Question: Salam , Muharam mein mehndi lgana islam mein jaiz hai???? plz ans me
Answer: Wssalam o Alykum, munasib nahi hai, kun ke ye khushi ke moqo se munasbat rakhti hai. .(Ref : Sistani.org , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Hath mein red dhaga pehnna jaiz hai???
Answer: Koi harj nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3 , sawaal # 136 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: sllamun alaikum...! plz mujhe ye bata dijiye k kon c riwayat me aurton k liye nails barhana jaiz hy...plz reference k sath btaen.
Answer: Wssalam o alykum, Hadees main manqool hai ke Hazrat Rasool Allah (s.a.w) mardo ko to ye hokum dete the ke nakono ko zinda nakoon ke paas se kato, or oraton ke liye ye farmaya ke thora sa chor kar kato ke wo tuhmari zinat ka mojib hai. (Ref : tehzib ul islaam , baab # 5 , topic # 8 , pg # 185 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: orat apny sir k ball (jo comb krty wqt utr jaty han) khan pehnkany cahaea
Answer: Ali bin Abi-Talib (a.s) se Marvi Hadees ke mutabiq in ko mitti main dafan kar dena chahiye. (Ref : tehzib ul islaam , baab # 5 , topic # baal o nakoon wageera ke dafnane ke aadaab , pg # 188 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmane wala hai).
Question: Sir Muja ya puchna ha ka body ka baal kha tak remove krna ha?Auns ka kha tak?
Answer: 1)Riwayat k mutabiq puray badan par noora(Badan k baal katna) lagana mustahabb hai. 2)Riwayat mai takeed hai k mard 40 din tk aur aurat 20 din tk noora karey (Ref : http://sistani.org/index.php?p=827020&id=928&page=3&perpage=10 ques # 23) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Aoa main ap sa puchna chahta hoon ik admi ko undershave kis tra krni chahya apne penis k pass sa ya tango per b please reply
Answer: Baaz riwayaat main takeed(mustahab) aae hay k zair e naaf baal ko 40 din se ziyada katne ko terk nah kia jay, or aurat 20 din se ziyada zair e naaf baal kaatne ko terk nah karay. Or rahi baat baghal k baal ki tu riwayaat e kaseera main in baalo ko kaatne k liay baghair mudaat e muayyana ki qaid k hokum diya gaya hay or agar aurat ye baal shohar k liay bivi se lazzat or faida hasil kerne ki raah mian nafrat ka sabab banain tu aurat k liay in baalo ka kaatna wajib hay.(Re: http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/). Note: zair e naaf baal or baghal k baalo k kaatne ki takeed e mustahab aae hay laikin dubur(anus) k baal ki takeed e mustahab nahi aae.. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note: is bayaan se aap k liay wazeh ho gaya hoga k sharamgaah k baal kaatna mustahab hay nah k tango k, or tango k baal kaatna merd hazraat k liay jaiz hay takeedi mustahab nahi or khawateen k liay oper bayaan ki gae sharait k sath mustahab bhi ho jata hay .
Question: Kya sindor lagana gunah hai
Answer: Ehtiyaat e wajib ke madd e nazar se musalmanon k liye aysa hulya apnana jaiz nahi hai jo hinduon se khas ho.(Ref : Aqa Sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 210 , eidition # 5 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Sir my question is , kia girls ko body hairs epilator ya blade sy remove krna haram ha
Answer: 1)Riwayat k mutabiq puray badan k baal saf krna (hatta k sharamgah k bhi mustahabb hai. 2)Riwayat mai takeed hai k mard 40 din tk aur aurat 20 din tk noora karey (Ref : http://sistani.org/index.php?p=827020&id=928&page=3&perpage=10 ques # 23) Note: kise bhi cheez se baal ko saaf kiya ja sakta hai.(Email rcve from web eanswers@najaf.org) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kia cosmetic surgery krwana gunnah hai is k bare main kia hukam hai kuch larkion ki shadi un ki badsoorti ki wja se ni ho pati wo kia krain surgery krwa lain ya phr kisi se bhi shadi kr lain chahe wo un k mutabiq ka larka ho ya na?
Answer: Khobsurati k lie chaihre ya badan ki plastic surgery karwaane se agar haraam touch ya haraam nazar ka sabab na ho to ye kaam karwaana jaiz hai. (ref:sistani.org urdu, plastic surgery que:1)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Haram ball kese aur kahan tak saaf krne chahiye....plz don't show my question.,
Answer: 1)Riwayat k mutabiq puray badan k baal saf krna (hatta k sharamgah k bhi mustahabb hai. 2)Riwayat mai takeed hai k mard 40 din tk aur aurat 20 din tk noora karey (Ref : http://sistani.org/index.php?p=827020&id=928&page=3&perpage=10 ques # 23) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).