Question: Agar koi muslman bank k computer sai apna maal niklna chahae aur computer sai is ki matlooba miqdar sai ziada maal nikl aye to kia is ziada maal ko wasool krna jaiz hai jis ka ghair islami bank ko ilm nhi?
Answer: Jaiz nahi. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #226 , Pg #147 , Eidition# 5). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mere cousin hai jo non-muslim ko 4 to 5 percent monthly interest pe paise dete hai aur ye hi unka source of income hai is it halal or haram
Answer: Kafir se sood lena jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #8, pg#437). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: muje car lena hain loan se kya le sakti hu income tax bachane ke liye muje loan se car leni can i
Answer: Private ya government ya sami- government bank say is shart per qraza laina keh qarz li gae raqam say ziyada ada kia jay ga, tu ye sood or haram hay.Laikin agar koe shaks private bank se sood ada kerne ki shart k sath qarz le le tu qarza sahi hoga or is raqam ko istemaal kerna halal hoga or shart batil hogi or shart pora kerne k liay sood daina or laina haram hoga.or agar government bank ya sami-government bank say koe qarza le tu sood se bachne k liay wo shaks ye kare k dil main mujtahid se qarz lene ki niyat kare or is qarze per sood ada kerne ki niyat nah kare agarcha os ko maloom ho k government ya sami-government bank baad is se apni asal raqam or sood wusool kare gi, tab bhi is terah qarza lena jaiz hay. (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1,2,7). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: A-O-A mera sawal ye hy khy ky kafir bank sy loan ly sakty hen aur ager kese magbure sy wapas na kar sa ky to sahe hy aur es ka khumes nekal sakty hen.es raqam ka men insurans ke raqam dy chuka hon.
Answer: Private ya government ya sami- government bank say is shart per qraza laina keh qarz li gae raqam say ziyada ada kia jay ga, tu ye sood or haram hay.Laikin agar koe shaks private bank se sood ada kerne ki shart k sath qarz le le tu qarza sahi hoga or is raqam ko istemaal kerna halal hoga or shart batil hogi or shart pora kerne k liay sood daina or laina haram hoga.or agar government bank ya sami-government bank say koe qarza le tu sood se bachne k liay wo shaks ye kare k dil main mujtahid se qarz lene ki niyat kare or is qarze per sood ada kerne ki niyat nah kare agarcha os ko maloom ho k government ya sami-government bank baad is se apni asal raqam or sood wusool kare gi, tab bhi is terah qarza lena jaiz hay. (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1,2,7). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: asslamualikum mera sawal yeh h a k kia hum ek kafir ki company main paise invest kar sakhtey or wo humey har 10 days badd profit de bina koi mehnat kiye yeh kia jaiz ha ??
Answer: Munafa (profit) lene k liay on banko main raqam jama kerna jaiz hay, jin main ghair muslimo ka sermaya (capital) laga hoa ho chahay wo bank private hoon, government hoon ya mushtarka(semi-government) hoon. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #8). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mera bhai dubai me kaam karta hai 2 saal se paisa jama kiya india me ghar lene ke liye paise kam pad rahe hai to kya home loan leke ghar le sakte hai?
Answer: Kisi shaks se ya private ya government ya sami- government bank say is shart per qarza laina keh qarz li gae raqam say ziyada ada kia jaey ga, tu ye sood or haram hay.Laikin agar koe shaks private bank se sood ada kerne ki shart k sath qarz le le tu qarza sahi hoga or is raqam ko istemaal kerna halal hoga or shart batil hogi or shart pora kerne k liay sood daina or laina haram hoga.or agar government bank ya sami-government bank say koe qarza le tu sood se bachne k liay wo shaks ye kare k dil main mujtahid se qarz lene ki niyat kare or is qarze per sood ada kerne ki niyat nah kare agarcha os ko maloom ho k government ya sami-government bank baad is se apni asal raqam or sood wusool kare gi, tab bhi is terah qarza lena jaiz hay. (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1,2,7). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam, mera sawal hey ky bank main paisay fix kara ky us ka prophit laina islam main jaiz hey ya nahi aur aisa krna kya kehlata hy plz tell me in detail thankx
Answer: 1-Private ya government ya sami- government bank main sood lene ki shart per raqam jama kerwana jaiz nahi hay or ye sood hay. 2-Government bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo is sorat main jaiz hay jab sood ki adhi raqam deendaar ghareeb or mustahaq afraad ko sadqa di jaay. 3- Private bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo pora jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #3,5.). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: main bank kam karta ho kia bank job sahi hai yani harm to nhi
Answer: Bank k haram kaam maslan wo kaam jo soodi maamlaat se merboot (related) hain, haram hain or in shobo (departments) main kaam kerna haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #before 29). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar bank say loan liya jy aur full hardwork kiya jy phir bank ko us ki Sara lagan ada ker diya jy baqi Jo reqm(profit) bachti hai us main soud shamil hai k nai?
Answer: Private ya government ya sami- government bank say is shart per qraza laina keh qarz li gae raqam say ziyada ada kia jay ga, tu ye sood or haram hay.Laikin agar koe shaks private bank se sood ada kerne ki shart k sath qarz le le tu qarza sahi hoga or is raqam ko istemaal kerna halal hoga or shart batil hogi or shart pora kerne k liay sood daina or laina haram hoga.or agar government bank ya sami-government bank say koe qarza le tu sood se bachne k liay wo shaks ye kare k dil main mujtahid se qarz lene ki niyat kare or is qarze per sood ada kerne ki niyat nah kare agarcha os ko maloom ho k government ya sami-government bank baad is se apni asal raqam or sood wusool kare gi, tab bhi is terah qarza lena jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1,2,7). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: SALAM.MAIN YEH POCHNA CHAHTA HU K ZANJEER CHALANA HALAL HAI YA HARAM MUJHE KAFI DAFA ZANJEER CHALANY K ISHARAY HOWAY HAIN LYKIN GHR WALAY IS BAAT KO BURA MANTAY HAIN KOI AISA JUWAB DAIN K SABIT HO ZANJEER HALAL HAI OR MAIN MOLA HUSSAIN KA MANGTA HU
Answer: Is taraf se is maamlay main hum manfi(No) or masbat(yes) nazariye ka izhaar nahi kerte hain, momineen is maslay main doosray jaami,osh shara,et mujtahid ki aalam fal aalam ki pabandi kerte hoay taqleed ker sakte hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istaftaat, part#1,Edition 1435 hijri,Mafhoom e Maslah #177, pg#119). [Updated on 10-08-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]