Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 24
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Please quote the quranic refrence of "Istkhra"and it is true to act according to it.

Answer: Salam un Alaikum, We are extremely sorry for the late reply. We will reply you soon next time insha-allah. We have sent your question to A.Sistani and we got the answer as: "Its not good to act against quranic istekhara". Ref: Istifta A.Sistani

Id: 188
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AS SALAM ALIKUM KYA EK SE ZIADA MARTABA ISTEKHARA NIKAL SAKTE HAIN YA NAHI. ALLAH HAFIZ

Answer: Agar aitibaar say bhi Mukhtalif ho to koi Haraj nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani I-4.

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 562
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: hum quran pak say faul kasay nikaltay han plz batayee or agar ma apsay apni anay wali zindagi k baray me kuch pochoo to ap mujay bata dain gay.mery rishtay k baray may.

Answer: bismehi taala, quran se istekahara kiya ja sakta he, aur is k liye kitab mafatihul jenan me tariqe likhe huve hain, shadi k mutalliq yeh istekhara kiya ja sakta he k phulan jagah par rishta karna kaisa he ?

Id: 570
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mulana sahab ma kisi ko pasand karti ho agar ma apko apna apni mama ka us larkay ka or uski mama ka naam bataoo to ap istihara ya faul nikal k batayee gay k rishta behtar ha k nai plz plz mujay apki madad ki zaroorat ha plz.

Answer: bismehi taala, is k liye aap <istikhara@shjnaqvi.com> par ruju karain.

Id: 681
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam.. Maira sawal ye hai kay shaadi k silsilay main istekhara nikalna zurur hai aur aik dafa mana honay kee surat main dobara nikala jaa sakta hai ya nahi??? Aur khud istekhara nikala jaa sakta hai ya nahi??

Answer: Jee nahi, istikahra kerna wajib tu kiya mustahab bhi nahi hay, balkeh ye tu aik dua ki terah hay k jab insaan soochnay k baad bhi kisi nateejay per nahi pohanch paay tu istikhara karay shaadi bhi inhi mauqoo main say aik hay.istikharay per amal kerna wajib nahi hay.laikin istikhaaray ki mukhaalfat munasib nahi is liay k baaz auqaat (some times) istikhaaray ki mukhaalfat k baad insaan ko sharmindagi uthani perhti hay.or baar baar istikhara kerna sahi nahi hay,siwaay ye k mauzoo(subject) hi badal jaay or aik maqsad k baad kisi dosray maqsad k liay sadqah day ker kiya jaasakta hay.Istikhara khud bhi nikala jasakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #112,113 & part#4 sawal #203 & jadeed fiqhi masail, maslah #583).

Id: 1193
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Istekhara result says it is better not to but no harm in doing something.What should be my choice if I dont want to do(as also the result shows) but husband feels we should?Please reply soon as we have to take a decision regarding travelling soon.

Answer: Istimnah(mani ka kisi bhi zarye jism say nikaalna) haram hay.os lerki ka nikah kerna jaiz hay,laikin os ka kisi na-meram lerkay ko apna jism or sharamgaah ko dikhana or kiss kernay ki ijazat daina haram tha or os lerkay ka os na-mehram lerki k jism or sharamgaah ko dikhana or kiss kerna bhi haram tha. (Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded fiqhi masail, maslah #462).

Id: 1601
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalaam-o-alikum sar istkara karne ka tarika bta de?

Answer: Istekhara karney ka tareeqa : Tasbeeh ko haat me le kar teen dafa darood parhey aur aik muth’thi tasbeeh k daano ki haath me lain aur phir do do shumaar karta jain agar akhir me aik daana baaqi bachay to is kaam ko karain aur agar do daa’nain bachein to is kaam ko na karain. (ref:sistani(d.b),website address, http://www.sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=47&sid=0&eid=0&page=2)

Id: 1971
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam alekum,janab mera masla ye hai k kya istikhera behatar aane k baad us kaam ko karna wajib hojata hai,

Answer: Istekharay per amal karna wajib to nahi he magar is baat ka khaof zaroor he k is ki mukhalifat se naqsaan pounch sakhta he. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, ques # 204, pg # 93)

Id: 3543
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya istikhara dekhne k koi auqat mukhtas hain? ya istikhara kabhi bhi dekha jasakta hai??

Answer: Marhoon mohaddis e kashani nay quran say istekhara karnay ka waqt ayyam hafat may zikr kia hay. Aur ye bhi farmaya hay k ye matlab mashoor hai aur phir farmaya: Sunday ka din zohar tak aur asr say lay kar isha tak naik hay. Monday ka din suraj niklnay tk aur ohir nihar say lay kar zohar tk aur asr say lay kar isha tk naik hay Tuesday ka din nihar say lay kar zohar tk aur phir asr say lay kar isha tk naik hay. Wednesday ka din zohar tk aur isha tk naik hay Thursday ka din suraj niklnay tk aur phir zohar say isha tk naik hay. Friday ka din suraj niklnay tk aur aur phir zawal say lay kr asar tk naik hay Saturday ka din nihar tk aur zawal say lay kar asr tk naik hay. (Ref Mafatihul jinan pg no 214-15) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4212
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Istekhara kb krwaya jata hai? Kia shadi k silsilay mai tehqeeq aur koshis aur bareek bini k baad istekhara krna jaiz hai?

Answer: Istekhara os waqt kia jata hai jb insan mashwara k baad bhi koi faisla na kr pae aur kisi aisay natejay tk na phonch sakay jo is ko pereshani sai nikal dai. Shadi bhi inhi mqamaat mai sai aik hai. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 112, pg # 55)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!