Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 1708
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya multani mitti khana jaeez ha?

Answer: Jee nahi ye haram hai. siway ilaaj waghera k liay majburi ki halat men khane men koi haraj nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2591). Update on dated 10-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1735
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asa is it allowed to eat oyesters?

Answer: It is unlawful. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 191). Update on dated 16-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1984
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya qadiyani hmsaay k ghr ka khana khana jaiz hay?

Answer: Agrchhe kadiyani najis hen, or wo musallmat deen ka inkar kerne ki wajah se kafir hen, Albattah jab tak aap ko ye yaqeen na ho k khane men uska geela hath laga hai ya phir khane men usne koi aysi cheez shamil ki hai jiska khana haram hai, tab tak aap uska ghar ka khana kha sakte hen, albatta gosht or charbi waghera sirf musalman se hi leker kha sakte hen. Isi tarah agar machhli hai to us k liay bhi zarori hai k wo chilke wali ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 103).(Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 152-153, Pg # 120, Eidition# 5). Update on dated 16-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2102
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ghair Muslim k tehwar, maslan, Easter, Chrismas, waghaira per un ko mubarakbad dena, unki taqarib main shirkat karna aur taqareeb main khana peena jaiz hai?

Answer: Ghair muslim k tehwaar per on ko mubarakbaad daina or on ki taqreeb main shirkat jaiz hay.or ehle kitab paak hain is liay inka kahanay siwaay ghosh or charbi k kha sakte hain. (Ref : email rec from ayat ullaha sistani d.b. dated : April 25, 2011). Update on dated 16-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2152
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya muslmano ko ghaer muslim ky sath khana khana jai hai

Answer: Musalman ko ye haq pounchta he k wo ahl e kitab or un k aalawa dosray kafiroon k haath se bana hua khana kha le, is shart k saath k musalman ko is baat ka yaqeen aur itminaan na ho k (ghair ehle kitab) kafir ne use geele haath lagaye hen. Aur is baat ka bhi yaqeen or itminaan nah ho k is khane me ayse koe cheez shaamil hai jin ka khana haram he, Al’battah ghosht , charbi aur on say bani hoe cheez na ho. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 152-153, Pg #120, Eidition# 5). Update on dated 16-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2163
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: FLIGHT MEIN JO KHANE PENE KI CHEZEEN MELTIN HAIN KYA USE KHA SAKTEN HAI(FLIGHT NAME :KINGISHER)

Answer: Musalman hazrat k liye gosht , charbi aur in se bani hue cheezoon k alawa band dibbo(boxes) me mehfooz tamam qism k khano ka istemal jaiz he jab tak k musalman ko is baat ka yaqeen nah ho ho jaey k wo khana aysi cheezo ka bana hai jinka khana haram hai, albatta is baat ki tehqeeq kerna bhi zaruri nahi hai k khana kin chizon se bana hai. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 157, Pg # 121, Eidition# 5). Update on dated 16-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2176
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia Ghadha (Donky) ka gosht(Meat) Halaal hay Haraan hay ya Makrooh hay? Thanks

Answer: Ghaday(donkey) ka ghosht khana makrooh hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2594). Update on dated 16-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2344
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslamo Alekum , Kia muslim hinduoon k mander(jase niaz ya langer hu) ka khana kha sakta ha jab k pata ha k ye kha vegitarian ha or koi haram chez shamil nai ? plz reply me thanks

Answer: Jab tak is baat ka yaqeen na hojaye k kafir k jism ka koi bhi tar(geela) hissa khane se mas(touch) hua hai ya ye k usne is khane men koi aysi cheez milaae hai k jo haram hai , tab tak us k khane men koi haraj nahi hai.Albatta wo khana gosht ya charbi waghera nah ho to. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 151-152-153, Pg # 126, Eidition# 5). Update on dated 16-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2572
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya ham hindu ke haat pakava khana kha sakte hai

Answer: Kafir najis hein Albatta Agr apko yaqeen ho k khana pakate hue koe najasat us khane me gir gai hai ya kafir ka tar(geela) haath ya jism ka koe bhi tar(geela) hissa khanay ko mas(touch) ho gaya ho to khana najis ho jay ga or phir haram hojayega. Aelkin agar in tamaam cheezoon ka apko yaqeen na ho to khana jaiz hai. albatta gosht or charbi waghera sirf musalman se hi leker kha sakte hen. Isi tarah agar machhli hai to us k liay bhi zarori hai k wo chilke wali ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 104).(Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 152-153, Pg # 120, Eidition# 5Update on dated 16-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2780
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: chinese salt haram hai ya nhn.. ajeenomoto

Answer: Musalman ko ye haq pohanchta hay k wo ehle kitab k alawa doosre kafiroon k hath se bana hoa khana kha le is shart k sath k musalman ko is baat ka yaqeen ya itminaan nah ho k kafiro ne ose gela hath lagaya hay or is baat ka bhi yaqeen or itminaan nah ho k os k khane main aisay ajza (ingredients) shamil hain jin ka khana haram hay. (Ref: Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #151 , Pg #126 , Eidition# 5). Update on dated 21-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!