Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9393
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam ol Alykum, shutar muragh (osrtich)ka goshat haram hai ya halal kindly jaldi batana

Answer: Shutur murgh ka gosht halal hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2587). Update on dated 07-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9417
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalaam o alaekum, kya Talwar(sword) se Qurbaani kr skte h. ??

Answer: Agar talwaar lohay(Iron) ki hay tu os se zibah kerna jaiz hay or ehtiyaat e wajib ki bina per steel ki churi kafi nahi hay. Update on dated 26-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9515
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Alaikum.. khana khany k bad pani peena chaheye ya nahi..???

Answer: Jaiz hay koe maslah nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2600). Update on dated 27-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9700
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam hindustan me gae ka gosht khana kaisa h jab k goverment ne pabandi lagai hui h

Answer: Government laws ka koi masla nahi hai or agar koi aisa ilaqa hai jahan jaan ka khatra na ho to phir khana sahi hojaye ga lekin agar aise ilaqe mai jahan jaan ko khatra ho to phr khana jaiz nahi hoga chahe wahan govt ki pabandi nab hi ho.(Ref:www.sistani.org) Update on dated 14-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9783
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.O.A mujhe puchna hai ki muslim ki dukan pr hindu mitha banata hai to hame use khana chahiye ya ni malik uska muslim hai

Answer: Agar wo is tarah banata hay k us ka jism us meethi cheez say nahi chota to korj nahi jesy k wo dastana pehen ker banae , laikin agar wo is tarah banae k us ka badan us meethi or gheeli cheez say cho jaey or us ki tari is qadar ziyada ho k khushk cheez ko tar ker dy to wo najis ho jaey gi or usy kha nahi sakty hen,lekin agar shak ho k us ka jism us meethi cheez say choa hay ya nahi to wo cheez kha saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #119 ). Update on dated 17-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9900
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sahtar murgh (ostrich) ka ghost or anday (egg) khana halal hai ya haram?

Answer: Halal hay. Ref: (https://www.sistani.org/urdu/qa/17544/ ). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1433). Update on dated 17-07-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9902
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia Mari hui murgi ka anda kha sakty hai ?

Answer: Jee haan kha sakty hen lekin us ko dhona zarori hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #907). Update on dated 23-06-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9904
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Othni ka dodh pee sakty hai agr wo mar gaye ho?

Answer: Jee haan pee sakty hen jaiz hy. (Ref: Minhajus saliheen jild#3, maslah#907). Update on dated 16-07-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10041
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is squid fish and prawn halal or haram?

Answer: Agar squid fish chilke wali ho tu halal hay or prawn halal hay. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #2578 ) [Updated on 03-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10067
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal ye mera Sath jo kaam karta ha Wo Hindu ha uska sath khana Peena jaiz ha Aur Koi wo Koi halal food Laya tu Kha sktay ha Unkay ki trf Koi festival ho Aur Wo Koi halal food lae tu Wo Kha sktay ha??? Pls ans

Answer: Hindu najis hein or uska geela hath ya jism ka koe bhi tar(geela) hissa khanay ko mas(touch) ho gaya ho to khana najis ho jaey ga or phir haram ho jaeyga, lekin agar in tamaam cheezoon ka apko yaqeen nah ho to khana jaiz hai. Albatta gosht or charbi waghera sirf musalman se hi leker kha sakte hen. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 41,Mafhoom e Maslah # 104).(Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 152-153, Pg # 120, Eidition# 5) [Updated on 14-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!