Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 10268
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya porcupine (Seh) khana halal hy ya haram?

Answer: Porcupine (Seh) Khaana haraam hai.(Ref: Minhajus saliheen, Part#3, Maslah#882) [Updated on 01-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10796
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam-0-Allikum Sir, Kia Ray k illava kisi month main jayse (May, June, July & August) may Fish khana haram hai? Please confirm

Answer: Mahine ki koe qaid nahi hai agar fish chilkay wali hai tu haraam nahi hai or agar bagair chilkay(scales) wali hai tu haraam hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 877) [Updated on 19-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10827
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kai jis banday nay sharab pi ho wo jis chaiz ko b hath lagai ga kai najis ho jaiy gi

Answer: Jee nahi, Jab tak sharaab kisi doosri cheez par na lagay wo cheez najis nahi hoti albatta sharaab gunahan e kabeera mai sai aik hai riwayaat mai yahan tak moujood hai k 40 din tak sharaabi ki namaz qubool nahi hoti, khuda farishte ambiyaa or momineen us par laanat bhejte hain.(Ref:Tauzeeh ul masasil aayatullah seestani edition 41 maslah no 2596,119). [Updated on 08-Nov-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10845
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is locust or tiddi halal in islam?

Answer: yes, it is halal.(Ref: Ayatullah Khomeni(r.a),Tauzeehul masail, maslah #2618 ). Update on dated 13-11-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 11005
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia Muslim kise Christian sth beth k khana kha skta h???

Answer: jee han, un ke sath beth ke khana kha sakte hain. (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Web Address: https://www.sistani.org/urdu/qa/01738/ ). [Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11212
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Machli ki tarred Kia ha or konsi machli Khana jaiz ha

Answer: Pani ke janwer main se chilke wali machli( ya jhenga machli) k ilawa koi halaal nahi hai, pas ager machli chilko wali ho or is ka Share tor per tazkiya kiya jaae to machli halaal hay.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 877 , eidition # 4th). [Updated on 04-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11213
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Konsi machli Khana jaiz ha

Answer: pani ke janwer main se chilke wali machli( ya jhenga machli) k ilawa koi halaal nahi hai, pas ager machli chilko wali ho or is ka Share tor per tazkiya kiya jaae to machli halaal hay.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 877 , eidition # 4th). [Updated on 04-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11215
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.o.a Kya hadi sy gosht Danton sy kha sakty hain??

Answer: Khana khate waqt 11 batein mazmoom (Mazammat ki gaye hain), jis me ek yeh bhi hai keh haddi se chipkay huay gosht ko yun khana keh haddi par bilkul gosht baqi na rahe. ( Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzheeh Ul Masail 42 edition, Maslah No 2600) [Updated on 04-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11317
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya Mard ger aurat ka jhoota khana ya paani pi sakte hai ?

Answer: najis chiz ka khana peena ya kisi dosray ko khilana pilana haram hai, albattah agar khana ya pani najis hai to na ap kha sakte dosray ko khila sakte hain na pila sakte hain.(Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no 135). [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11364
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam-0-Alaikum Sir Maine suna hai k zayada nai khana chahiye mtlb bhook rakh k khana chahiye lekin kuch logun ko bhook b zayada lgti hai to zayada khana gunah ya makrooh to nai hai na

Answer: woh batein jo khana khate waqt mazmoom hai, (jinki mazammat ki gayi hai) un me se bhare pait khana, aur buhut ziada khana (riwayat mein hai keh khuda wand e alam pait bhare shaks se dosri har chiz se ziada nafrat karta hai) bhi shamil hai. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Masla no #2600). Note: ye amal haram nahi. [Updated on 11-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!