Question: dinner kartha waqt water kaun se haath se pee saktha hai
Answer: Seedhe (right) hath se.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2602 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: kya musalman chiristen ka bana hua khana kha sakte hain ya nhi.
Answer: Chiristen k hath ka bana hua har khana kha sakte hen, siwaey gosht or charbi k, Is tarah machli bhi kha sakte hen lekin in do sharton k sath k wo machhli chilke wali honi chahiay or usko pani se zinda pakrha gaya ho ya phir pakrne wale k jaal men phans k mar gae ho.(Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 152-to-161, Eidition# 5). Update on dated 06-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: aoa. sir main ap sy pochna chahta ho k kia bry ho k maa ka dodh pena jaiz hy k nae? or maa ka dodh haram to nae hay kia?
Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina par, is(dhodh) ko peenay se perhaiz kia jaay.. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated:05-11-11). Update on dated 16-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Can i drink beer
Answer: It is not permissible to drink, if “beer” means the drink made from barley that causes mild drunkenness. But if it means a drink made from barley that does not cause mild drunkenness, there is no problem in it. (Ref:http://www.sistani.org/index.php?p=616687&id=1141 ). Update on dated 16-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Tono fish khana halal hai ya nahi ?
Answer: Agar ye machli chilke(scales) wali hay tu halal hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 191). Update on dated 16-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kiya sea foods khana jaiz hai jaisy starfish or seepi ma jo keera hota hai
Answer: Samandari haiwanat men chilkay wali machli (jin main jheenga bhi shamil hai) k alawa baqi tamam haiwanaat haram hen. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 191). Update on dated 15-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: baghair chilke wali machli khana q haraam hai.???
Answer: Aksar ahkam e sharai ka sabab or illaten (reasons) or shariyat k banane wale (yani khuda) ki nazar men qabil e aytebar maslihat hum logo se poshida hai, or hamari aqlain on ko samajhne se aajiz hain. Or wajib ye hai k illat or wajah per nazr kiye baghair wazeh hadees ki pairwi (following) karain.(Ref: Sharh-e-Lumah # 6, kitab e meras, nashir mkttab e naveed e islam, pg # 472). Update on dated 15-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: meat slatur by machine is hallal
Answer: If the person running the slaughtering machine is a Muslim repeats the name of Allãh as long as the machine is continuing to slaughter, it is sufficient.(it is halal) (E.mail from Imam Ali Foundation eanswers@najaf.org 13 april 2012). Update on dated 15-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sir, main aap se pehle b yehi sawal pouch chuka ho mje reply nahi mila please tell me : Naswar rakhna haram hy ya nahi :
Answer: Nisawaar ka istemaal jaiz hai.( Ref: E-mail rcvd from A.sistani d.b, dated: 05-03-2013) Update on dated 15-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia muslman on logo k hath khanzeer ka ghosht bech sakta hai jo ise halal samajtay hain? Jisay ahl e kitab.
Answer: Musalman k liay ye jaiz nahi hai k wo Ahl-e-Kitab waghera k hath khinzeer ka gosht beche, jo k usay halal samjhte hen, Or ehtiyat-e-wajib ye hai unk liay khinzeer ka gosht pesh bhi nah kare. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 239, Pg # 162, Eidition# 5). Update on dated 15-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).