Question: Mangni k baad istikhara krna thk ha agar koi masla hojae?
Answer: istikhaara aam tor par shak or faisla na karne ki soorat mai kia jaata hai wo bhi mashwara karne k baad lehaza agar koi aisi soorat e haal hai tou aap istikhaara kar sakti hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01728/). [Updated on 11-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalamoaliakum mai jana chahti hu agar shadi ka istikhara krwae or jwb na pouchein or shadi hojae tw masla tw nhi ha koi or shadi pasand ki ho?
Answer: wsalam.nikah ki tamaam sharait poori thi tou nikah durust hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani ediiton 41 maslah no 2335). [Updated on 16-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o Alikum Janab mujhay Quran say Istekhara kerny ka tariqa janna hai is k lia rehnumai farmain.
Answer: wsalam. 0213 2226948 2-6 pm [Updated on 03-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Istekhara kaise kare sunnat tarika shadi ko leke karna hai
Answer: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabat diay jaatay hain. Or fiqhe jaferia ke mutabiq Istekhara karney ka tareeqa : Tasbeeh ko haat me le kar teen dafa darood parhey aur aik muth’thi tasbeeh k daano ki haath me lain aur phir do do shumaar karta jain agar akhir me aik daana baaqi bachay to is kaam ko karain aur agar do daa’nain bachein to is kaam ko na karain. (ref:sistani(d.b),website address, http://www.sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=47&sid=0&eid=0&page=2) [Updated on 21-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa sir Maine istikhara kiya tha lekin mujhe kuch nazar nahi aaya aur dil us kam ki taraf nahi hain main ab kya Karun app raye dai
Answer: istekhara kerna wajib nahe hai or mustahab bhe nahi hay, balkeh ye tu aik dua ki terah hay k jab insaan soochnay k baad bhi kisi nateejay per nahi pohanch paay tu istekhara karay istekharay per amal kerna wajib nahi hay.laikin istekhaaray ki mukhaalfat munasib nahi is liay k baaz auqaat (some times) istekhaaray ki mukhaalfat k baad insaan ko sharmindagi uthani perhti hay.or baar baar istikhara kerna sahi nahi hay,siwaay ye k mauzoo(subject) hi badal jaay or aik maqsad k baad kisi dosray maqsad k liay sadqah day ker kiya jaasakta hay.Istekhara khud bhi nikala jasakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #112,113 & part#4 sawal #203 & jadeed fiqhi masail, maslah #583). [Updated on 11-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia istakhara krwana jaaaez h?? ki haathon ki lakeeron ka ilm na jaiz h ?
Answer: istikhaara alag cheez hai or ye ( jaiz hay or ) dua ki terah hay k jab insaan soochnay ( or kise se mashwara karne ) k baad bhi kisi nateejay per nahi pohanch paay tu istikhara karsakta hay .istikharay per amal kerna wajib nahi hay.laikin istikhaaray ki mukhaalfat munasib nahi is liay k baaz auqaat (some times) istikhaaray ki mukhaalfat k baad insaan ko sharmindagi uthani perhti hay.or baar baar istikhara kerna sahi nahi hay,siwaay ye k mauzoo(subject) hi badal jaay or aik maqsad k baad kisi dosray maqsad k liay sadqah day ker kiya jaasakta hay.Istikhara khud bhi nikala jasakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #112,113 & part#4 sawal #203 & jadeed fiqhi masail, maslah #583). or haathon ki lakeeron sai istekhare ka koi taluq nahi hai .pamestry(dastshanasi) ki shareyat me koi haqeqat nahe hay or jab tak yaqeen na ho is ki khabre dena jaiz nahe hay.(ref:deen ke ahkaam,aqa sistani,pg no: 338) [Updated on 05-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: As salaamu alaikum, Istekhara khud se karne ka sahi tarika kya hai?
Answer: Istikhara karney ka tareeqa : Tasbeeh ko haat me le kar teen dafa durood parhey aur aik muthhi tasbeeh k daano ki haath me lain aur phir 2 2 kar ke ginte jain agar akhir me aik daana baaqi bachay to is kaam ko karain aur agar do daanain bachein to is kaam ko na karain. (Ref : Sistani(d.b), website) [Updated on 05-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar flat lyne k liye istikhara mana aye to dobara istikhara dekh sakhty hn kiya
Answer: Istikharay per amal kerna wajib nahi hay. Laikin istikhaaray ki mukhaalifat munasib nahi is liay k baaz auqaat (some times) istikhaaray ki mukhaalfat k baad insaan ko sharmindagi uthani perhti hay. or baar baar istikhara kerna sahi nahi hay, siwaay ye k mauzo (yani subject) hi badal jaay or aik maqsad k baad kisi dosray maqsad k liay sadqah day ker kiya jaasakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #112,113 & part#4 sawal #203 & jadeed fiqhi masail, maslah #583). [Updated on 11-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kya be namazi istikhara kr skta hy.
Answer: Jee han, Kar sakta hai. Q k Isikhara karne ke namazi ya be namazi ka hona shart nahin hai. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01728/ ) [Updated on 28-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam o alikum, agar istakhara theek na ay or wo kam krna chahty hon tou us ka kya solution ha?
Answer: Dobara istikhara kiya ja sakta hai. Lekin doosri marataba istekhara us soorat mai kara saktay hai jub sadqa dai dia jaey ya unwaan badal jaey. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01728/) Istikharay per amal kerna wajib nahi hay. Laikin istikhaaray ki mukhaalifat munasib nahi is liay k baaz auqaat (some times) istikhaaray ki mukhaalfat k baad insaan ko sharmindagi uthani perhti hay. or baar baar istikhara kerna sahi nahi hay, siwaay ye k mauzoo(subject) hi badal jaay or aik maqsad k baad kisi dosray maqsad k liay sadqah day ker istikhara kiya jaasakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #112,113 & part#4 sawal #203 & jadeed fiqhi masail, maslah #583) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]