Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 16244
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: بیوی سے رومانس کرتے وقت اگر میری داڑھی کی وجہ سے بیوی کے چہرے پر دانے آ جاتے ہیں، کیا میں اس بنا پر شیو یا مشین کر سکتا ہوں؟؟

Answer: 1: Is surat me bhi daarhi ka mondnaa (clean shave) ya machine se is tarah se banana ke mondnay ki tarah ho to Ehtihyat e wajib ki bana par jaaiz nahin hai. 2: Daarhi mondnay ke Haraam honay mein meyaar yeh hai ke dosray log insaan ko jab guftagu aur mulaqaat ke waqt dekhen to ye kahen ke daarhi nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #425,427). [Updated on 06-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16363
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Dari mundwana ya choti dari rakhna kya bhtr hai ?

Answer: 1: Daarhi ka mondnaa (clean shave) ya machine se is tarah se banana ke mondnay ki tarah ho, Ehtihyat e wajib ki bina par jaaiz nahin hai. balke dharhi rakhne ki Sharaei miqdaar ye hai ke zaroori hai ke aam loog use dhari wala kahen. 2: Daarhi mondnay ke Haraam honay mein meyaar yeh hai ke dosray log insaan ko jab guftagu aur mulaqaat ke waqt dekhen to ye kahen ke daarhi nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #425,427). [Updated on 05-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17275
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mangal k din hair cutting krwana k Bary mein kya hukam hai

Answer: Din chahe manganl (tuesday) ho ya koi aur din ho, Daarhi mondna ya mundwaana (Shave karna ya karwana) ehtiyaat e wajib ki bina par Haram hain. lekin Mangal ke din sar ke baal kaatna (hair cutting) riwayaat main mana nahin aaya. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2042. + Tehzeeb ul Islam, Allama baaqir majlisi(r.h), pg #185-188). [Updated on 28-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19858
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: kya roze me shaving krna jaiz he

Answer:

Id: 20173
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: salmo e aliqum i write urdu ok u send english i can read sir eajh say takreban 2year phaly may nay sonat rasool kay ain mutabik darrey rakhey they may shatan ke bato may agay tha or kat dey us kay bad mujh par kuch arsay bad parayshaney ana shoro ho gai abhi take koi na koi nai parshani ka samna karna parta ha app batai kay may kaya karo es ka koi kofara ha plice sed answer fast

Answer:

Id: 20646
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: mujh se mere dost aksar sawal pohte hain or me jawab tasdik kiye bina nahi deta or me tasdik bhe mangta hun kia yeh sahi hay??? or 2nd sawal yeh hay k mere 1 dost ne pocha jo k quran me darhi rakhne ka zikar kaha kiya gya hay kon se sipare me zikar hua hay or isko na rakhna gunah hay kia???? is ka zara tafseel se javab de deian Shukriya...

Answer:

Id: 20849
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: mein teen saalon say berozgar hoon, kuch log khete hain daari kaat do tau tumhein job miljai gi kion ke majboori hai ghar chalana hai bewi bhi job kar rahi hai aur mere bhi credit cards bhar chukai hain. janab aap say guzarish hai mujhe jald jawab dein khuda hafiz.

Answer:

Id: 21002
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: ap ne aik jaga kaha k mard k liye jaiz nai k thori k baal rakhe n baqi mundwale n dusri jaga kaha k mard k liye itni darhi rakhna jaiz he k urf keh sake k ye darhi he magar aj kal tou urf french ko bhi darhi mein shumar krti he tou kya french rakhna jaiz he??

Answer:

Id: 21355
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Salam Alaikum Janab Mujtahid-e-Taqleed: wala column smjh nahi aya isliye blanck chor raha hu.. Humne Dadhi Rakhi hui ha or humare sare dost or gharwale yeh keh kar hume tana marte hn ke humne sunniyon ke jaise dadhi rakhi hui ha, hum samajh nahi sake ke dadhi me shia or sunni ka kya masla a gaya? fir sab yeh kehte hn ke agar walda kahe to (maaz allah)na jane kis imam ka qaul ha dadhi kaat sakte hn... hum is bat se ittefaq nahi rakhte ke humare imam maaz allah aise koi baat keh sakte hn jo deen ke khilaf ho.. please hume kisi aise kitab ka naam bataeye jis se hum yeh bat sabit kar saken ke dadhi katna ghalat ha or aise jhuti batein karna bhi ghalat ha.. log trim kar ke allah ko dhoka dene ki koshish karte hn.. inshallah ap meri mushkil asaan karge..

Answer:

Id: 22040
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Asalam o alekm mein ne pechley 10 years se darhi rakhi ho he pehley to bari thi as per sunnat ..aur darhi ki niat bhi ki thi. phir mein ne choti krwa li ... jaisey shave barh jati he 1inch hogi ab mei darhi remove krna chahta hon .. kya mein remove kar sakta hon ?? is ka kaffara kya hoga ??

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!