Question: Kia Private Bank mein telephone operataing ki job karna jaiz hai?
Answer: Jaiz hay. (Ref: Mafhoom e email rcvd from a.sistani. dated: 19-03-15) Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: AGHA SB MAY BANK MAY KAM KARTA HO FAYSAL BANK MAY AND MERA KAM OPERATION SUPPORT HAY MAY BRANCHES MAY VISIT KARTA HO LIKE AUDIT TYPE KIA BANK SAY MILNAY WALI SALARY MUJH PER HARAM HAY.
Answer: If your job does not have anything to do with interest, there is no problem in it. (Ref:Ayat Ullah Khoe(R.h), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2876). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Bank ma job karna kasa ha
Answer: Bank k haram kaam maslan wo kaam jo soodi maamlaat se merboot (related) hain, haram hain or in shobo (departments) main kaam kerna haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #before 29). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: meray father zinda nai hai,hm nay kuch paisay invest kiay hai national saving mai kia uska profit hmary lea halal hai?
Answer: 1-Private ya government ya sami- government bank main sood lene ki shart per raqam jama kerwana jaiz nahi hay or ye sood hay. 2-Government bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo is sorat main jaiz hay jab sood ki adhi raqam deendaar ghareeb or mustahaq afraad ko sadqa di jaay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #3,5.). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia national saving certificates say milnay wala profit jaiz hai?
Answer: 1-Private ya government ya sami- government bank main sood lene ki shart per raqam jama kerwana jaiz nahi hay or ye sood hay. 2-Government bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo is sorat main jaiz hay jab sood ki adhi raqam deendaar ghareeb or mustahaq afraad ko sadqa di jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #3,5.). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalam o alaikum agar koi amount 5saal ya kuch arsy k liye fixed kr diya jaye or us pa monthly kuch munafa bank hamary acount ma transfer kary to kiya us mafy ki raqm ka istimal jaiz hai
Answer: 1-Private ya government ya sami- government bank main sood lene ki shart per raqam jama kerwana jaiz nahi hay or ye sood hay. 2-Government bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo is sorat main jaiz hay jab sood ki adhi raqam deendaar ghareeb or mustahaq afraad ko sadqa di jaay. 3- Private bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo pora jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #3,5.). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: qibla sahib kiya banks ki job jaiz hai
Answer: Bank k haram kaam maslan wo kaam jo soodi maamlaat se merboot (related) hain, haram hain or in shobo (departments) main kaam kerna haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #before 29). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: A-O-A MERA SAWAL YE HY KHY KAFIR BANK SY LOAN LY SAKTY HEN? AUR AGER MAJBORAN NA DY SAKYEN TO KY KAREN AUR ES KA KHUMS KYSY NEKAL SAKTY HEN? AUR MUJTAHED TAK KYSY khums ke raqm dy sakty hen ? khuda hafiz
Answer: Kaafir bank se sood (riba) ada karne ki shart par loan lena haram hai aur haram kaam se bachne k liay ye kar sakte hain k raqam ko kaafir bank se qarz ki niyat k baghair lain nah k loan ki niyat se agarchah jaante hoon k kaafir bank asal maal aur sood(riba) dono wosool karay ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #8, page#437). 2)Qarz ki asal raqam per khums wajib nahi hota Q k os raqam k aap malik hi nahi hotay. Agar ye bank private ho tu saal ki amadani (income) se jitni raqam bank ko wapas kerdi ho or qarze ki asal miqdaar aap k saal k akhrajaat main istemaal nah hoe ho tu otni miqdaar ka khums nikaalna wajib hoga. (Ref: Mujtahid se pochay gay sawalaat,part#1, sawaal#108) 3) Ayatullah Sistani(d.b) k Karachi main bohot se vakeel maujood hain.jin main se aik Maulana Ali Raza Mehdavi hain.or Madrasa Quran o Itrat Academy k principal bhi hain.or in ka contact number 021-32226948, 021-32237207 hay.(Ref:www.qoitrat.org). Addres: 365/1, pire street , garden east karachi Pakistan. Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mere bank account main paise hai aur bank us ka interest deta hai to wo paise kharch karna jaiz hai,ya haram hai?
Answer: 1-Private ya government ya sami- government bank main sood lene ki shart per raqam jama kerwana jaiz nahi hay or ye sood hay. 2-Government bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo is sorat main jaiz hay jab sood ki adhi raqam deendaar ghareeb or mustahaq afraad ko sadqa di jaay. 3- Private bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo pora jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #3,5.). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sood lena aure dena kesa hai
Answer: Private ya government ya sami- government bank say is shart per qraza laina keh qarz li gae raqam say ziyada ada kia jaey ga, tu ye sood or haram hay.Laikin agar koe shaks private bank se sood ada kerne ki shart k sath qarz le le tu qarza sahi hoga or is raqam ko istemaal kerna halal hoga or shart batil hogi or shart pora kerne k liay sood daina or laina haram hoga.or agar government bank ya sami-government bank say koe qarza le tu sood se bachne k liay wo shaks ye kare k dil main mujtahid se qarz lene ki niyat kare or is qarze per sood ada kerne ki niyat nah kare agarcha os ko maloom ho k government ya sami-government bank baad is se apni asal raqam or sood wusool kare gi, tab bhi is terah qarza lena jaiz hay. (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1,2,7). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).