Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Zeenat ( 151 Questions)


Id: 4805
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya adult girl shave kar sagti hai

Answer: Aurat k lie sar k alawa puray jism k baal katna mustahab hai aur lohay(blade) sai apnay jism k baal kat sakti hai. (Ref : Sistani.org)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4824
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya balon ko colore karna jaiz hai?

Answer: Agar baloo ko rangnay ka maqsad sirf zeenat ho, kisi ko dhoka dena na ho, missal k tor par aib ya apni umer ki ziadti ko chupana, to koi haraj nahi hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 525 pg # 270)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 4973
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya Undershave area mein anus kay baal bhi shave karna shamil hai

Answer: Baaz riwayaat main takeed(mustahab) aae hay k zair e naaf baal ko 40 din se ziyada katne ko terk nah kia jay, or aurat 20 din se ziyada zair e naaf baal kaatne ko terk nah karay. Or rahi baat baghal k baal ki tu riwayaat e kaseera main in baalo ko kaatne k liay baghair mudaat e muayyana ki qaid k hokum diya gaya hay or agar aurat ye baal shohar k liay bivi se lazzat or faida hasil kerne ki raah mian nafrat ka sabab banain tu aurat k liay in baalo ka kaatna wajib hay.(Re: http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/). Note: zair e naaf baal or baghal k baalo k kaatne ki takeed e mustahab aae hay laikin dubur(anus) k baal ki takeed e mustahab nahi aae.. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4987
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Islaam main mehndi dahri or balon main lagana islaam ke roh se kaisa hai....

Answer: Riwayat mai aya hai k jo shakhs jism k baal saf karnay k bad mehndi sar sai pair tk lagaye to wo deewangi, jazam, bars, aur kharish jaisi beemari sai mehfooz rehay ga. (Ref : Tehzeebul islam pg # 219)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5053
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam = ji mai pahle bhi aapse sawal kar chuka lekin koi jawab nahi aaya kya mard neeche ke baal saaf karne ke liye cream vaghaira istemal kar sakta hai aur aorat rezar istemal kar sakti hai plz plz jawab zaroor dena wassalam

Answer: Jee haan jaiz hay. (Ref: Email rcvd by ayatullah sistani). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5124
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya ladkiya vex karwa sakti hai aur eyebrow b karwa sakti hai?

Answer: 1)Baaz riwayaat main takeed(mustahab) aae hay k zair e naaf baal ko 40 din se ziyada katne ko terk nah kia jay, or aurat 20 din se ziyada zair e naaf baal kaatne ko terk nah karay. Or rahi baat baghal k baal ki tu riwayaat e kaseera main in baalo ko kaatne k liay baghair mudaat e muayyana ki qaid k hokum diya gaya hay or agar aurat ye baal shohar k liay bivi se lazzat or faida hasil kerne ki raah mian nafrat ka sabab banain tu aurat k liay in baalo ka kaatna wajib hay.(Re: http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/). Note: zair e naaf baal or baghal k baalo k kaatne ki takeed e mustahab aae hay laikin dubur(anus) k baal ki takeed e mustahab nahi aae.. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 2)Eyebrows banwana (Pluking kerna) or inko shape dena jaaiz hay. (Ayat Ullah Seestani(d.b), nigah or libaas,sawaal#163). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5257
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mard k lie aurat ka libas pehnna aur is ka bar’aks jaiz hai? aap k jawab ka muntazir raho ga

Answer: Mard k lie zanana libas pehanna aur aurat k lie mardana libas pehanna haram nahi hai aur is sai namaz bhi batil nahi hoti hai albetta ehtiyat e wajib ki bina par ye jaiz nahi hai k mard apnay aap ko aurat k roop mai dhal lai aur isi terah bar’aks yani aurat apnay aap ko mard k roop mai dhal lai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 833)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5290
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sone chandi ke alava zevraat pahenna kaisa hai

Answer: Mardoo k lie sonay k alawa tamam dhatoo ka istemal jaiz hai aur auratoo k lie tamaam dhatoo ka istemal jaiz hai magar ye k haram mai mubtila honay ka khof na ho.(Ref : Website sistani d.b. ques # 37, http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1817&perpage=51) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5300
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia hair transplant jaiz hai?

Answer: G han jaiz hai. (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 526 , pg # 271 , eidition # 5 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 5459
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.o.a mjhe apxe ye poochna ha ke larki ko periods ke bd hathon ke hairs saaf krna zarori ha ya ni

Answer: Aurat k lie 20 din mai sar k baalo k alawa puray badan k baal saaf krna mustahab hai chahay periods k baad karain ya periods k pehlay. (Ref : http://sistani.org/index.php?p=827020&id=928&page=3&perpage=10 ques # 23) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!