Question: Kia koi waps aaega ya nhi yeh jaanney k liye istakhara kr sakhty ?
Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 22-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mein new kam shuro kana chahta hn mera nam ameer hamza date of birth 1998.02.26 ha walda ka nam khalida zareen ha mjhe 20 wali seal ka kam smjh ata ha usmein mixx item hte hn 20 wale to kia mein ye kam kr skta hn ya nhi faida hoga ya nuqsan
Answer: Hairat aur pareshani ke mauqe par aur ghor o khoz aur mahsware ke baad mukhtalif ihtemaalaat mein se kisi aik ko tarjeeh nah day sakne ki surat mein (rehnumayei ki) umeed se istikhara kiya jaye aur baar baar istikhara karna sahi nahin hai magar yeh ke mauzoo(subject) hi badal jaaye aur aik maqsad ke baad kisi dosray maqsad ke liye sadqa day kar kiya jaa sakta hai. (Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #593). (Note: Istikhare ke liye raabta karain Madrasa Quran o Itrat Academy, contact number: 021-32226948, 021-32237207 ). [Updated on 24-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir ma apne career k baray ma istikhara karwana chahti hu k konsi field mere liye best hogi. Kindly meri help kar dyn it's really very urgent
Answer: Hairat aur pareshani ke mauqe par aur ghor o khoz aur mahsware ke baad mukhtalif ihtemaalaat mein se kisi aik ko tarjeeh nah day sakne ki surat mein (rehnumayei ki) umeed se istikhara kiya jaye aur baar baar istikhara karna sahi nahin hai magar yeh ke mauzoo(subject) hi badal jaaye aur aik maqsad ke baad kisi dosray maqsad ke liye sadqa day kar kiya jaa sakta hai. (Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #593). (Note: Istikhare ke liye raabta karain Madrasa Quran o Itrat Academy, contact number: 021-32226948, 021-32237207 ). [Updated on 02-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar istekhara sakht mana aaye to dobara dekh sakte hy??
Answer: Istikharay par amal karna wajib nahin hai. Lekin istikhaaray ki mukhaalifat munasib nahin is liye ke baaz auqaat (some times) istikhaaray ki mukhaalfat ke baad insaan ko sharmindgi uthani parhti hai. aur baar baar istikhara karna sahi nahin hai, siwaay ye ke mauzoo(subject) badal jaaye jis ki aik surat ye hai ke Kuch maal sadqah diya jaye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid se poochay gaye sawalaat, Part #3 sawal #112,113. & part #4 sawal #203. & jadeed fiqhi masail, maslah #593). [Updated on 15-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar istekhara sakht mana aaye to kya dobara dekh sakte hy ? Aur agar dobara dekh sakte hy to usko kitne time baad dekhe?
Answer: 1: Istikharay par amal karna wajib nahin hai. Lekin istikhaaray ki mukhaalifat munasib nahin is liye ke baaz auqaat (some times) istikhaaray ki mukhaalfat ke baad insaan ko sharmindgi uthani parhti hai. aur baar baar istikhara karna sahi nahin hai, siwaay ye ke mauzoo (subject) badal jaaye jis ki aik surat ye hai ke kuch maal sadqah diya jaye. 2: Sadqa de kar usi waqt dobara istikhaara kar sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid se poochay gaye sawalaat, Part #3 sawal #112,113. & part #4 sawal #203. & jadeed fiqhi masail, maslah #593). [Updated on 16-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o alaikum Mera sawal ye he k agr istikhara sahi ane ke bad bhi jo 5 martaba kiya gya ho, apki shaadi us Shakhs se naw ho tu is ka KIA matlb he?
Answer: Istikhara gaib ki khabar aur ittilaa dene ke liye nahin hota. Mazeed tafseelaat jaane ke liye darj zel link par click karen. https://drive.google.com/file/d/1dyV22Mn7BitWdY6VsiUUsEIw8Zx363os/view?usp=drive_link (Ref: Tauzeeh ul masail jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1443, maslah #525). [Updated on 20-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AOA, There are how many types of "Niyat e Istikhara" to comply accordingly? I heard there are 3 types of Niyat. Please elaborate.
Answer: Istikhara ye hai ke jis kaam ke karne me mashware karne ke baad bhi faisla nah kar pa rahe hon to phir istikhara ke zirye se madad li jaye. aur istekhara karna aik mubah amal hai, Istekhara na to wajib hai aur na hi mustahab, Istekhara karne ke liye ye kafi hai ke 3 baar salawaat(dorood) parhi jaye, aur is ke baad tasbeeh ke daano par haath dala jaye aur jitney daanay haath main aayen un ko 2, 2 kar ke gintay jayen aur aakhir main agar aik daana bacahy to istekhara behtar aya hai aur agar do danay bachain to ye samjhay ke istekhara bad (yani sahi nahin) aya hai. Mazeed tafseelaat janne ke liye darj zel link par kar ke "Istekhara" ki file download ki jaye. file:///C:/Users/pc/Desktop/Downloads/Telegram%20Desktop/8-Istekhara.pdf (Ref: Mujtahid se pochay gay sawalaat, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, Mafhoom e Sawaal #114. + Mafhoom e link; http://sistani.org/index.php?p=297396&id=310&page=2&perpage=10 ). [Updated on 15-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum sir ...sir shadi sy phly istkhara krwaya ho or wo shi nhi Aya isthkara ..ap Wohi shadi kr lain jhaa isthkra shi nhi Aya to kia agy jaky life mae koi muskil paish askti hy.. plzzz mjy bta dain ..Mae bht preshn hn
Answer: Istikharay par amal karna wajib nahin hai. balke istikharay ke bar khilaaf amal kar sakte hain. Lekin istikhaaray ki mukhaalifat karna munaasib nahin is liye ke (har waqt nahin) baaz auqaat istikhaaray ki mukhaalfat ke baad insaan ko sharmindgi uthani parhti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid se poochay gaye sawalaat, Part #3 sawal #112,113. & part #4 sawal #203. & jadeed fiqhi masail, maslah #593). [Updated on 19-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia istkhara py yqeen krna chyae....?
Answer: Karna chahiye, Q ke is liye to kaha gaya hai ke istikhaaray ki mukhaalifat karna munaasib nahin is liye ke baaz auqaat istikhaaray ki mukhaalfat ke baad insaan ko sharmindgi uthani parhti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid se poochay gaye sawalaat, Part #3 sawal #112,113. & part #4 sawal #203. & jadeed fiqhi masail, maslah #593). [Updated on 20-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera nam Huma hy meri walida ka nam Nusrat Zahra hy lrky ka nam taqi hy uski walida ka nam firdos fatima hy mjhy istakhara kr dyn kya hmara nikkah ho jaye ga?
Answer: Istikhare ke liye raabta karain Madrasa Quran o Itrat Academy, contact number: 021-32226948, 021-32237207. [Updated on 20-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]