Question: alam alikam kia ham christan ka sat khana kha sakty ha ak hi bartan ma khana bana kar aor bad ma akty bat kar kha sakty hais ka bary ma wazaht chahy sokria
Answer: Jaiz hay agar koe haram cheez is main shamil nah ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 103Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: kia abb-e-zam zam ka pani ak saans may pena chay k 3 saans may? or haad k mutabik jawab ho.
Answer: Pani ko 3 saans main peena adaab main shumaar kia gaya hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2601). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: keya non muslim ke haat ke bana kha saktay he?
Answer: Musalman ko haq hasil hai ke wo goosht, charbi or in se bani hoi chezoo ke alawa baqi tamam chezen khale, Haan ager is ko ya pata ho ke khane ko banana wala kafir ghair ehl e kitaab main se hai or itminaan ho k is ne is khane ko geela haath lagaya hai to phir ye khana najis hai or is ko nahi khaya ja sakta. Or isi tarah jab is ko itminan ho k khane main koi haraam cheez mili hoi hai, Haan or jahaan tak goosht or charbi or in se bani hoi cheezon ki baat hai to agar ghair-muslim in ko paish kare to is ka khana haraam hai siwaey is k keh musalmaan ko yaqeen ho k ye gosht kisi halaal jaanwer ka goosht hai or is ko share tareqe k mutabiq zibah kiya gaya hai, machli k liye ye zaruri hai k wo chhile wali ho pani se zinda pakrhi gae ho. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 154,155, Pg # 120, Eidition# 5). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia cakera khana halal ha ya haram
Answer: Haraam hai.(Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 160, Pg # 129, Eidition# 5). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: wo konsi matti h jo musalman k lye haram h
Answer: chikne mitti khana aur bajri khana ehteyaat e lazim ki bina per haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2591). Update on dated 12-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: murghi ya kse or hilal janwer k pae ( foot) khana hram hai ya hilal
Answer: Halal janwer k pae(foot) khana halal hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 900-901, Eidition 1417 hij). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salamalikum .....mujhe ye puchna tha ki agar ham safar me kahi ja rahe ho to kya bahar ka saaman kha sakte hai jaise ki chai,pakoda ,samosa etc. ....kyon ki hame to pata nahi ki banane wala hindu hai ki nahi??????
Answer: Agar yaqeen ho k kafir ne banate waqt isko apna geela hath lagaya tha ya phir in chizon k ander koi aisi cheez mili ho jinka khana hi share taur per jaiz nah ho to khana jaiz nahi hai,(Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 154,155, Pg # 120, Eidition# 5). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: sir mera sawal yeh hai ... KYA CIGARETTE PEENAY SAY YA GALI DENAY SAY WUZU TOOT JATA HAI ???
Answer: Jee nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 322). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kea ehle kitab(jews n cristians) logo k sath khana peena ,uthna bethna ,ya dosti rkhna haram he????
Answer: Jaiz hai. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 324, Pg # , Eidition# 5). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mor hlal hay ya haram?
Answer: Moor halal hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2587). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).