Question: kya lerkay emo hairstyle rakh sktay hain jis main sir k baal paishani ko chupa daitay hain or kya merd k lia lambay baal rakhna jaiz ha?
Answer: Ge Haan Mard ke liye lambay bal rakhna jaiz hai.(Ref:Sistani(d.b),Manasik e haj , masla no:before 403 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae). Albatta namaz k wqt ager ye baal peshani per aaye howe hon jo k sajde gah ko chhone men rukawat hon to in ko peshani ki jaga se hatana zarori hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1047).
Question: Mera sawal ye hai k Kya back side k ball kat sakty hain please
Answer: Baaz riwayaat main takeed(mustahab) aae hay k zair e naaf baal ko 40 din se ziyada katne ko terk nah kia jay, or aurat 20 din se ziyada zair e naaf baal kaatne ko terk nah karay. Or rahi baat baghal k baal ki tu riwayaat e kaseera main in baalo ko kaatne k liay baghair mudaat e muayyana ki qaid k hokum diya gaya hay or agar aurat ye baal shohar k liay bivi se lazzat or faida hasil kerne ki raah mian nafrat ka sabab banain tu aurat k liay in baalo ka kaatna wajib hay.(Re: http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/). Note: zair e naaf baal or baghal k baalo k kaatne ki takeed e mustahab aae hay laikin dubur(anus) k baal ki takeed e mustahab nahi aae.. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir,,,jab hips pa bal(hairs) a jain to una saf ya shav krni chiya ya nahi????
Answer: Baaz riwayaat main takeed(mustahab) aae hay k zair e naaf baal ko 40 din se ziyada katne ko terk nah kia jay, or aurat 20 din se ziyada zair e naaf baal kaatne ko terk nah karay. Or rahi baat baghal k baal ki tu riwayaat e kaseera main in baalo ko kaatne k liay baghair mudaat e muayyana ki qaid k hokum diya gaya hay or agar aurat ye baal shohar k liay bivi se lazzat or faida hasil kerne ki raah mian nafrat ka sabab banain tu aurat k liay in baalo ka kaatna wajib hay.(Re: http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/). Note: zair e naaf baal or baghal k baalo k kaatne ki takeed e mustahab aae hay laikin dubur(anus) k baal ki takeed e mustahab nahi aae.. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kya ourat ka sar pa pagri bandhna jaiz ha agar nai tw is ka hawala kon c book ma milay ga
Answer: Mardo k libaas k sath khaas hai to orato k liay ye pehenna jaiz nahi hai.(Ref : jaded fiqhai masail , masala # 207 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Aurat ka hair katwana jaiz hai ya nahin plz ans
Answer: Aurat apne sar k baal kaat sakte hai( yani chothe karsakte hai) laikin aurton k lye sar moundwana (pura ganja hona) jaiz nahi hai.(Ref : E.mail receive from sistani.org, Aqai sistani ,Manasiq hajj, pg#150 eidition 1996).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya aurat apni peshani per bindi laga sakti hai aur saree ka libas pahan sakti haiisalam.main bindi or saree ke bare main kya ray hai
Answer: Bindiya lagana ager zinat shumaar kiya jaae to na-mehramoo ke samaane lagana jaiz nahi hai. Ager saarhee shehwat ubhaarne ka sabab bane ya ortoo k badan ko zahir kar rahi ho to jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 139 , 140 , 141 , pg # 63 , 64 , Allah Tala tofiqaat main izafa farmaae).
Question: asalam o alikum janab sy sawal hy k nails or hairs ki trimming ka ki hukam hay or kis kis din jaiz hain agar mumaniyat hy to kis din ki or Q mard apny ball kis tarhah lamby kar sakty hain kitni had ha sir or darih ki
Answer: Rasool akram se monqool hai k jo shaks har Wednesday, thusday nakhun katwaay aur jumme ko bhi kaat sakte hai. dhari ko darmiyana rakhna sannat hai.yani na ziyada lambhi ho na buhat kam aur aik mush se ziyada dhari barhana makroh hai.( ref: tehzeeb ul islam ,allama Muhammad baqir majlisi, pg: 181) mard k lie sar k baal rakhna bhi jaiz hai aur ganja hona bhi jai hai laikin Ganja hona afzal hai. ( ref: tehzeeb ul islam ,allama Muhammad baqir majlisi, pg: 179) Dhari ki Sherie miqdaar ye hai k zaroori ha k aam log use dekhen to ise dhari wala kehain. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 1, ques # 159 pg # 80)
Question: Kya unmarried girls ko mehendi lagana sunnat hai..ya nahi?? 1993
Answer: aik aurat k liye doseri aurat ki araaish aur zehbo zenat karne ka amal burai ki terweej aur ise aam karne me shareek shumaar na ho to jaiz hai.(Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masla # 523 , pg # 270, eidition 5) Aurat k lie ring aur churia aur dosere zehbo zenat karna jaiz hai laikin ring aur churiyo k ilawa dosere zenat ko namehram se chupana wajib hai. (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masla # 531 , pg # 272, eidition 5) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: My que is: k islam mey mard ko sir k bal kahan tak rakhnay chahye... kahan tak rakhna jaeez hy. thnaks
Answer: Hadees k mutabiq ager sar k baal barhana chaho to in ki dhone o kanggi karne waghera se deekh bhaal karo, or ager ye nahi kar sakte to in ko chote kar lo. (Ref : tehzib ul islaam , baab # 5 , topic # ortoon o mardoo ke liye sar ke baal rakhne ke aadaab , pg # 179 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: kya ladkiya gold sone ki payal pair me pehen sakti hai kya yeh jaiz hai.
Answer: Gee han bilkkul pehn sakti hen koi harj nahi hai albatta apni zeenat ko namehram se chupana wajib hai.(Ref : nigaah o lebaas , baab # 7 , pg # 103 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).