Question: Kya kabutar ko shokiya taur par pakadkar khana jayaz hai
Answer: Jee han Kabuter kahana jaiz hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2587). Update on dated 06-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalam alykum .. khana khate waqt pani peeskte hai or khana khane k baad kitni der bad pena chaiye or khate waqt pani ka istemal karskte hai
Answer: Khana khatay waqt pani peena jaiz ha.Lekin muraghghan khane(Oily foods) k bad pani peena mazmoom(na-pasandeedah) shumaar kia gaya hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2606). Update on dated 06-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Roti ko sekhne k liye roti ko agg me sekha jy tu kiya gunnah ho ga ? Or agr ho ga tu kio?
Answer: Roti ko aag me sekh kar khaya ja sakta hai koi gunah nahi hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 902, Eidition 1417 hij). Update on dated 06-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Kia Ek muslim kisi hindu ye gair muzhab ki kherat ki hwi cheez kha sakta hai?
Answer: Musalman ahl e kitab or in k alawa dosray kafiroon k haath se bana hua khana khasakta hai, Is shart ye k sath k musalman ko is baat ka yaqeen aur itminan na ho k kafir ne us khane ko geele hath(ya jism ka koi bhi hissa) lagaya ho. Aur is baat ka bhi yaqeen aur itminaan na ho k is khane me koi aysi cheez shamil ki hai jis ka khana haram ho..Al’battah ghosht ya charbi aur on say bani hoe cheez na ho. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 151, Pg # 126, Eidition# 5). Update on dated 16-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asslam o alaikum dit mujy sharab ki mamant or us k haram k ehkamat quran ki roshni sy btaien or wuran ka tefrence detail sy bayan krien
Answer: Sharab peena haram hay or sorah maeda(sorah#5) ki ayat#90-91 main is mana kia gaya hay. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #164 , Pg # , Eidition# 5). Update on dated 28-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya halal gosht ko kacha khaya ja skta hai..??? jaiz hai...??
Answer: Halaal gosht ko kacha khana jaiz hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 902,4th eidition ). Update on dated 25-02-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamualaihkum me ek pg me rehta hu jaha roti ek aadmi banata hai kuch din pehle wo daaru pia hua tha or ussi haal me roti banai kya wo roti khana jaiz hai?? Or agar dusri surat me wo hath dho k banaye to kya us surat me jaiz hai?/
Answer: Agar os k hath sharab se najis nahi hoay thay ya agar najis hoay thay or os ne hat paak ker k roti banae ho tu phir aisi roti khana jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #112,163). Update on dated 05-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: how should we drink water-standing or sitting
Answer: It is better to drink water in standing position at day time, and it is bad to drink water in standing position at night. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2601-2). Update on dated 24-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya bili (cat) halal hey
Answer: Biili khana haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #881) Update on dated 14-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: nahar muo pani pina sahi he ya nahe
Answer: Read this link.(Ref: http://www.newhealthguide.org/Drinking-Water-In-The-Morning.html). Update on dated 16-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).