Question: Kata kat halal hy ya nhi
Answer: agar katakat halal gosht janwar ka ho aur us me woh ajza jo halal gosht janwar ke khana haram hain shamil na ho to khana jaiz hai warna nahi. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masala No # 2587,2589). [Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kya cigarette oinay say wazu toot jata hy ?
Answer: Jee nahi (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 2019 maslah#332). [Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Women doosri women ka doodh choos ya suck ker sakti hey
Answer: Insan k liay doosray insan ka doodh peena ehtiyaat e wajib ki bina haram hai. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#905,eidition 2009). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org), [Updated on 26-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kounsi din machli khana haram hei
Answer: Mahine ya din ki koi qaid nahi hai, agar machli chilkay wali hai tu halal hai or agar bagair chilkay (scales) wali hai tu haraam hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 877) [Updated on 21-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Machli khane se kounse din mana kiye the
Answer: Bini israel ko hafte k din machli ka shikaar karne se mana kia gaya tha. (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D8%A7%D8%B5%D8%AD%D8%A7%D8%A8_%D8%B3%D8%A8%D8%AA). [Updated on 20-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bina haddi wala gosh khana cow ya bakre ka makruh hai ya nahi ?
Answer: Nahin makrooh nahin hai, Albatta Khana khate waqt 11 batein mazmoom hain (yani jin ki Mazammat ki gaye hai), jis me ek yeh bhi hai keh haddi se chipkay huay gosht ko yun khana keh haddi par bilkul gosht baqi na rahe. ( Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzheeh Ul Masail 42 edition, Maslah No 2600) [Updated on 30-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Khanay k Dooran Bar Bar Darstakhawan pay Hath Saaf karna Teak hai Ya Ghalat.
Answer: Is men koi haraj nahin, Albatta khana khanay ke Aadab men chand chizen mustahab shumar ki gayi hain jis men se aik ye hai ke ungliyon chatay.(Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2599,2600). [Updated on 03-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hindu k hatha ka bna hua soamsa kha skte hai lekin hmne mangwaye muslim k hath se to kya kha skte hai lekin hme yakeen hai banya hindu ne he hai plz answer ?
Answer: Hindu najis hai or uska geela hath ya jism ka koe bhi geela hissa khanay ko mas (touch) ho gaya ho to khana najis ho jaey ga or phir haram ho jaeyga, lekin agar in tamaam cheezoon ka apko yaqeen nah ho to khana jaiz hai.(Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 41, Mafhoom e Maslah # 104).(Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 152-153, Pg # 120, Eidition# 5) [Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Maine suna hai murghi ka anda khana makrooh hai. Kya aisa hai? Aur kon kon se anday khana halal hai aur konse makrooh ya haram?
Answer: Jee nahin makrooh nahin hai, (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 35, Mafhoom e Maslah # 2587,2594). [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: As Salamunalikum. Cow ki ojhri halal hay ya haram?
Answer: Halal hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeehul masael, Edition# 35, Mafhoom e Maslah # 2589). [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]