Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9453
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya me ramjaan me shaving aur cutting kara sakta hu

Answer: Shaving kernaharam hay lekin cutting karwa sakty hen. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2042+ Mujtahid say poochay gaey sawalaat jild#4, maslah#196). Update on dated 01-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9716
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir mein huquq Allah aw huquw ul ebad ka zeyada khyal rakta ho. darhi rakne ke buhut koshish ke liken barqrar nahi rak sakta ho. Darhi tora barhi karti ho aik no. Tak .Per mundwata ho. Ke ye gunaeh kabira mein shumar hota hai ya saghira mein.

Answer: Dhari ki Sherie miqdaar ye hai k zaroori ha k aam log is dhari rakhne wale shakhs ko dekh kr kahen k ye dhari wala hai.(Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 1, ques # 159 pg # 80.2) Dhari monda ehteyaat ki bina jaiz nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39 th edition, maslah #2042,1553 ). Update on dated 11-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11531
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia khat rakhny k baad clean shave krna gunh hy?

Answer: Daarhi ka moondhna (clean shave) ehtiyaat e waajib ki binaa par haraam hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2042), [Updated on 20-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11552
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: darhi rakhna sunnat hai Lekin kya kiya darhi rakhna sy koi bhi nabi ho jata h

Answer: Darhi mundna ehtiyaat e wajib ki bina per jaiz nahi hay. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02752/). [Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey] 1

Id: 12422
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: dhari k baal kutrna haram hai ya nahi kindly mujhe daleel k sath btata kisi b kitab ya hadees ka hawala dy kr

Answer: Dhari ka mundwana ehtiyate wajib ki bina par jaiz nahi hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02752/). [Updated on 05-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13522
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mangal k din darhi or sir k bal mundwana theek hai ya nhi?

Answer: Din chahe mangan(tuesday) ho ya koi aur, Darhi ka mundwana ehtiyaat e wajib ki bina par jaiz nahi hai. lekin sar ke baal mundwana jaiz hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, Edition 33rd, maslah #2042) [Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13624
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.O.A Mera sawal ye hai ka fiqa jafriya ma darhi sunat ha ya wajib.

Answer: Daarhi ko mundwaana ehtiyat e wajib ki bina par haraam hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2042). [Updated on 05-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13693
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Dhadi aur moochh katwane se gusal toot jati hai ya nahi namaz padh sakte hai ya nahi quran sharif padh sakte hai ya nahi

Answer: Daarhi ka mundhwaana ehtiyaate wajib ki bina par haram hai. Laikin ye amal mubtilaat e wuzu mai sai nahi hai lehaza aap ka wuzu salamat hai or aap namaz o quran bhi parh sakte hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 322). [Updated on 16-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14004
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Dharhi mund Kar(chips Kar) namaz padhna kaisa hadees ki roshani me

Answer: Daarhi mundwana ehtiyat e wajib ki bina par jaaiz nahi hai. Lekin is amal sai namaz saaqit nahi hoti adaa karna wajib hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2042). [Updated on 28-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14575
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Darhi ki niyat kr k darhi rakh li jaye or phir kisi majboori ki vaja se mundvana jaiz he?

Answer: Darhi ka moondna(mundwana) aur is ki aujrat lena ehtiyat e wajib ki bina par jaiz nahin hai laikin majboori ho to jaiz hai ya is ka tark zarrar ka sabab banay aur mushaqat bhi aisi k aam tor par osay bardasht na kia ja sakay. Chahay tamaskhur aur ahanat q na ho.(yani koi mazaq hi q na karay). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2042). [Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!