Question: kia islam me aurat ko agey bal rakhna mana ha?
Answer: Riwayat mai takeedi mustahab hai k mard 40 din tk aur aurat 20 din tak noora karey(sharamgaah k baal saaf karain) (Ref : http://sistani.org/index.php?p=827020&id=928&page=3&perpage=10 ques # 23). Update on dated 24-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia admi nichy (back) waly hair remove krna zarori hy?
Answer: Riwayat k mutabiq puray badan k baal saf krna (hatta k sharamgah k bhi mustahabb hai. 2)Riwayat mai takeed hai k mard 40 din tk aur aurat 20 din tk noora karey (Ref : http://sistani.org/index.php?p=827020&id=928&page=3&perpage=10 ques # 23) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya aurat apni sharm gah ke balon ko razor shave kar sakti hai
Answer: Jee haan.auratain(women) apni body say baal(hair) remove kernay k liay razor istemaal kersakti hain.(Ayat Ullah Seestani(d.b), email Rcvd from Ayat Ullah Seestani(d.b) dated 15-07-2010). Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kiya shia orat apne sharamgah k baal saf kar skti hai?? Zrori haii??
Answer: Baaz riwayaat main takeed(mustahab) aae hay k zair e naaf baal ko 40 din se ziyada katne ko terk nah kia jay, or aurat 20 din se ziyada zair e naaf baal kaatne ko terk nah karay. Or rahi baat baghal k baal ki tu riwayaat e kaseera main in baalo ko kaatne k liay baghair mudaat e muayyana ki qaid k hokum diya gaya hay or agar aurat k ye baal shohar k liay bivi se lazzat or faida hasil kerne ki raah mian nafrat ka sabab banain tu aurat k liay in baalo ka kaatna wajib hay.(Re: http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/). Update on dated 16-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya seen k Baal katwana jaiz hain or shadeed makrooh see kya muraad Hai pehle k jawab Abhi TK mosool nhe hue
Answer: Seenay k baal katwana jaiz hain. Makrooh yani napasandeeda , wo kam jo haram to nah ho lekin na karna behtar ho. (Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0504/, Tauuzihul masael, pg#493). Update on dated 09-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mard cream k sath zere naf bal saf kr sakta?
Answer: Jee haan jaiz hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istifta from https://www.sistani.org/arabic/qa/21357/ ). (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). [Updated on 01-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sharmgah k baal kitne hisay tk katna wajib hai?
Answer: Baaz riwayaat main takeed(mustahab) aae hay k zair e naaf baal ko 40 din se ziyada katne ko terk nah kia jay, or aurat 20 din se ziyada zair e naaf baal kaatne ko terk nah karay. Or rahi baat baghal k baal ki tu riwayaat e kaseera main in baalo ko kaatne k liay baghair mudaat e muayyana ki qaid k hokum diya gaya hay or agar aurat k ye baal shohar k liay bivi se lazzat or faida hasil kerne ki raah mian nafrat ka sabab banain tu aurat k liay in baalo ka kaatna wajib hay.(Re: http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/). [Updated on 24-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam u alikum , mera swal ha k peche ki sharamgah k Baal Katne ka tareeqa , kyunke mera doubt ha k vo bal katne bi chae ha k nahe . Aur katna kis tarah han , please bta Degye . Gizak Allah
Answer: Un balo ka katina zarori nahi hai, jaiz hay. in balo ko hair removiing cream se hata liya jaey. ( Ref:http://sistani.org/index.php?p=827020&id=928&page=3&perpage=10 ques # 23 ) [Updated on 17-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o alaikum May nay apna Testicles (Penis Balls) kay be hair kaat deya tha kia issko kaatna zarori tha Zair e naaf say neechay Penis Kay Aas paas Kay baal Matlab penis Balls Kay hair Kaatna Zarori tha May Issko be kata karta tha
Answer: zair e naaf jo baal hai un ka kaatna zaroori nahi hai lekin baaz riwayaat main takeed(mustahab) aae hay k zair e naaf baal ko 40 din se ziyada katne ko terk nah kia jaye.(Ref:http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/).) [Updated on 15-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: zer naaf k kis hisse se baal saf karna zarori hain. yani naf k shoro hone se. ya aza e tanasul k atraf saaf karna chahiye?"
Answer: sharamgaah or os se oper sakht baalo ko saaf karna mustahab hay. Baaz riwayaat main takeed(mustahab) aae hay k zair e naaf baal ko 40 din se ziyada kaatne ko tark nah kia jaey, or aurat 20 din se ziyada zair e naaf baal kaatne ko terk nah karay. Or rahi baat baghal k baal ki tu riwayaat e kaseera main in baalo ko kaatne k liay baghair mudaat e muayyana ki qaid k hokum diya gaya hay or agar aurat k ye baal shohar k liay bivi se lazzat or faida hasil kerne ki raah mian nafrat ka sabab banain tu aurat k liay in baalo ka kaatna wajib hay.(Re: http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/). [Updated on 28-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]