Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 15738
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam hum na makan lia ha jis ka istekhara mara abu ka nam pa behter ka ishara aya lakin meri walida (ami) ka nam pa mana ka ishara aya ha ....hum ghr ki adhi rakm tk da chuka hain pichy bhi nhi hat skty is baray ms rhnami farmay shukria

Answer: Istikharay par amal karna wajib nahin hay. Lekin istikhaaray ki mukhaalifat karna munasib nahin is liye ke baaz auqaat (some times) istikhaaray ki mukhaalfat ke baad insaan ko sharmindagi uthani parhti hay. or baar baar bhi istikhara karna sahi nahi hay, siwaay ye ke mauzoo(subject) hi badal jaay or aik maqsad ke baad kisi dosray maqsad ke liye sadqah day kar kiya jaa sakta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #112,113, & part #4 sawal #203 & Jadeed fiqhi masail, maslah #583). [Updated on 12-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15830
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 1 bar Jawab milny k bad bhi Kya 3 din lga tar istakhara krna lazmi Hy?

Answer: Istikahra karna wajib tu kiya mustahab bhi nahi hay, balkeh ye tu aik dua ki tarah hay ke jab insaan sochnay ke baad bhi kisi nateejay per nahi pohanch paay tu istikhara karay shaadi bhi inhi mauqoo main say aik hay. istikharay par amal karna wajib nahin hay. laikin istikhaaray ki mukhaalifat munasib nahin is liay ke baaz auqaat (some times) istikhaaray ki mukhaalifat ke baad insaan ko sharmindagi uthani parhti hay. or baar baar istikhara karna sahi nahin hay, siwaay ye k mauzoo(subject) hi badal jaaye or aik maqsad ke baad kisi dosray maqsad k liay sadqah day kar kiya jaasakta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid say pochay gaay sawalaat, Part #3 sawal #112,113 & part#4 sawal #203). [Updated on 07-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15831
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 1 bar Jawab milny k bad bhi Kya 3 din lga tar istakhara krna lazmi Hy?

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 07-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15846
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya hum ksi aur se isthikara krwa skty h ya khud krna lazim h?

Answer: Jee han, kisi aur se bhi istikhara karwaya jaa sakta hai Q ke Istikhara aik jaiz amal hai aur jaiz amal me kisi aur ko apna wakeel bhi bana sakte hain. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, Edition #1439, maslah #1265). [Updated on 11-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15940
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalaam o alikum Istkhara krne wale ka parhezgar hona zruri hai ya koi bhi shakhs kr skta hai??? Matlab istkhara k ly Kon shakhs ahell hai or Kon c ehtiyat or tadabeer ikhtyar krni chahyen?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Istikhara ke liye aisi koi sharait nahin jo namaz ya deegar ibadaton me zaroori hoti hain. or istikhara khud bhi kar sakte hain or kisi aur se bhi istikhara karwaya jaa sakta hai Q ke Istikhara aik jaiz or mubah amal hai aur jaiz amal me kisi aur ko apna wakeel bhi bana sakte hain. 2: Istikhara ye hai ke jis kaam ke karne men mashware karne ke baad bhi faisla nah kar paa rahe hon to phir istikhara ke zariye se madad li jaey. or istekhara karna aik mubah amal hai, yani istekhara na to wajib hai or na hi mustahab, or istikhara karne ke liye ye kafi hay ke 3 baar salawaat(dorood) parhi jaye, or is ke baad tasbeeh ke daano par haath dala jaye or jitne daanay haath main aaen onko 2 2 kar ke gintay jaen or aakhir main agar aik daana bache to istikhara behtar aaya hai or agar 2 danay bachain to ye samjhay ke istikhara bad (yani sahi nahin) aaya hay. Ya Istikhare ke liye raabta karain Madrasa Quran o Itrat Academy, contact number: 021-32226948, 021-32237207. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, Edition #1439, maslah #1265. + Mafhoom e https://www.sistani.org/arabic/qa/0310/ + Mujtahid se pochay gay sawalaat, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, Mafhoom e Sawaal #114). [Updated on 03-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16188
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya hum istikhary me sehat ki bahali ka pta kr skty hen k nai??

Answer: 1: Istikhara is liye kiya jata hai taake khuda se khair talab kiya jaye ke men yeh kaam karon ya na karon. 2: Istikhara ghaib ke ilm se agahi nahin deta. (Ref: Mafhoom e http://www.sistani.com/persian/qa/0829/ ). [Updated on 12-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16246
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Istikhara krne k bd us agr agr uski khilaf warzi ki jaye tw kia yeh thk hai ya gunah mai shumar hga ?

Answer: Istikharay par amal karna wajib nahin hay. yani istikhaaray ki mukhalifat karna jaiz hai, Laikin istikhaaray ki mukhaalifat munasib nahin is liye ke baaz auqaat (some times) istikhaaray ki mukhaalfat ke baad insaan ko sharmindagi uthani parhti hay. (Ref: Mujtahid say pochay gaye sawalaat, Ayatullah Sistani(d.b), part #4 sawal #204). [Updated on 06-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16251
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam_o_alekum Meri sister bemar hn bht skht smjh ni aa rhi na damm sy na he doctor sy bemari sort out ho rhi. Kia is bat ka istekhara kka ja skta k unhy kia masla hy Bemar hn ya nazar wghera hy ya koi aur masla hy

Answer: Is tarah ke kaam ke liye istekhara nahin hota. (Ref: Mafhoom e http://www.sistani.com/persian/qa/0829/). [Updated on 07-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16383
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam o alikum. Mjy ye malomm krna ha kaay kya es trah ho sktaha kaay 2dfa istakhara kiya jaye larki bh kray or larka bh . Dono mein saay kisi aik ka thk a jaye or doray ka sae na aye. Kya esy ho skta ha?

Answer: Hairat aur pareshani ke mauqe par aur ghor o khoz aur mahsware ke baad mukhtalif ihtemaalaat mein se kisi aik ko tarjeeh nah day sakne ki surat mein (rehnumayei ki) umeed se istikhara kiya jaye aur baar baar isstikhara karna sahi nahin hai magar yeh ke mauzoo(subject) hi badal jaaye aur aik maqsad ke baad kisi dosray maqsad ke liye sadqa day kar kiya jaa sakta hai. (Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #593). [Updated on 10-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16434
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia koi waps aaega ya nhi yeh jaanney k liye istakhara kr sakhty ?

Answer: Is tarah ke kaam ke liye istekhara nahin hota. (Ref: Mafhoom e http://www.sistani.com/persian/qa/0829/). [Updated on 21-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!