Question: Kia Islam mai aurat apne bache ka naam rakh sakhti hai?
Answer: Gee haan bilkul rakh sakti hai koi harj nahi hai, Albatta islami nuqta e nazar se aulaad per naam rakhne ka haq walid ka hota hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 387 , Eidition 1417 hij). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agar maa baap apne haqooq ada na krein tu bachon ko kya krna chaye
Answer: Aulad ko chahiye har haal men apne walden ka ehteraam karain, Q k quran or ahadees ki roshni men walden ka haq buhut barha hai to agar kisi wajah se wo apne huqooq pure nah ker sakain to is ka hargiz ye matlab nahi k aulad bhi un k sath wohi rawayya rakhe.Jesa k Imam Jaffar e Sadiq a.s nai farmaya hai k jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghussay sai dekhay jab wo os par zulm kar rehay hon to khuda oski namaz qabool nahi karta hai. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 298 pg # 176, Eidition# 5). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mere waldein meri baat nahi maan rahein hain plz reply me fast
Answer: Jab bhi waldain ki taraf sai koi hokum ya roktok mohabbat ki wajah sai ho aur is ki mukhalifat sai inhain aziyat hoti ho to aulad k liay un ki mukhalifat karna haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1387). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salaams. Is it advisable to keep the name of Janab Zainab to the Shia girls. I was told that Janaab Zainab (AS) adivsed not to keep her name.
Answer: Mustahab hai k bachay ka acha nam rakha jae Q k ye bachay ka baap par haq hai. Aur zainab bhi un achay namoo mai sai aik naam hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #387 , Eidition 1417 hij). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kisi IMAM a.s. k wiladat k jashan mai taliyan bajanay ka kia hokum hai?
Answer: Haram nahi hay, laikin ye chezain salawaat ki jagah nahi lay sakteen. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part#1, Mafhoom e maslah#188 ). Update on dated 05-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: muhammad naam rakhna sahi hai ya nahi
Answer: Jee haan Bache ka naam Muhammad rakh saktay hain balkeh ye mustahab bhi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #387 , Eidition 1417 hij). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam,meri sab se bada masla meri walida hai bohot bad akhlaq hai kisi ke sath sahi rawayye se paish nhi aati tho aisi walida ke sath kesa bartaw hona chahiye?
Answer: Imam Jafar e Sadiq a.s. nai farmaya hai k : “ jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghazab sai ghooray jab wo waaldain is par zulm kar rahay hon to khuda is shaks ki namaz qabool nahi karta.” Is k alawa waaldain sai naiki karna un tamam aamal sai afzal hai jin k zarie Allah ka qurb hasil kia ja sakta hai. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #298-9 pg # 175-6 Eidition# 5). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: As salam o alaikum Kia adopted bacha mehram hota hay ?? us k samnay parday ka kia hukum hay ?
Answer: Adopted (Goud liya hoa) bacha jab baligh ho jaay ga tu na-mehram hoga or paalne wali aurat k liay bhi is se perda kerna hoga.). ( Ref: Mafhoom E-mail Recieve from A.Sistani(d.b), 24-12-2010). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: beti ko kitna arsa maa ka doodh pilana jaiz hai ?
Answer: Mustahab hai k aurat bachay ko (chahay lerka ho ya lerki) puray 21 mahinay doodh pilay or 2 saal sai ziyada doodh pilana munasib nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2454). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam.... tarbiyat e aolad k liey kn kn c cheaz zarori hay aur tarbiyat e aolad quen zarori hay
Answer: Aulaad ki terbiayt 2 saal tak maan or baap dono ki zimme hay or 2 saal k baad terbiyat ki zimme daari baap k zimme hay.is terbiyat main islami masael or har wo cheez jis se bacahe ki zindagi ka ta’al’luq hay shamil hay. Islam ne aulad ki terbiyat ki zimme daari waaldain per lagae hay or isi terah tamam momineen o mominaat per ye zimme dari lagae hay k wo cahnd sharto k sath aik doosre ko ache kaamo ka hokum dain or buray kaamo se rokain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), http://www.sistani.org/arabic/qa/0380/+ (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2008-9). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).