Question: beard ka khat ka sunnat ka tareeqa bata den
Answer: Rukhsar per ubhri hui jigha k baloo ko saaf karna haram nahi. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 487 pg # 258) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: FRENCH DHADI ISLAM MAI JA YAJ HAI
Answer: Ethiat e wajib k taur per mard ko ye haq nahi pounchta k sirf thorhi k baal rakhay aur baaqi mond day. (ref : jadeed faqhi masyl ayat ullaha sistani d.b. masla # 473 , pg # 255). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: KYA SHAVING MACHINE SE DADHI(BEARD) ITNE CHOTY KAR SAKTEY HAIN KE BAL NAZAR NA AYE.
Answer: Agar ye electric machine darhi(beard) ko itna bareek kerday k ye darhi ka moondna (clean shave) kaha jaay tu ehtiyaat e wajib ye hay ye amal haram hoga.(Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded fiqhi masail, maslah #477). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ASSALAM WA ALEKUM kya dadhi katna bada gunah hai kya allah ke nabi ne kahi bhi dadhai rakhne ko kaha hai agur kaha hai to kaha kaha kaha hai Quran me kaha hai ya Hadees me kaha hai plz tafseer ke saath bataye
Answer: Ehtiat-e-wajib ki bina par jaiz nai hai aur ehtiat-e-wajib ki bina par ye bhi jaiz nai hai kay sirf tohri par daarhi kay kuch hissay ko rehnay diya jaye (Ref: mujtahid say pochay gay sawalaat part#1, Maslah#158) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ASLAM-O-ALAIKUM Q: Nimaz mein immam ki umer kiya honi chahiye aur kiya immam k liye darri ka hona zarori hai ?
Answer: Dhari monda ehteyaat ki bina jaiz nahi hai.. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2042,1553 ) Imam e jamaat ki shriat ye hain. 1)Baligh ho 2)aaqil ho 3)shia isna ashari ho 4)aadil ho 5)halal zada ho 6)namaz sahi parh sakta ho.(ref : tauze ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1434 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: A-0-A, kia daari rakhna farz hey ya sunnat?? agr sunnat hey to daari na rakhna gunah hey??
Answer: Darhi ka moondna ehtiyaat ki bina par jaiz nahi hay laikin agar is ka tark karna zarar ya aisi moshaqqat ka sabab banay k jisay aam taur par bardaasht na kiya ja sakay ho to phir jaiz hay.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.2038). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir mujy bata hay kay dhari complate kasay rakay jahay ya dhari kei sunnit kia ha
Answer: Dhari ki Sherie miqdaar ye hai k zaroori ha k aam loog ise dhari wala kehain . (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 1, ques # 159 pg # 80) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ma jb bhi dari trim krwata hn tou electric machine se karvta hn or neck k neche wale ball blade se clean kra leta hn lekan meri khat rkhne ki neyat nahi hoti tp mje bta dain k keya ye khat ho jata ha plz
Answer: Jis darhi ka bataur e ehtiyaat mundwana haram hay wo dono jabrho per ugay hoay baalo ko shamil hay. Rukhsaar per ubhri hoe jagah k baalo ko saaf kerna haram nahi hay.(Ref: Jaded fiqhi masail, A.Sistani d.b, masal#487). Note: khat banwanay ki niyat kerna zarori nahi hay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia ramzan ma hajamat(shaving) karna jaiz ha
Answer: Ehtiyat e wajib ki bina par darhi mundwana jaiz nahi hai chaye ramzan Mubarak ho ya na ho. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 2042 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: darhi rkhna frz ha ka nhe
Answer: Darhi mondna(clean shave) ehtiyaat e wajib ki bina per jaiz nahi hai . ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2042 )