Question: Assalamualaikum, mera sawaal ye hai k kya daarhi rakhnay ki koi "Niyyat" in proper words hoti hai? agr hai to kya hai?
Answer: Clean shave karna ehtiyat-e-wajib ki bina per jaiz nai hai. (is k liye kisi niyat k hona zaruri nahi hai).(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah#2042)(Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa Farmaye)
Question: assalam o alaikum mera sawal hay dari chornay pr 3 number machine pr dari lena kesa hay.
Answer: Agar ye electric machine darhi(beard) ko itna bareek kerday k ye darhi ka moondna (clean shave) kaha jaay tu ehtiyaat e wajib ye hay ye amal haram hoga.(Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded fiqhi masail, maslah #477). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir plz kindy tell me dhari farz hay yea sunnat? or kya wajib ka mtlb ye hay k dhari rakhni he rakhni hay....? meri behas social media pay aik ale sunnat k molvi se hu gyi hay muje Quran ki rooh sy b refernce dejye ga app..?
Answer: Darhi ka moondna aur is ki aujrat lena ehtiyat e wajib ki bina par jaiz nahi hai laikin majboori ho to jaiz hai ya is ka tark zarrar ka sabab banay aur mushaqat bhi aisi k aam tor par osay bardasht na kia ja sakay. Chahay tamaskhur aur ahanat q na ho.(yani koi mazaq hi q na karay) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2042)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mera question yeh hai me ne daarhi rakhne ki neeyat ki thi mgr jobs per darhi rakhna ki ijazat nhi hai or mujhe is surat me kia karna chahye? or agr neeyat toot jati hai to kya kaffara hai iska??
Answer: Ehtiyat e wajib ki bina par darhi mundwana jaiz nahi hai. laikin agar majboori ho to jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2042)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya dhari na rakhna gunnah hai ..
Answer: Ehtiyat e wajib ki bina par darhi mundwana jaiz nahi hai. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 2042 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salam janab mera sawal ye hai ki kya mard apne chehre ke bal mudwa(clean shave ) sakte hai ki mana hai.
Answer: Ehtiyaat e wajib k taur per merd k liay darhi mundwana jaiz nahi hay or ehtiyaat e wajib ki k taur per merd ko ye huq nahi pohanchta k sirif thorhi k baal rakhay or baaqi mundwaay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Jadeed Fiqhi Masail, maslah # 473). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: dhari kitni rkhni chiye baz afrad kehte hen ke dhari lambi rkhni chiye ager nahi rkho ge to gunah he kya dhari lambi rkhni chiye ya coti dhari rkh kte hen na
Answer: Dhari ki kam se kam miqdaar itni honi zarori hai k aam loog osay dhari wala khain. Or aik balisht se ziyada darhi behter nahi. (Ref : mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 159,pg # 80+ http://www.sistani.org/english/qa/01136/ ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ramdaan me saving aour satar ke baal kaat sakte hai.
Answer: Dharhi mondna ehtiyaat ki bina jaiz nahi hai.is k ilawa jism k baal kaatna jaiz . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2042,1553 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asslam O Alaikum Darhi Islam Main Lazmi Hai Ya Nahin Yani Dari Rakhna Sunat E Moaqda Hai Ya Ghair Moaqda Aur Janab Ghalti Se Jhooti Qasam Khanne Ki Sorat Main Pata Chalne Par Us Ka Kafara Kea Hai Jawab Jaldi Dijiye Ga Ap Ki Mehrbani Ho Gi
Answer: 1)Ehtiyat e wajib ki bina par darhi mundwana jaiz nahi hai. 2)Agar koi shakhs qasam khaye k me jo kuch keh reha hon sach keh reha hoon to agar sach keh reha ho to qasam khana makrooh he aur agar jooth bool reha ho to haram he laikin is ka koi kaffara nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2042, 2638)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kya Azaan dene aur namaaz padhane ke lia dadhi(bread) ka hona zazuri hia agar dadhi nahi hai to wo azaan nahi de sakta give me ans in light of Quran and hadith
Answer: Imaam e jamaat ke liye dadhi zarori hai, lekin azaan dene wale ke liye zaruri nahi. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 903 , 1434 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae). Darhi mondhna haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #2042) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).