Question: darhi kitni bari honi chaya
Answer: DARHI is had tak hona tu wajib hay ke urf(awaam) mein issay dari kaha ja sakay. REF: www.sistani.org, urdu istiftaat, dari, Q:7.
Question: Dir Sir, Will a farz namaz of a person becomes void If he offers it without having beard on his face? Looking Forward
Answer: Shaving of beard is unlawful act for men as an obligatory precaution (haram). But without beard prayers will not be void.(Ref : A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah #473, Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 717-1530).
Question: plz tell me method of doing halal of beard
Answer: 1) Ethiat e wajib ki bina per mard k lie darhi mundwana jaiz nahi naiz ethiat e wajib k toor per mard ko ye haq nahi pounchta k sirf tohri k baal rakhe aur baqi mundva lay. (ref : jadid faqhi masyl ayat ullaha sistani d.b. masla # 473 , pg # 255) 2) DARHI is had tak hona tu wajib hay ke urf(awaam) mein issay dari kaha ja sakay. REF: www.sistani.org, urdu istiftaat, dari, Q:7. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Allah khoobsurat hai or khoobsurat cheezon ko pasand karta hai is hadeeth se muje dari mundwane k bare main btayain?
Answer: Rasool e Akram(s.a.w.w) say manqool hay keh jab Allah nay hazrat Adam(a.s) ki taubah(jo k tark e aula{behtareen kaam ko chorhna ya os par amal nah kerna})qabool fermae tu unho nay sijdah e shukar ada kia or sijday say sar utha ker aasmaan ki taraf dikha or arz kia k Allah maira husun or jamaaal berha day,thurhi dair nah guzri thi keh on k cherah e mubarak per darhi nomodaar hogae.q k is say pehlay on ki darhi nah thi.Adam(a.s) nay arz ki aay Allah!ye kia hay? Wahi e ilahi hoe keh ye qiyamat k din tak tumhari or tumhari aulaad e narinah(muzakkar) ki zinat hay.(Tehzibul Islaam,muallif Allama Muhammad Baqir majlisi(a.h),Pg#182). Fatwa:Ehtiyaat e wajib ki taur par merd k liay darhi mundwana(clean shave) jaiz nahi hay or ehtiyaat e wajib k taur par merd ko ye haq nahi pohanchta keh sirif thorhi(chin) k baal rakhay or baaqi(jabrhay) k mundwaay(Ayat Ullah Seestani(d.b),jaded fiqhi masail, maslah #473)
Question: French darhi sahi hai?
Answer: Ethiat e wajib k taur per mard ko ye haq nahi pounchta k sirf thorhi k baal rakhay aur baaqi mundaay day. (ref : jadeed faqhi masyl ayat ullaha sistani d.b. masla # 473 , pg # 255)
Question: Assalam o alaikum janab bari mehrbaani ho gi agar aap mujhe DAARI se mutaaliq ahaadees ka hawala de dain!!!!! Aap k jawab ka muntazir hun!! Jazaq allah hul khair
Answer: Ethiat e wajib ki bina per mard k lie darhi mundwana jaiz nahi naiz ethiat e wajib k toor per mard ko ye haq nahi pounchta k sirf tohri k baal rakhe aur baqi mundva lay. (ref : jadid faqhi masyl ayat ullaha sistani d.b. masla # 473 , pg # 255)
Question: kya egypt me dari rakhna allaowd hai
Answer: Ethiat e wajib ki bina per mard k lie darhi mundwana jaiz nahi aur ethiat e wajib k taur per mard ko ye haq nahi pounchta k sirf tohri k baal rakhe aur baqi mundva lay. (ref : jadid faqhi masyl ayat ullaha sistani d.b. masla # 473 , pg # 255) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam.agar kisi shaks k itnay darhi k baal ho k wo sirf french hi rakh sakta hai to is baray main kya huqm hai?qabi baaal itnay aatay hain k agay sirf wo rakhi gy to darhi dikhay gi nh?
Answer: Agar kise shaks ki pure dhari na aati ho us k lie is niyat se dhari mounwana k pure dhari aajaay ehteyaate waajib ki bina per jaaiz nahe hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 196,pg # 89) Ehteyat wajib ki bina per French cut rakhna jaiz nahe hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 158, pg #80) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Ehtiat e Wajib ki bina par darhi moondhna jaiz nahi hai... iska matlab smjha dain zara k ehtiat e wajib kia h?
Answer: Ehtiyate wajib wo hukm jo ehtiayat k mutabiq ho or faqeeh ne us k sath fatwa na diya ho, ayse maslon men muqallid us mujtahid ki taqleed kr sakta hai jo aalam k bad ilm men sab se bara ho. Misal k tor pr, Agr mujtahid e aalam fatwa de to is ka muqallid is masale main kisi doosre mujtahid ke fatwe per amal nahi karsakta, han ager mujtahid e aalam fatwa na de balke ye kehe ke ehtiyaat is main hai ke yoon aamal kiya jaae( is ehtitiyat ko ehtiyaat e wajib kehte hain) , masalan kahe ke ehtiyaat is main hai ke namaz ki pehli or doosri rakat main sura e al hamd ke baad ik pori sorat phare to zaroori hai ke muqallid ya to is ehtiyaat per aamal kare(yanui surah alhamd k bad ek pura surah parhe) ya kisi doosre mujtahid ke fatwa per aalam fala aalam ka khiyaal rakhte howe aamal kare(yani jis mujtahid ki taqleed wo krta hai us k bad wala wo mujtahid jo dusron k muqable men sab se ziyada islami ahkamat ko samjhne ki salahiyat rakhta hai),pas agr wo mujtahid faqat sura e al hamd ko kafi samjta ho to dosri surat chhori jasakti hai.(Ref: Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 6& Fiqhi istlahat, Pg#486).(Khuda tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: asslam u alikum mulana sab mara question ya hy ky maray dost ny sharii darhi krr cut dii abb who kiyaa kerayy plzz jawab dayein kiyaa is ka koi kafara hyy
Answer: 1)Darhi ka moondna Aihtiyat ki bina par jaiz nahi hay. Aur is per koi kaffar nahi he.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.2038.) 2) Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) 3) Aap apnay dost ko amar bil maroof karain. Amar bil maroof wa nahi anil munkar main laazmi hay k khata kaar ki haisiyat o shaksiyat ko mad e nazar raka jaay keh osay aziyat or ihanat mehsoos nah ho or isi terah laazmi hay keh itni sakhti or dushwari say oski girift nah ki jay keh osay deen or deeni programe say nafrat paida ho jaay. Amar bil maroof wa nahi anil munkar k chand darjay(steps) hain: 1) gunahgaar say dili azhaar e bayzari maslan rukh morh laina or baat nah kerna. 2) Zabaan say waaz o nasihat kerna 3) Amali iqdaam maslan maarna or qaid kerna Or laazim hay keh abtida pehlay ya dosray darjay say ki jay or pehlay oska intekhab karain jis main aziyat kam or asar ziyada ho.or agar natija hasil nah ho tu bil tadreej sakhti or dushwari ikhtiyaar karain or agar dili or zabani azhaar e nafrat asar andaaz nah ho tu naubat amali darjay tak pohanch jati hay or ehtiyaat e wajib hay k teesray darjay k intekhaab k liay hakim e shara say ijazat lain. (ref: a.sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2008,2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)