer: 1: Insan ki mout k baad us ki biwi ko ghar ki zameen men say koi hissa nahi milta or nah hi us ki qeemat karwany ki soorat men koi hissa milta hay lekin ghar ki emarat men wesy to us ka hissa nahi banta magar us ki qeemat karwae jaey to us emart ki jo qeemat hogi us men hissa milta hay or jo cash ya gold ho ya jo jaedad ho to sab men biwi ko (¼) (aathwan) hissa banta hai agar aulad na ho to. or baqi jaidaad dusre wariseen men taqseem ho gi, 2: Meeras ki taqseem k liye marhoom k rishte daron k 3 Groups (tabqe) bante hen, or ye tarteeb-waar (yani number wise) hen, yani jab tak pehle tabqe k afrad mojud hoon chahe ek hi fard Q nah ho meeras dusre tabqe k afrad ko nahi milti. 1st Group: Waaldain or aulad hote hen. 2nd Group: Dada, dadi, nana, nani, behn or bhai hen. 3rd Group: chaha, phophi, mamu, khala hen. Bas Agar biwi maujud ho aur koi aulaad na ho to property men se chautha (¼) hissa unko ko mile ga aur unko hissa milne k baad baqi property uper wale 3 tabqon k mutabiq tarteeb-waar taqseem ki jaey gi, Or jab tak ek tabqe k afrad mojud hon chahe ek hi fard ho us waqt tak meeras us k baad wale tabqe ko nahi di jaeygi. or mazeed tafsilaat k liay ham say contact kren, Contact: Email: info@qoitrat.org (Ref: Aayatullah Seestani (d.b), Tauzeehul masael, Edition# 39, Mafhoom e Maslah #2691,2727,2728,) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mere phli shadi sa mera 15 years k bata h per us k baap n kbhi 15 years m us sa contact nhi kiya kia us k apna baap k virasat ma koi hisa bnata h
Answer: salam. Baite ko baap ki mera se hissa milta hay. lehaza is sorat main bhi os ko hissa mile ga Q keh wo os ka baita hi hay.(Ref: Tauzihul masael, ayatullah sistani db, maslah#2690) [Updated on 22-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya walidd ki zindagi mein beti ka inteqal ho jaaye to kya property mein se uss beti ki aulad ko hissa milta hai
Answer: Agar marhoom ki aulad maujood ho tu pote ya poti ko meras nahi milti. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah# 1001). [Updated on 12-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya Baap Ki Retirement Ka Paisa wirasat Ka Hissa Hai? or wo kis Tarah Taqseem Hoga..
Answer: Marne k baad marhoom ki jaidad or paisa jo taqeem hota hat, osay wirasat kaha jata hay. retirement ka paisa baap k zinda hone ki sorat main aulad main taqseem nahi hoga.(Ref: Tauzihul masael, ayatullah sistanni, maslah|#2690) [Updated on 26-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia waris kay haq men wasiat ho sakti hsy? Janab allam sahib reply with ref book quran or shariat fiq jafaria books fee aman ullah
Answer: Ji Haan ho sakti hai, Wasiyat ye he k insan takeed karay k os k marnay k bad os k lie falaan kam kiay jain ya ye kahay k is k maal me se falan cheez os k marnay k bad falaan shakhs ki milkiyat ho gi, ya khayraat ki jay , ya apni aulad k lie. Jo shakhs wasiyat karay wo zurari he k baligh aur aaqil ho aur apnay ikhthiyar se wasiyat karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2687-2690) [Updated on 19-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]