Question: خصور م نے کس جگه پر بٹھ کر کھانے سے منع کی ہے
Answer: Jis dastar khuwan par sharaab pi ja rahi ho us par chuni huyei hoi cheez khaana haraam hai aur isi tarah us dastar khuwan par baithna jis par sharaab pi ja rahi ho ehtayaat-e-waajib ki bina par haraam hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2597) [Updated on 27-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o Alaikum.. makrooh aur haram kis surat men khana jais hai?
Answer: 1: Makrooh cheez ka khana ya peena to halat e ikhtiyari me bhi jaiz hai. ( or makrooh cheez se perhaiz karna zarore nahe hay yani agar perhaaiz na kia jaay tu koi guna nahe hoga laikin markooh se perhaiz karna behter hay ) Abatta Haram cheez ka khana ya peena halat e ikhtiyari me jaiz nahin hai ( yani haraam hay or insaan is ke karne per gunghaar hoga ). Lekin majboori ki surat me khana ya peena jaiz hai wo bhi zaroorat ki miqdar tak. Yani jitni miqdar ki majboori or lachari ho utni had tak khaya ya piya ja sakta hai, is se ziyada nahin. Majboori or lachari ki chand surten hain: 1. Apni ya kisi aur musalman ki jan khatre me ho or us ka bachna haram khane ya peene par moqoof ho. 2. Insan aisi beemari me mubtela ho ke use ziyada bhook or piya lagti ho, jo aam taur par na qaabil e bardasht ho or haraj ka sabab banti ho. 3. Insan kisi beemari me mubtela ho jaye ga ya us ka maraz shadeed tar ho jaye ga jo aam taur par na qaabil e bardasht ho. 4. Aik shakhs beemar ho or use khadsha ho ke us ki beemari taweel ya ziyada shadeed ho jaye gi jis ko aam taur par bardasht nahin kiya jata. 5. Insan taqayye ke maqam me ho ke agar haram na khaye ya na piye to us ki jaan, maal, izzat o aabru ko nuqsan puhnchaya jaye ga. In tamam surton me zaroorat ki miqdar tak Haram cheez ka khana ya peena jaiz hai. 2: Agar koi shakhs aisi shadeed beemari me mubtela ho umooman na qaabil e bardasht ho to sharab se us ka ilaj karna jaiz nahin hai, siwaye is surat ke k sharab se ilaj tark karne se us shakhs ya is jese afraad ki maut waqia ho jaye or ilaj ka wahid tareeqa sharab peena ho, agarche us shakhs ke liye doctors ya deeni doctors ke ittefaq se sabit ho. Ba surat e deegar beemar ko beemari ki sakhtiyon or mushkelat par sabr karna chahiye, is umeed ke sath ke Allah taala mareez ke sabr ki wajah se us ko shifa or aafiyat ataa farmaye ga. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1443, Maslah #1420,1421). [Updated on 04-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: بھنگ پینا حرام ہے یا حلال
Answer: Sharab (beer) aur Har wo cheez jo mukammal ya juzvi tor par nasha awar ho, solid ho ya liquid, ye sab haram hain. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #164, pg #123). [Updated on 05-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kuch bartano k kony totay hoty hain jese k cups plates wegera kia un bartano me khana makrooh he please btaen
Answer: Sirf paani peena makrooh shumar kiya gaya hai, na ke khana khana, or wo bhi tooti hui jagah se, lekin jo jagah tooti hui nahin hai wahan se paani pee sakte hain or makrooh bhi nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2602. + Minhaj ul Saliheen, part #3, maslah #952). [Updated on 07-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kuch bartano k kony totay hoty hain jese k cups plates wegera kia un bartano me khana makrooh he please btaen
Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 07-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam alekum..kya india m gaaye (cow) ka gosht khana halal h...
Answer: Jee han, sharaei taur par gaaye (cow) ka gosht khana Halaal hai. Q ke Halaal gosht haiwaan jungli ho ya paaltoo us ko agar sharaei tariqe ke mutabiq zibah kiya jaaye to us ki jaan nikal jaane ke baad us ka gosht halaal aur badan paak hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2546). [Updated on 03-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya hm isayo k Sath Khana kha skte hai
Answer: Jee han, Khaa sakte hain Q ke ahl e kitab yani esai(christen), yahoodi aur majoosi pak hain aur in ke sath khana khana jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #103). [Updated on 03-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya hm isayo k Sath Khana kha skte hai
Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 03-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya hm isayo k Sath Khana kha skte hai
Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 03-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya hm isayo k Sath Khana kha skte hai
Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 03-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]