Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 5594
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Profit received from investment in National Saving Certificates of Government of Pakistan is halal or haram?

Answer: Government bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo is sorat main jaiz hay jab sood ki adhi raqam deendaar ghareeb or mustahaq afraad ko sadqa di jaay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #3,5.). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5917
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam qibla me ek goverment emplooyer hon kya main goverment ki zimedari par ek private bank se qarza le sakta hon

Answer: Private ya government ya sami- government bank say is shart per qraza laina keh qarz li gae raqam say ziyada ada kia jay ga, tu ye sood or haram hay.Laikin agar koe shaks private bank se sood ada kerne ki shart k sath qarz le le tu qarza sahi hoga or is raqam ko istemaal kerna halal hoga or shart batil hogi or shart pora kerne k liay sood daina or laina haram hoga.or agar government bank ya sami-government bank say koe qarza le tu sood se bachne k liay wo shaks ye kare k dil main mujtahid se qarz lene ki niyat kare or is qarze per sood ada kerne ki niyat nah kare agarcha os ko maloom ho k government ya sami-government bank baad is se apni asal raqam or sood wusool kare gi, tab bhi is terah qarza lena jaiz hay. (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1,2,7). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6212
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: main ek govt bank me job krta hu, mujhe yaha din bhar paise ka len den dekhna hota hai,isme sood ki rakam ka len den bhi shamil hota hai, kya meri job haraam hai?

Answer: Haram hay. (Ref : Ayat ul Allah Sistani (db) Book : Jadeed Fiqhi Masaail, Mafhoom e Masla # 283, Pg # 175). Update on dated 11-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 6758
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia bank sy Qarza ly kar makan tamer kia ja sakta hy?

Answer: Bank se soodi qarza lena jaiz nahi. Laikin is haram maamle se bachne k liay ye tariqa ikhteyaar kia jasakta hay. 1-Qarz lene wala bank k malik ya os k wakeel se koe cheez bazaari qimat se 10% ya 20% ziyada qimat per khariday takeh bank osay khuch raqam bataur e qarz day day. Tau aisi sorat main qarz lena jaiz hoga or ye soodi karobaar bhi nahi hay. 2-or isi terah aik raqam ko is se ziyada raqaz k badale kisi cheez k sath shamil ker k bechanay haram sood ka hukum khatam ho sakta hay.maslan 100 rupay ko aik machis k sath aik maah baad ada kiay jane wale 110 rupay k badle frookht kerna sahi hay Q k ye soodi qarz nahi hay balkeh khareed o frokht hay. (Ref: Ayat Ullah Hafiz basher najafi(d.b), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2854). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7155
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is it permissible to take interest on regular income certificates?

Answer: 1-Private ya government ya sami- government bank main sood lene ki shart per raqam jama kerwana jaiz nahi hay or ye sood hay. 2-Government bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo is sorat main jaiz hay jab sood ki adhi raqam deendaar ghareeb or mustahaq afraad ko sadqa di jaay. 3- Private bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo pora jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #3,5.). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7178
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: KIA BANK SAI FINANCE PER CAR LAI SAK TI HAI

Answer: Private ya government ya sami- government bank say is shart per qraza laina keh qarz li gae raqam say ziyada ada kia jay ga, tu ye sood or haram hay.Laikin agar koe shaks private bank se sood ada kerne ki shart k sath qarz le le tu qarza sahi hoga or is raqam ko istemaal kerna halal hoga or shart batil hogi or shart pora kerne k liay sood daina or laina haram hoga.or agar government bank ya sami-government bank say koe qarza le tu sood se bachne k liay wo shaks ye kare k dil main mujtahid se qarz lene ki niyat kare or is qarze per sood ada kerne ki niyat nah kare agarcha os ko maloom ho k government ya sami-government bank baad is se apni asal raqam or sood wusool kare gi, tab bhi is terah qarza lena jaiz hay. (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1,2,7). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7242
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: fixed deposite ma jonsy paisay zaid milty hy kia insan usay khud pr kharch kr skta hy .woh haram tu ni hoty

Answer: 1-Private ya government ya sami- government bank main sood lene ki shart per raqam jama kerwana jaiz nahi hay or ye sood hay. 2-Government bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo is sorat main jaiz hay jab sood ki adhi raqam deendaar ghareeb or mustahaq afraad ko sadqa di jaay. 3- Private bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo pora jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #3,5.). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7249
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya Fix Deposite Pe Bank Me Pesay rakhnay Ke Bad Jo Dogna Raqam Milti hai Kya Ye Izafi Raqam Layna Jaiz Hai??? Kya Ya Sood Me Shamil Hi?????. Please Give Me Answer Very Quicklt . Jazzakaallah.

Answer: 1-Private ya government ya sami- government bank main sood lene ki shart per raqam jama kerwana jaiz nahi hay or ye sood hay. 2-Government bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo is sorat main jaiz hay jab sood ki adhi raqam deendaar ghareeb or mustahaq afraad ko sadqa di jaay. 3- Private bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo pora jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #3,5.). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7291
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia bank job krna jaiz he.....?

Answer: Bank k haram kaam maslan wo kaam jo soodi maamlaat se merboot (related) hain, haram hain or in shobo (departments) main kaam kerna haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #before 29). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7796
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam o alekm me dubai me job kar rah hun mai yabha banck ka credit card use karsakte hai

Answer: Credit card use kerna jaiz hay laikn, Private ya government ya sami- government bank say is shart per qraza laina keh qarz li gae raqam say ziyada ada kia jaey ga, tu ye sood or haram hay.Laikin agar koe shaks private bank se sood ada kerne ki shart k sath qarz le le tu qarza sahi hoga or is raqam ko istemaal kerna halal hoga or shart batil hogi or shart pora kerne k liay sood daina or laina haram hoga.or agar government bank ya sami-government bank say koe qarza le tu sood se bachne k liay wo shaks ye kare k dil main mujtahid se qarz lene ki niyat kare or is qarze per sood ada kerne ki niyat nah kare agarcha os ko maloom ho k government ya sami-government bank baad is se apni asal raqam or sood wusool kare gi, tab bhi is terah qarza lena jaiz hay. (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1,2,7). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!