Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 14005
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya hum jo pig ka ghost khata hai uska jhuda kha sakte hai ya nhi

Answer: Pig (souar) ain e najis jaanwar hai is ka ghosht khana haraam hai. laikin os agar wo shaks kuch or jab wo koe or halal cheez khaa raha ho, tu wo cheez os k sath kha sakte hain, (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 102). [Updated on 28-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14329
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar kisi K gar se khana aye aur narazgi ki wajha se na liya jaye is ka koi gunnah h kia

Answer: Musalmaan ka dusray muslmaan say 3 din say ziada naraz rehna ehtiyaat e wajib ki bina par haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Masael e Muntakhaba, Mafhoom e Maslah #24). [Updated on 07-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14389
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Machli kin mahino me nahi khani chahiye

Answer: Machli(fish) ke halal ya haram hone men mahine ki koe qaid nahin hai ke kis mahine men halal hai aur kis mahine men haram hai, bas agar fish chilkay(scales) wali hai tu haraam nahin hai or agar bagair chilkay(scales) wali hai tu haraam hai. (Ref: Minhaajus saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Maslah #877). [Updated on 25-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14662
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Private parts se nikalne wala pani yadi pi liya jaye to is se kon kon sa pap lagega

Answer: Mani ka peena jaiz nahin hai or gunah hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). [Updated on 25-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14762
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: اگر شراب نوشی کریں اور زرا بھی مدہوش نہ ہوں تو پھر بھی انسان نجس یا دائرہ اسلام سے باہر ہوجاتا ہے؟

Answer: Sharab najis hai aur is ka peena bhi haraam or gunahan e kabeera mai sai aik hai lekin is se insan islaam ke daaire se kharij nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #80,103,108). [Updated on 30-Jun-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14777
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: اسلام و علیکم میرا شوہر شراب پیتا ہے تو کیا شرابی کے ساتھ زندگی گزارنا جائز ہے؟

Answer: Jee han jaiz hai Albatta aap use is masale agah karen k Sharab peena haram hai or Baaz ahadees men ise gunah e kabeera bataya gaya hai. aur riwayaat mai yahan tak moujood hai k 40 din tak sharaabi ki namaz qubool nahin hoti, Albatta namaz parhna wajib hai. aur jo sharab ka aik ghont peeta hai khuda, farishte, ambiyaa, or momineen us par laanat bhejte hain.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2596). 2: Wazifa:- Shohar ko najaiz harakaat o taaluqaat se baaz rakhne or buri adaat o fawahishaat se raah e raast par laanay k liay kisi bhi sherbat par sorah room(sorah #30) ki ayat #21 or sorah maidah(sorah #5) ki ayat #100 ko awwal o aakhir salawaat k saath 41 mertabah parh ker pilain tu wo badkarioon se kinara kash rahay ga. (Ref: Nawaay Saliheen, pg #351). [Updated on 14-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14844
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA Can we eat meal that is cooked by christian?

Answer: Ayatullah Sistani(d.b) k nazeed yahoodi, christen, majosi, pak hain. or in k haath ki bani hue halal cheezain ghosht or cherbi k alawa khana jaiz hai.(Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Masalah #152). [Updated on 28-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14943
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia biwi ka peshab peena jaiz hai?

Answer: Insan aur har haram gosht haiwan ke jis ka khoon jahenda hai (yani agar us ki rag kaati jaye to khoon uchal kar nikalta hai) peshab aur pakhana najis hai. aur in ka khana peena haram hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #80,81)+Minhaj us Saleheen, part #3 maslah #910) [Updated on 09-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15180
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia gadhay ka gosht halal hai

Answer: Gadhay ka gosht khana halal hay laikin makrooh hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2594). [Updated on 06-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15365
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA SAWAL YE HA K ISLAM ME KETNY WAQAT KHNAY KA HUKAM HA

Answer: Riwayat to is bare me aahi hain ke subah or sham ko khana khana chahiye, khaas taur par raat ka khaana khana to bilkul hi tark na kiya jaye chahe aik khane ka luqma ya aik ghoont paani hi q na ho. (Ref: Wasail e shia urdu, jild #16, pg #349,350). [Updated on 29-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!