Question: Kya Bank mein job kerna sahi hai ya nahi?
Answer: Bank k wo shobe jahan soodi maamlaat te pate hen, jese recording, dealing etc , in men job kerna jaiz nahi hai, Albatta ayse departments jin men soodi maamlaat ka ta’al’luq nah ho jese school fees, electronic, or telephonic bill collection waghera, in men job kerne men koi harj nahi hai. (Ref:Ayat Ullah khoe(d.b), Masail-ul-Shariya, Part: 2,Mafhoom e Jawab # 01, pg:51) Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: I want to take a loan from Standard Chartered (Foreign Non-Islmic bank) and Askari Bank. They will charge interest. Under what conditions I can take out the loan?
Answer: 1)Private ya government ya sami- government bank say is shart per qraza laina keh qarz li gae raqam say ziyada ada kia jaey ga, tu ye sood or haram hay.Laikin agar koe shaks private bank se sood ada kerne ki shart k sath qarz le le tu qarza sahi hoga or is raqam ko istemaal kerna halal hoga or shart batil hogi or shart pora kerne k liay sood daina or laina haram hoga.or agar government bank ya sami-government bank say koe qarza le tu sood se bachne k liay wo shaks ye kare k dil main mujtahid se qarz lene ki niyat kare or is qarze per sood ada kerne ki niyat nah kare agarcha os ko maloom ho k government ya sami-government bank baad is se apni asal raqam or sood wusool kare gi, tab bhi is terah qarza lena jaiz hay. (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1,2,7). 2)Kaafir bank se sood (riba) ada karne ki shart par loan lena haram hai aur haram kaam se bachne k liay ye kar sakte hain k raqam ko kaafir bank se qarz ki niyat k baghair lain nah k loan ki niyat se agarchah jaante hoon k kaafir bank asal maal aur sood(riba) dono wosool karay ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #8, page#437). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey
Question: Can I take loan from foreign Bank for business purposes?
Answer: Kaafir bank se sood (riba) ada karne ki shart par loan lena haram hai aur haram kaam se bachne k liay ye kar sakte hain k raqam ko kaafir bank se qarz ki niyat k baghair lain nah k loan ki niyat se agarchah jaante hoon k kaafir bank asal maal aur sood(riba) dono wosool karay ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #8, page#437). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey
Question: Salam mera sawal yeh hai kia app mujh ko yeh bata saktain hain kai bank mai woh koun say sohbai aisay hain jin mai sodi kaam hota hain or kiya bank may cashier or accounts dept mai kaam karna jahis hai? Plz reply as soon as possible
Answer: Bank k wo shobe jahan soodi maamlaat te pate hen, jese recording, dealing etc , in men job kerna jaiz nahi hai, Albatta ayse departments jin men soodi maamlaat ka ta’al’luq nah ho jese school fees, electronic, or telephonic bill collection waghera, in men job kerne men koi harj nahi hai. (Ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Masail-ul-Shariya, Part: 2,Mafhoom e Jawab # 01, pg:51) Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Is it permissible to work in a bank?
Answer: It is not allowed if that involve dealing with interest. (Ref: (Ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masael,Mafhoom e Maslah #2876).Update on dated 03-04-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: I am working in Islamic bank Corporate Department .Is it permissible to work in Islamic banks.
Answer: It is allowed to work in the department where your job is not involved in haram transaction.(Ref: Email Rcvd from a.sistani dated: 03-04-15). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia Banking k kisi bhi department me kaam kerna haram hai or jis dept me haram hai woh bhi batadeejiye?
Answer: Bank k haram kaam maslan wo kaam jo soodi maamlaat se merboot (related) hain, haram hain or in shobo (departments) main kaam kerna haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #before 29). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: If bank collect interest on my salary I will collect my salary from this private bank?
Answer: 1-Private ya government ya sami- government bank main sood lene ki shart per raqam jama kerwana jaiz nahi hay or ye sood hay. 2- Private bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo pora jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #3,5.). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: investment in private banks on monthly munafa scheme
Answer: 1-Private ya government ya sami- government bank main sood lene ki shart per raqam jama kerwana jaiz nahi hay or ye sood hay. 2- Private bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo pora jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2856,2860.). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salaam alaikum I wanted to ask that i am an MBA . can i work in banks ? because previous i heard it was not allowed. iltemas e dua Khuda Hafeez
Answer: If your job does not have anything to do with interest, there is no problem in it. (Ref:Ayat Ullah Khoe(R.h), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2876). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).