Question: janab assalam o alaikum wa rahmatullahe wa barka tahu Q - kiya aurton ka jhuta khana jaiz hai jaise ke koi chij doodh se bani ho ya doodh hi kiyun na ho.
Answer: Jazi hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 53, Eidition 1430 hij). Update on dated 12-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salaam u alykum sir mera swal yha hay k , kiya muslman larki yha larky ka juta khana jaiz hay . thanks
Answer: Jazi hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 53, Eidition 1430 hij). Update on dated 12-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: KIA MOOR HALAL HA??? MENY AHGA SEESTANI KE TOZEEH MEIN HALAL PARINDON MEIN MOOR B PARHA HA?? KAI MOOR HALAL HA?
Answer: Ayatullah sistani(d.b) k fatwe main moor Halaal hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2587). Update on dated 15-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamu Alicom Molvi sahb Mera aap se Sawal ye he k kya Kia non muslim ka pka hova khana kha sktay hen ya nahi|| Aap k jawab ka mutzar rahonga Shukreya|| Abdul Qadeer khan Belgium
Answer: Musalman k liye ye jaiz hai k wo ahl e kitab k alawa dosray kafiroon k haath se bana hua khana kha le, is shart k sath k musalman ko is baat ka yaqeen aur itminaan na ho k kafir ne use geele haath lagaye hen. Aur is baat ka bhi yaqeen aur itminaan nah ho k is khane me aysi koe cheez shaamil hein jin ka khana haram he, Lekin Ahle kitab paak hen or un k hath ka khana chahe geela hath hi Q nah lag jaey halaal hai, siwaey ye k wo is men aysi cheez dakhil kare jis ka khana haram ho, Al’battah ghosht , charbi aur on se bani hoe cheez na ho. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 154,155, Pg # 120, Eidition# 5). Update on dated 15-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: beghair bismillah ke khan khana haram hai
Answer: Khana khanay sai pehlay bismillah parhna, khanay k aadab mai se shumar kia gya hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2599). Update on dated 12-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: assalam alekum,ji mere walid sahab ko canser hai unhe ek hakim ne gaye ki urin as a medicin batai hai kya iski ijazzat islam deta hai ya nahi shukriya
Answer: Elaaj k liay istemal kerne men koi harj nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2590). Update on dated 15-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: I want to ask that matti(soil) khana kio haram hai .
Answer: Aksar ahkam e sharai ka sabab or illaten (reasons) or shariyat k banane wale (yani khuda) ki nazar men qabil e aytebar maslihat hum logo se poshida hai, or hamari aqlain on ko samajhne se aajiz hain. Or wajib ye hai k illat or wajah per nazr kiye baghair wazeh hadees ki pairwi (following) karain.(Ref: Sharh-e-Lumah # 6, kitab e meras, nashir mkttab e naveed e islam, pg # 472). Update on dated 12-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: assalam alekum, mere abbu ko brain tumor hai ek hakim ne unhe cow ki urin peene ke liye kaha hai kya islam iski ijazat deta hai
Answer: Was-salaam o alaikum, ilaj k liay uoont, gaey, or bherh ka pishaab piya ja sakta hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2590). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kiy gair muslim k ghar ka khana khana jaiz.
Answer: Gosht or charbi k alawa us k ghar ka khana jaiz hai, lekin agar gher muslim ahl e kitab kafir nah ho or is baat ka yaqeen ho k us ne is khane men geela hath lagaya hai ya phir khane men koi aysi cheez shamil ki hai k jiska khana hi islam men jaiz nahi to is surat men us ke ghar ka khana jaiz nahi hia.(Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 154,155, Pg # 120, Eidition# 5). Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kounsi Machhliya Halaal hain aur Kounsi Haraam hain ?
Answer: Chilke wali machli halal hay or baghair chilke wali machili haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2578). Update on dated 12-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)