Question: Kia jawan boy apni aunti ka breast milk pe sakta ha ? Agar wo is ko na choa
Answer: Ehtiyat e wajib ki bina par insaan k doodh pina baligh insaan k liay jaiz nahi hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 03, Mafhoom e Maslah # 905, Eidition 1430 hij). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: bili ka jotha dodh ya pani pena halal ha ya haram?
Answer: Halaal hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 53, Eidition 1430 hij). Update on dated 06-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: fish ko zibah kia jata hy ya wsy e chor dia jata hy
Answer: Machli(fish) ko zibah nahi kiya jata balkeh usko pani se zinda bahar nikaalna hi os ka halal hona hay.(Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 159, Pg # 128, Eidition# 5). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mai mitti (bajri aur sement k pathar) khati hoon mujhay bht zada aadat hai kia ye haram hai? Ya jaiz
Answer: Ye chizen khana jaiz nahi hen.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 918, Eidition 1417 hij). Update on dated 06-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia muslim mard gair muslim oorat ka jootha kha skta hai?
Answer: Kafir agar yahoodi, esaaie ya majosi ho to uska jhoota paak hai aur in k alawa dosere kaafiro ka jhoota najis hai, Or najis khana peena haram hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 53, Eidition 1430 hij). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya kangaroo ka gosht Halal hai ?
Answer: Kangaroo ka gosht halaal nahi.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 41,pg # 31) Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia chars (weed) pina haram ha aur agr hai to wazahat krein
Answer: Har wo cheez jo mukammal ya juzvi taur per nasha aawer ho,solid ho ya liquid ye sab haram hain. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 166, Pg # , Eidition# 5). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam un alekum. Charas peena kis catogery me ata hai Haraam ya Maqrooh
Answer: Haram hay. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 162, Pg # , Eidition# 5). Update on dated 06-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia aik muslim mard kisi gair muslim oorat ka jotha kha pi skta ha?
Answer: Gher Muslim orat agr yahoodi, esaaie ya majosi hai to uska jhoota pak kha pi sakte hen hai aur in k ilaawa dosere kaafiron ka jhoota najis hai, Or najis khana peena haram hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 53, Eidition 1430 hij). Update on dated –2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: fish without scale is permissible to eat if not why
Answer: It is not permissible. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 159, Pg # 128, Eidition# 5). Update on dated 06-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).