Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 34
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya A.Sistani kay Fatwa kay Mutabiq French Cut Darhi rakhna theek hay ya nahi?

Answer: French cut darhi "Aihtiyat" ki bina par jaiz nahi hay. Ref:Question No.160 Book-1 (Mujtahid se pooche gaye sawalat)

Id: 35
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aap nay French Cut darhi kay masalay main jawab diya hay kay ye Aihtiyat ki bina par sahih nahi hay to kiya is Aihtiyat main kisi aur Mujtahid ki taraf rujoo kiya ja sakta hay?

Answer: Kisi bhi Masala main AIHTIAT-E-WAJIB OR LAZIM aaney ki soorat mai FAL AALAM ki taraf rujoo kia jasakta hia. Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Fiqhi Istelahat

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 42
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: What is the fatwa of mujtahid regarding french cut Darhi. Is Islam encouraged family planning.

Answer: French cut darhi ahtiyat-e-wajib kee bina par jaiz nahi hay. Ref: Mujtahid Sey Poochay Gaye Sawalaat (Part 1) Ques No. 160. Family planning aik detail topic hay jis key liye munasib yeh hay keh aap kisee aalim e din sey rujoo kijye.

Id: 123
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: is french cut beared is allowed in any present mujtahid??

Answer: Aihtiyat-e-Wajib ki bina par French Cut darhi rakhna kaafi nahi hay.Ref:Book-3 Q.No.154.

Id: 141
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asalamoalikum,sir main poochna chahta hoon kkiya fiqha e jaafriya main beared wajib hai ya nahi?aur kiya french{beared} rakh saktay hain ya nahi

Answer: Aihtiyat-e-Wajib ki bina par darhi moondna JAIZ NAHI hay aur Aihtiyat-e-Wajib ki bina par ye bhi JAIZ NAHI hay kay sirf thouree par darhi kay kuch hissay ko rehnay diya jaey ,haan thouree kay nichlay hissay aur gaaloo kay ubhray hoay hissay par khat banana JAIZ HAY.French Cut Aihtiyat-e-Wajib ki bina par JAIZ NAHI hay.Ref:Book-1 Q.No.158,160.

Id: 182
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Darhi(beard)rakhna wajib hay?kya quran main iskay mutalliq koi hukm hay?

Answer: Jee haan Darhi rakhna wajib hay. aur tamam marajieen apnay jawabaat quran o sunnat ki roshni main hi diya kartay hain. Ref: Istiftaat Ayatullah Khaminae Masala No.328

Id: 192
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Molana Sahab Salam, kia French cut beared( Dari ) shariat ke mutabik hogi plz tafsily jawab de thanks

Answer: Jee haan French Cut darhi rakhna sahih hay.Ref:Siratun Najat A.Khoie Part-2 Q.No.906.

Id: 207
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ayatullah seestani kay mutabiq darhi ka kiya masala hay ,kiya French Cut Darhi rakhna jaiz hay ?

Answer: Salam un Alaikum Ehtiat e Wajib ki bina par darhi moondhna jaiz nahi hai.French Cut Darhi Ehtiat e Wajib ki bina par jaiz nahi hai. Ref:Prob No 158&160 Book (Mujtahid se Pooche Gaye Sawalat Part1)

Id: 222
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Many people argue that beard is not an important wajib - I dont understand that- either it is wajib or not? need a clear answer with details.

Answer: Daarhi Moondhna Aihtiyaat ki bina par jaiz nahi hay aur Aihtiyaat ki bina par sirf French Cut bhi kaafi nahi. Ref:Mujtahid say poochay gaey Sawalaat(QIA) Part-3 Q-154,Pg-71.

Id: 283
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya frenchcut darhi sahih hay?

Answer: Darhi kay baaz hissoon ko kaatnay ka hukm khud darhi kaatnay jaisa hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Khaminae Pg.No.176,Q.No.331.

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!