Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 7054
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salaam mera sawal ye hai ke kya dadhi itni rakhna zaruri hai ke kuchh faasle se nazar aa jaaye? kya zero machine se halki dadhi rakh sakte hai? shukriya

Answer: Ager aam loog kehain ke is ne dahri rakhi hoi hai to itna kafi hai, or ager ye miqdaar zero machine se hasil na ho to ye machine nahi lagwa sakta.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1 , sawaal # 159 , pg # 80 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae)

Id: 7616
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Roze me dadhi

Answer: Ehtiyat e wajib ki bina par darhi mundwana jaiz nahi hai. Laikin darhi mundwane se roza batil nahi hota . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2042, 1553). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 7742
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum...mujhy ap c ye puchna h agar koi darhi rakhny ki niyat karly or wo abi barhi na ho usi douran wo darhi mundwa k khat rakhna chahy tou kya jaiz h?? or kch wajuhat ye b h wo darhi k ehkamaat p pura nai utar sakty

Answer: Wssalam o alykum, Ehtiyaat e wajib ye hai k dhaari moondhna jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1 , sawaal # 158 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 8127
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir darhi kitne rakhni chaye 1 mothe ya is se ziada

Answer: Dhari ki Sherie miqdaar ye hai k zaroori ha k aam log is dhari rakhne wale shakhs ko dekh kr kahen k ye dhari wala hai.(Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 1, ques # 159 pg # 80) Dhari ko darmiyana rakhna sannat hai. yani na ziyada lambhi ho na buhat kam aur aik muthi se ziyada dhari barhana makroh hai.( ref: tehzeeb ul islam ,pg: 181) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8385
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam oalikum mera sawal hai kia job k liye dhari choti karana jaiz hai

Answer: Dharhi Choti karane me koi harj nahi. Ahtiyat-e-wajib ki bina per mard k liay dharhi mundhwana (clean shave) jaiz nahi. Or Ahtiya-e-wajib ki bina per mard ko ijazat nahi ke sirf thori ke baal rakhay or baqi mundhwa de. (Ref : Aqai Sistani,Jaded Faqhi Masayl, Masla # 473,474 Pg # 255). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 8405
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: as salam o alikum sir mera sawal ye ha ke khya dahri ke baray me quran me khoi zikar ha ?

Answer: Quarn main darhi ka zahiran koe hokum nahi laikin bohot si ahadees main is ka zikr aya hay in main se aik hadees paish e khidmat hay. Rasool Allah ne farmaaya: Aatish parast apni dhari mondte hain aur mouche barhaate hain aur magar hum musalmaan mouche chuti aur dhari lambi rakhte hain aur ye fitrat k mutabiq hai. Update on dated 17-04-2015.(Ref: Jadeed masail,jild#1,Mafhoom e pg# 78). (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8590
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: a o a janaab mera swal hi k fiqa jafria k mutabaq darhi ketni honi chahyia ahdees r quran ka hwala b din thnks

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina thorhi(chin) ki darhi k baal moondna(shave) jaiz nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), al-masel ush shariyah,Mafhoom e Question #14). Update on dated 05-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8621
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya french darhi islam ma jayez ha ?

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina per french cut rakhna jaiz nahi hay. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 158, Mafhoom e pg #80). Update on dated 24-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9092
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: majburi mai darhi katana kesa (majburi:job na milna log jaha b jao kaha jata ha darhi katni padgi maine kai job chod di h dadi katne ki bat ko le kar par job kana b zaruri h to please bataye mai kya karu )

Answer: Ehtiyaate wajib ki bina per dhari mundwana jaiz nahe hai aur kise company me job ki khatir is ka mundwano halaal nahi hota. (Ref: Jadeed fiqhe masaail,pg:258,masla:486). Mashwara: aap aisa karain keh French cut drahi ayatollah sistani d.b k fatwe main ehtiyaat e wajib ki bina per durust nahi laikin aap is ehtiyaat main fal alam(2nd aalam mujhtahid) ki jaib ruju ker lain, agar on k fatwe main frenchcut darhi jaiz ho tu phir aap frenchcut rakh ker job ker lain. Or yun loog bhi aap per ayteraaz nahi karain gaey or aap ko job mil jaey gi or aap haram se bhi bach jain gaey.

Id: 9257
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia Mard ka apni biwi ki ijazat k beghair darhi rakhna jaiz hai ya ni. Agar darhi rakhny pa biwi nakhush hai to mard ko rakhni chya ya ni ?

Answer: Darhi rakhne main bivi ya waldain ki ijazat ki zarorat nahi or on ki is kaam main naraazgi se bhi keo faraq nahi perhta. Allah ko naraz ker k makhlooq ko khush nahi kia jaasakta.(Ref: tauzihul masael jaame, part#1, maslah#2291). Up to date: 15-11-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!