Question: slam'mere husband bank se loan lena chahte hain mkan bnane k liye hum rent pe rehte hain r bht mushkil main hain' mgr bank loan pe sood lgta hai' kya sood pe qrz lena jaiz hai?
Answer: Private ya government ya sami- government bank say is shart per qraza laina keh qarz li gae raqam say ziyada ada kia jay ga, tu ye sood or haram hay.Laikin agar koe shaks private bank se sood ada kerne ki shart k sath qarz le le tu qarza sahi hoga or is raqam ko istemaal kerna halal hoga or shart batil hogi or shart pora kerne k liay sood daina or laina haram hoga.or agar government bank ya sami-government bank say koe qarza le tu sood se bachne k liay wo shaks ye kare k dil main mujtahid se qarz lene ki niyat kare or is qarze per sood ada kerne ki niyat nah kare agarcha os ko maloom ho k government ya sami-government bank baad is se apni asal raqam or sood wusool kare gi, tab bhi is terah qarza lena jaiz hay. (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1,2,7). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Bin islamic mulk me kafir ki bank se sud liya ja sakta hai but us benk me muslim logo ke bhi accounts hote hai to kya aisi bank se sud liya ja sakta hai???
Answer: Jis bank ka sarmaya(capital) kafiro ka ho us se sood lena jaiz. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #8 , Pg # 437, Eidition# 5). Update on dated 27-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Bank Main Sona Gold Rakhwa kr loan lay sakty hain? is par Bank sood lay ga kia yah jaiz hy.
Answer: Kisi shaks se ya private ya government ya sami- government bank say is shart per qarza laina keh qarz li gae raqam say ziyada ada kia jaey ga, tu ye sood or haram hay.Laikin agar koe shaks private bank se sood ada kerne ki shart k sath qarz le le tu qarza sahi hoga or is raqam ko istemaal kerna halal hoga or shart batil hogi or shart pora kerne k liay sood daina or laina haram hoga.or agar government bank ya sami-government bank say koe qarza le tu sood se bachne k liay wo shaks ye kare k dil main mujtahid se qarz lene ki niyat kare or is qarze per sood ada kerne ki niyat nah kare agarcha os ko maloom ho k government ya sami-government bank baad is se apni asal raqam or sood wusool kare gi, tab bhi is terah qarza lena jaiz hay. (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1,2,7). Update on dated 03-10-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam O Alykum Mera sawal ye hy k kYa bank ki job krna jaaiz hy ???
Answer: Bank k haram kaam maslan wo kaam jo soodi maamlaat se marboot (related) hain, haram hain or in shobo (departments) main kaam kerna haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 39,chapter bank ki mulazimat maslah no before 29). Update on dated 31-10-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: asalamualikum bhi mera sawal hy k bhi qarze k bare kuch malomat chahye main bank se qarza lyna chahta hn ?...or main ne ap k yeh sb sms b parhe hain un main taqreebn ap haar jaga kuch u likha hy mjhy us ki sam nhi a rahi .....
Answer: Was Salam. Jo log bank sai qarz k unwaan sai ya kisi or unwaan sai raqam lete hai jub k maamla sharai tor par anjaam paaya ho to raqam lene mai koi harj nahi hai yaaney agar bank qarza dai raha hai baghair sood lie to aise maamlay mai koi harj nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah khomeni, maslah #2848). Update on dated 13-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya Bank ya finance company me accountant ki job halal hai?
Answer: Bank k wo shobe jahan soodi maamlaat te pate hen, jese recording, dealing etc , in men job kerna jaiz nahi hai, Albatta ayse departments jin men soodi maamlaat ka ta’al’luq nah ho jese school fees, electronic, or telephonic bill collection waghera, in men job kerne men koi harj nahi hai. (Ref:Ayat Ullah khoe(d.b), Masail-ul-Shariya, Part: 2,Mafhoom e Jawab # 01, pg:51). Update on dated 22-02-2019. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salaamun aleykum Mujhe aapse se poochna hai ke mai dubai mai mall mai kaam kar raha hun or mai apni salery apne bhai ko india bhej deta hun wo bank mai jama kr deta hai kya bank mai paisa jama krna sahi hai plz btaaiye
Answer: wsalam. jee bank main pasie jama karna sahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41, pg#436). [Updated on 24-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: MCB bank Jo kai ak interest based bank hai.. Is kai call center main job karna ksa hai jbaky hum ko srf card activation karni hoti hai or kuch nahi
Answer: Bank k wo shobe jahan soodi maamlaat te pate hen, jese recording, dealing etc , in men job kerna jaiz nahi hai, Albatta ayse departments jin men soodi maamlaat ka ta’al’luq nah ho jese school fees, electronic, or telephonic bill collection waghera, in men job kerne men koi harj nahi hai. (Ref:Ayat Ullah khoe(d.b), Masail-ul-Shariya, Part: 2,Mafhoom e Jawab # 01, pg:51). [Updated on 12-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Islamic bank me saving account khulwana jaiz hy ya nai? Kiya islamic bank me account khulwa skte hain?
Answer: 1-Private ya government ya sami- government bank main sood lene ki shart per raqam jama kerwana jaiz nahi hay or ye sood hay. 2-Government bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo is sorat main jaiz hay jab sood ki adhi raqam deendaar ghareeb or mustahaq afraad ko sadqa di jaay. 3- Private bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo pora jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #3,5.). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). [Updated on 06-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam......private bank se loan Lena sahi ha........mujhe bataya Jaye ke ye kaise sahi ha shukriya
Answer: 1-2) Kisi shaks se ya private ya government ya sami- government bank say is shart per qarza laina keh qarz li gae raqam say ziyada ada kia jaey ga, tu ye sood or haram hay.Laikin agar koe shaks private bank se sood ada kerne ki shart k sath qarz le le tu qarza sahi hoga or is raqam ko istemaal kerna halal hoga or shart batil hogi or shart pora kerne k liay sood daina or laina haram hoga.or agar government bank ya sami-government bank say koe qarza le tu sood se bachne k liay wo shaks ye kare k dil main mujtahid se qarz lene ki niyat kare or is qarze per sood ada kerne ki niyat nah kare agarcha os ko maloom ho k government ya sami-government bank baad is se apni asal raqam or sood wusool kare gi, tab bhi is terah qarza lena jaiz hay. (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1,2,7). [Updated on 16-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]