Question: ma istikhara karwana chhati hu .larky ka nam (M.Asif.mother name zahida father name M.Ashraf) larki ka nam madiha jabar .mother name khalida parveen .father nam abdul jabbar
Answer: Istekhara karwanay k lie Pakistan k time k mutabiq dopahar k 2 bajay sai sham k 6 bajay tk aap is phone number par rabta karain : 0092 21 32226948. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mera naam wassia ha....mere liye aik larkay ka rishta aya ha jis ka naam zeeshan ha....wo england ma rehta ha...mere barun ne us se bat ki ha....ap istekhara kr k bata dain k ye rishta mere liye behtr ha ya nai?plz mjy aj he jawab de dain
Answer: Aurat or os k wali(baap/dada) k liay behtr hai k larki k rishtay mai larkay mai on sifaat or khasaais par ehmiyat dain jin ka shohor main hona zarori hay.aurat ko chahiay k wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo deendaar,paak daman,or baa akhlaaq ho.sharabi nah ho or burai or mohliq gunaho ka irtekaab nah kerta ho(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 387 pg # 232 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Note : Istekharay k lie is number par rabta karain 021 32226948.
Question: mjhy istkhara krwana h nam sehrish amin mother name sofia or lrkay ka nam rizwan kashif or us ki mother ka nam parveen h
Answer: For Istekhara please Contact # 02132226948,02132237207(2 pm to 6 pm)
Question: Aslam o alikum mara naam burhan hai mari ami ka naam razia hai mari mangetar ka naam Perbhat hai aus ki ami ka naam afroz hai ap se ye puchna chahta hu ke perbhat se mari shadi thek rahe gi hum dono ke lea muj ap astkhara kar ke btaea plz z
Answer: Ye Madrasa quran o Itrat Academy ka contact number 021-32226948, 021-32237207 hay, ap yahan se istikhare ka jawaab hasil kar sakte hain.(Ref:www.qoitrat.org). addres: 365/1, pire street , garden east karachi. Pakistan , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Kya ham istakhara me pure waqaya pata laga skte ha ? Jese kisi ne jhut bola ho hamse aur us jhut se behad pareshan ho ham to kya ham ishtekhara karhke puri sachai pata kr skte hai
Answer: Istekhara in kamo k liay nahi hota.(Re: https://www.sistani.org/urdu/qa/01728/). Update on dated 15-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya peshab ke naad pair pe paani daalna zaruri jai.?
Answer: Jis qaleel pani se peshab ya pakhane k makharij dhoye jain wo agar kisi cheez ko lag jain tu 5 sahraet k sath osay najis nahi kare ga: 1) Pani main nijasat ki boo, rang ya zaiqah paida nah hoa ho. 2) Bahar se koe nijasat os se nah aa mili ho. 3) Peshab ya pakhane k sath or koe nijasat maslan khoon kharij nah hoa ho. 4) Pakhane k zarraat pani main dikhae nah dain. 5) Peshab ya pakhane k makharij k atraf main mamool se ziyadah nijasat nah lagi ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #26). Update on dated 13-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). [Updated on 13-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya shadi k lyae istekhara lrki k ghar walu se milnay se pehly krna chaheyae ya badd mae?
Answer: Istekahra larki k ghar walo say milnay say pehlay ya gar walu say milnay k bad bhi karwaya ja sakta hay...(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #114) [Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aima k faal nikalnay ka tareeqa kya hai koi ac app jisk zariye ap fall nikal skaay ..
Answer: Faal ka koi aytebaar nahi hota hai aur faal kernay walon k liay zaroori hai k wo yaqeen k sath peshan-goi nah karen. Albatta Quran ya tasbeh waghaira se istekhara kerna islam main jaiz hay.(Ref :Mafhoom e http://sistani.org/index.php?p=827020&id=993+ http://www.sistani.org/persian/qa/0829/ ) [Updated on 11-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar istikhara na kia jaye tw iska koi nuqsaan hoga.. Or istikhaara kin mamlaat me krna chahyea.. Agr aap kisi cheez ko psnd krty ho dil se krna chahty ho tw kia istikhara krna chahyea??
Answer: istikhaara aam tor par shak ya faisla na karne ki soorat mai kia jaata hai wo bhi mashwara karne k baad.Iskekhara karna wajib nahi hay.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01728/) [Updated on 06-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Istekhara normal ane ki Surat ne kia paigam hy?
Answer: mayyana (medium) Istekhara yani nah bura hay or nah hi acha. (Ref: kitab Istekhara e Quran,pg#435). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]