Question: Istakhray ma soty wakt hawa kharij ho jaye to istakhra ho jata h ya ni ? Mtlb istakhry krne waly ko khud pata na ho k hawa kharij hoi h ya ni , liken koi aur batye k ap ka wazu tot gya tha raat ko ... To kia istakhra ho jaye ga ya ni ????
Answer: 1: Neend bhi wuzu ko batil karti hai. Q ke neend agar aisi ho k jis ki wajah sai aankhen dekh na sakay or kaan sun na sakey to wuzu baatil ho jata hai, lekin agar aankhen nah dekh rahi ho magar kaan sun rahay ho tu wuzu baatil nahi hota. Aur Isi tarh Riyaah(hawa) ke kharij hone se wuzu baatil ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul masail Ayatollah Seestani edition 39 maslah #322) 2: Istikhara karney ka tareeqa : Tasbeeh ko haat me le kar teen dafa darood parhey aur aik muthi tasbeeh k daano ki haath me lain aur phir do do shumaar kartay jain agar akhir me aik daana baaqi bachay to is kaam ko karain aur agar do danain bachein to is kaam ko na karain. (Ref: Sistani(d.b), website) [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya dost apni dost ke rishty ke lia istikhara kr skti ha? Aur agr kry to usko sahi ishara ay ga?
Answer: ye tou istikharay k bad pata chalay ga [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamoalikum! Umeed ha ap khairiyat se ho ge . Agr koi fasla krne ma tangi a rahe ho ya smj na a rahe ho bilkul b k kia karna chaheye to kon se surah parhe jai ge Allah ki raza shamil o jaie .
Answer: Aap is muamlay me istikhara karwain aur usi ke mutabiq amal karain. Istikhara aam tor par shak or faisla na karne ki soorat mai kia jaata hai wo bhi mashwara karne k baad lehaza agar koi aisi soorat e haal hai to aap istikhaara kar sakti hain. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01728/ ) [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia istakhra na ajane k bad haan hone ka koi tariqa nahi h?
Answer: Istekhara doosri martba bhi kiya ja sakta hai, lekin doosri martaba istekhara us soorat mai kar saktay hain jab sadqa dai dia jaey ya unwaan badal jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), website, https://www.sistani.org/urdu/qa/01728/ ). [Updated on 24-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar aik ka istikhara bht achah aaya ho or dosray ka dil mutmain nhe ho raha to nikah kar saktay hain is hawalay say wazahat kren
Answer: Istikharay per amal kerna wajib nahi hay. laikin istikhaaray ki mukhaalfat munasib nahi is liay k baaz auqaat(some times) istikhaaray ki mukhaalfat k baad insaan ko sharmindagi uthani perhti hay. or baar baar istikhara kerna sahi nahi hay, siwaay ye k mauzoo(subject) hi badal jaay or aik maqsad k baad kisi dosray maqsad k liay sadqah day ker kiya jaasakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #112,113 & part#4 sawal #203 & jadeed fiqhi masail, maslah #583). [Updated on 20-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Istikhara kitni bar karna chahiha?
Answer: Baar baar istikhara karna sahi nahin hay, siwaay ye k mauzoo(subject) hi badal diya jaye aur aik maqsad k baad kisi dosray maqsad k liye sadqa day kar kiya jaasakta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid say pochay gaye sawalaat, Part #4 sawal #203 & jadeed fiqhi masail, maslah #583). [Updated on 28-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri ankh ka pardah kyun hatta hai istkhara see bataen Aur iss ka ilja b bataen Doctors se shifa nahen mil rahi
Answer: 1) Istikhara is lie kia jata he take khuda se kher talab kia jae ke men yeh kaam karun ya nahin, 2) Istikhara ghaib ke ilm se agahi nahin deta. 3) Agar koe shaks surah qaaf ki ayat#21 or 22 ko subah k waqt aisi aadmi ki aankho par parhein jis ki aankho main koe takleef ya bemaari ho ya roshni kam ho tu in ayaat e qurani ki barkat say saari takaleef door hojain gi.(Ref:naeem ul aamaaal page no 318) [Updated on 23-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr istekhara miyana aye to iska kya mtlb he
Answer: Mayyana (medium) yani nah bura hay or nah hi acha.(Ref: kitab Istekhara e Quran, pg #435). [Updated on 09-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Istekharah karte wakth pehle din sahi nahi aaya Dusre din kisi aur ko leke aaya Aur teesre din tabiyat bhout bigad gaye
Answer: Doosri martaba istekhara us soorat main kar saktay hai jab sadqa de diya jaey ya unwaan badal jaey.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01728/). [Updated on 01-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam 0 Alikum Sir mujhy apny dost k lia istkhara krna hy to please p mujhy bt a dan k kya tika ho ga us k us ke niyat kaya ho ge
Answer: Istikhara ye hai k jis kaam k kerne men mashware kerne k baad bhi faisla nah ker pa rahe hoon to phir istikhara k zerye se madad li jaey.or istekhara kerna aik mubah amal hai, Istekhara na to wajib hai or na hi mustahab, Istekhara kerne k liay ye kafi hay k 3 baar salawaat(dorood) perhi jaey, or is k baad tasbeeh k daano per haath dala jaey or jitney daanay haath main aaen onko 2 2 ker k gintay jaen or aakhir main agar aik daana bacahy tu istekhara behter aya hay or agar 2 danay bachain tu ye samjhay k istekhara bad (yani sahi nahi) aya hay.(Ref: Mafhoom e http://sistani.org/index.php?p=297396&id=310&page=2&perpage=10 + Ref: Mujtahid se pochay gay sawalaat, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, Mafhoom e Sawaal #114). Ya Istikhare k liye raabta karain Madrasa Quran o Itrat Academy, contact number: 021-32226948, 021-32237207 ). [Updated on 12-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]