Question: Adobted child ke bare me bataen
Answer: Jee adoption(Gaud lene) men koi harj nahi albatta agar bachay ki adoption ki jaay to is baat ka khayaal rakha jay k bachay k shajra e nasab or is ki family say is ka ta’al’luq mehfooz rahe. (Ref :Mafhoom e E-mail Recv from A.Sistani(d.b), 24-12-2010). [Updated on 09-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: wife ko apne maa baap ke sahmti ke beger tour pe le ga rha hu kya ye sahi hai?
Answer: Agar aap k waldain aap ko kisi amal say rok tok muhabbat ki wajah say ya ap ki mukhalifat ki wajah say unhay aziyat hote ho to olad ky lia un ki mukahifat karna haram hay...(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 2019 edition, maslah #1387). [Updated on 10-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salaam mera ak becha ha 3 mah ka meri biwi dubra hamla ho gi ha pr ma abi pregncy ni chehta.islam issh beray may kia khta ha???
Answer: Qarar e nutfaa orat k rehm men mard ki mani thehrne k bad isqat e hamal bachhe ko zaya krna jaiz nahi hai mgr ye khoaf ho k hamal ka baqi rakhna orat ki zindagi k liye nuqsanda hai ya naqabi e bardasht harj ka baais ho to agr hamal men agr jaan na pari ho to isqat e jaiz hai lekin hamal men jaan parne k bad bachhe ka zaya krna hargiz jaaiz nahi hai (Ref: Ayatullah sistani d.b tauzeehul masail edition#42, maslah 72 jadeed masaail). [Updated on 01-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar koi bacha girana chahy or wo is hisab sy giraye k main paal nh sakta to kiya bacha girana jaiz hai. Agar jaiz h to kis month m giraye?
Answer: Qaraar e nutfa(mani k rehem main thehernay) k baad isqaat e hamal jaiz nahi he.magar ye khoof ho k hamal ka baaqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jaan nah perhi ho tu isqaat jaiz hay,laikin hamal main jaan pernay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahi hay. Agar maa khud bachay ko zaya kray to is ki diyat maa par wajib hai aur zaroori hai k wo diyat bachay k baap ya doosray worsa ko dai aur agar baap hamal ko zaya kray to is ki diyat is par wajib hai aur zaroori hai k wo maa ko ada kray.agar hamal gherane wala doctor ho to diat is doctor per wajib hai albaat wareseen is doctor se diat maaf karsakte hai (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) jaded masayl ,masla # 72). [Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar doctor mard ho to kya usse delivery karana haram hai,,our samaaj mai vaginal scan hai to zyadatar mard doctor hi karte hai to o kaisa hai islam mai
Answer: Agar Khatoon doctor dastiyaab nah ho ya phir mard doctor khatoon doctor se kaam main ziyada mahir ho or is delivery k liay ziyada munasib ho tu phir mard doctor se delivery karana jaiz hay. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#386,eidition 1439 ). [Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mare husband ke itne income nhi k wo bachi ka aqiqah kr sake tou me yeh pochna chahte hon k mare parents mujhe pocket money detey hain kia me unhe jama kr k bachi ka aqiqah kr sakte hon ???
Answer: Jee han aap kar sakti hain. Mustahab hay k bacahy ki paidaish k baad aqiqa kia jaey or ziyada mustahab hay k paidaish k sathwein (7th) rooz aqaiqa kia jaay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 394 , Eidition 1417 hij) [Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ASSALAMUALAIKUM, kya bache ko Muhammad naam de sakte hein ya Muhammad k sath koi aur naam b hona chahey?
Answer: Jee faqat muhammad naam diya jaa sakta hai or ahlebait k naam par naam rakhan mustahab hai. (Ref : Jadeed faqhi masail , ques # 573 , pg # 287) [Updated on 02-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa. Mera sawal hai k ager shohar biwi ki physical needs pori ker sakta ho per olad na day saky. Jese medically sperms na hon but baqi her tarha acha ho tou biwi ko olad ki khawhish be ho. Tou ese mn husband ko chor day ya adopt ker lay?
Answer: Salam. mashware k liay is number 02132226948, 02132237207 subah 8 pm se 6 pm tak raabta kar sakte hain. [Updated on 12-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 10 muharram k din beta peda howa kay naam rkhon
Answer: Islami nuqta e nazar se aulaad per ache ache naam rakhne ka haq walid ka hota hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 387 , Eidition 1417 hij). [Updated on 28-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera swal ye hai agar bivi nay beati ko dodh na pilaya ho k agar beta hota to pila deti talaq k bad beti par maaa ka haq hai ya BAP ka
Answer: Jab tak larka ya larki 2 saal k nah ho jain baap, bacho ko inki maan se juda nahi kar sakta is liay keh bacho ki nighedaassht maan or baap dono k zimme hay or ehtiyaat e mustahab ye hay keh bacho ko 7 saal tak os ki maan se alaihda nah kare balkeh is sorat main jab alaihda karna bacho k liay zarar rakhta ho, tu ye kaam jaiz nahi hay.(Ref: Tauzihul masael, ayatullah sistani, maslah#2421) [Updated on 14-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]