Question: 1, KYA AURAT APNE SHOHAR KE IJAZAT SE ATAR(KHUSHBU)LAGA KAR GHAR SE BAHAR JA SAKTI HAI,
Answer: Agar khushboo lagana mardoo ko gumraah karnay ka sabab na ban rehi ho aur osay laganay ka maqsad mardoo ko haram me mubtila karna bhi na ho to jaiz he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 135, pg # 65) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: undershave ka kia tarika ha ya kahan say kahan tak karni chahin or kia ya back say bi karini chahin or aghar karini chahin to kahan sa kahan tak saleem w,slam
Answer: Baaz riwayaat main takeed(mustahab) aae hay k zair e naaf baal ko 40 din se ziyada katne ko terk nah kia jay, or aurat 20 din se ziyada zair e naaf baal kaatne ko terk nah karay. Or rahi baat baghal k baal ki tu riwayaat e kaseera main in baalo ko kaatne k liay baghair mudaat e muayyana ki qaid k hokum diya gaya hay or agar aurat ye baal shohar k liay bivi se lazzat or faida hasil kerne ki raah mian nafrat ka sabab banain tu aurat k liay in baalo ka kaatna wajib hay.(Re: http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/). Note: zair e naaf baal or baghal k baalo k kaatne ki takeed e mustahab aae hay laikin dubur(anus) k baal ki takeed e mustahab nahi aae.. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Molana Sahab Salam, mera sawal ye hai k meri bivi Non Muslim ya Hindu K pass apna Makeup aur eyebroo banwasakti hai,aup k jaldi jawab ka Muntazir rahuga
Answer: Jee haan make-up hindu se kara sakhtay hein. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : August 2, 2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: aurotonm k nails agar baray ho to namaz hojati hy ?nails bbrhana sahi hy ya ghalat?
Answer: Nails barhanay say namaz ho jati hay aur baaz riwayat may is baray may majood hay k nails barhana auratoon k liay munasib hay. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 1, ques # 186, pg # 90)
Question: Agr aurat k nakun baray hoan tu uski namaz ho jati hai kye.......
Answer: Baaz riwayaat may is baray may mojood hay k nakun (nails) barhana auratoon k liay munasib hay. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 1, ques # 186, pg # 90) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir mera sawal ha k islam me sharam ghah k bal cut kerny ka kiya hukam hai? i mean k kahan sy ly ker kahan tak cut kerny chahiyee,,, orr esy mukaamat jahan sy bal cut kerny per baad ma takleef ho or bechani ho to iss k bary ma kiya hukam ha?
Answer: Riwayat ki roshni mai mustahabb hai. (Ref : Web site ayat ullah sistani d.b. http://sistani.org/index.php?p=827020&id=928&page=3&perpage=10 ques # 23). Or shram-gaah ke ird-gird wo baal jo dosre baaloo se jaldi nikalte hain sharam-gaah ke baal shumaar hote hain. (Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: zer e naaf baal ka masala kon si kitab main hai
Answer: puray badan k baal saf krna (hatta k sharamgah k bhi) riwayat ki roshni mai mustahabb hai. (Ref : Web site ayat ullah sistani d.b. http://sistani.org/index.php?p=827020&id=928&page=3&perpage=10 ques # 23) , (Ref : tehzib ul islaam , baab # 7 , topic # bagal ke baal mundne ka bayaan , pg # 214 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: kiya larkiyan nakhon baray rakh saqte hain? kiya kalay(black) kapray sirf syed pehan saqte hain?Kia ISLAMIC Films dekhna Gunah hai?
Answer: 1)Baaz riwayato mai mojood hai k nakhun barhana aurato k liay munasib hai. (mujtahid sy puchay gaey sawalat,pg90,masla#186,4th edition 2007) 2)Black kapray koi bhi pehn sakta hai.(mujtahid sy puchay gaey sawalat,part 3,pg#44, masla#84, 3rd edition). 3) Agar kisi bhi burae ka bais nah banay tu koe haraj nahi hai.(Ref: Nigah or libas, pg#42). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)
Question: kya plucking karwana haram hai?
Answer: Plucking kerwane main koe haraj nahi, or namehram se chupana wajib nahi hai. (Ref: Nigah or libas, pg#96). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)
Question: mere jism per baal boht hai me unhe hatana chahta hun me kya krun
Answer: Noora lagana yani puray badan k baal saf krna (hatta k sharamgah k bhi) riwayat ki roshni mai mustahab hai. (Ref : Web site ayat ullah sistani d.b. http://sistani.org/ ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)