Question: Last year mera bhateeja paida hua tha jiska nam hmne Muhammad Bilal rakha tha magr uski 5 month baad death hoo gai ab phir se mere bhai k ghr Allah ne karam kiya h to kya hm uska nam Muhammad Bilal rkh skte hain? Kya 2 bhaion ka ek hi nam ho skta h?
Answer: 1: Jee han, rakh sakte hain. 2: Name rakhne me koi haraj nahin hai, Han, jab wo beta (jis ka intiqal ho chuka hai) hayat hota to name pukarne me tab maslah pais aata lekin chunke abhi to sirf aik hi beta hayat hai is liye koi haraj nahin. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #387). [Updated on 02-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal ye hai k agar baap parhai ka kharch aur pocket money na de to kya tab bhi uski ita’at wajib hogi?
Answer: agar aap ghareeb ho tu baap ke liye faqat aap ka naan o nafaqah wajib hay, ab mazeed ye aiteraz nahin kiya jaa sakta ke wo kisi aur ko kiya day rahe hain aur aap ko kiya day rahe hain. Aulad ko chahiye har haal men apne walden ka ehteraam karain, Q ke quran or ahadees ki roshni men walden ka haq buhut barha hai to agar kisi wajah se wo apne huqooq pure nah kar sakain to is ka hargiz ye matlab nahin ke aulad bhi un ke sath wohi rawayya rakhe. Jesa ke Imam Jaffar e Sadiq(a.s) ne farmaya hai ke jo shakhs apnay waldain ko aisi halat me ghussay se dekhay jab wo us par zulm kar rehay hon to khuda uski namaz qabool nahin karta hai. (Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), Mafhoom e maslah #298, pg #176, Edition #5). [Updated on 02-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bachy ka nam rkhny ka haq maa ko hai ya daadi ko
Answer: Maah ya daadi apni aulad ka naam rakh sakti hai, koi harj nahin hai, Albatta islami nuqta e nazar se aulaad par naam rakhne ka haq walid ko hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, edition #1417 hij, maslah #387). [Updated on 05-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aqiqa main ahay huay mehman paisay ya tuhaif agar bachay ko daitay hain to wo qabool krna kaisa ha?? Saath hi agar koi is niyyat say likhta ha k is mehman nay itnay paisay diye, is nay itnay diye jaisay shadi par hota ha to kya ye theek ha
Answer: Dono surton me qubool karna jaiz hai lekin ye qubool bache ka wali (yani baap ya dada) kare ga. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah sistani(d.b), Part #2, Maslah #1315, edition #1443) [Updated on 05-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Keya ourat dosre shadi k bad apne plhe bate Sath rkh skte hai
Answer: Sharaei maslah yeh hai ke do saal tak bache ki parwarish or negehdaasht, maan aur baap dono ka barabar ka haq hai or zimmedari bhi hai aur do saal ke bad ye haq aur zimmedari baap se makhsoos ho jati hai. Is bina par do saal ke bad bacha apne baap ke pass hi rahe ga, Han agar bache ka baap raazi ho ke wo bacha maan ke pass rahe to wo aurat dusri shadi ke baad bache ko apne pass rakh sakti hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2422. + Minhaj us Saliheen, part #3, maslah #401). [Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia islam me ye bat jaiz he k saas susar k dabao ki wajah se miya bv bacha paida karen ya ye srf miya bv ka apsi mamla he
Answer: Jab waldain ka hukum aur rok tok aulad se shafaqt or mohabbat ki wajah se ho aur iski mukhalfat se inhen aziyyat hoti ho to aulad par unki mukhalafat karna Haram hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1387). [Updated on 23-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa Humny apny baby ka name quran me likh k rakaha tha kia wo change kr skty hye kiu k ab mery walden ( mom /dad ) ko apni marzi ka rakhana hy
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Agar pehle din bache ka koi naam rakha ho to baad me tabdeel kar sakte hain, is me koi haraj nahin. 2: Riyawat me hai ke Imam Jaffar Saqid(a.s) farmate hain: "humaray han koi bacha paida nahin hota magar ye ke hum us ka naam Muhammad rakhen, pas jab saat din guzar jayen to hum chahen to us ka naam tabdeel kar den chahen to tabdeel na karen". Lihaza is riwayat par amal kiya jaye to pehle din se saatwen din tak Muhammad naan rakh sakte. Phir chahen to saatwen din naam tabdeel kar den ya chahen to tabdeel na karen. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame{fars}, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #368. + Wasail-us-shia, part #21, pg #392). [Updated on 27-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: سلام ۔ایک بے اولاد عورت اپنی بھتیجی یعنی بھائی کی بیٹی کو گود لینا چاہتی ہے تو کیا وہ بچی اس عورت کے شوہر کے لئے محرم ہو گی یا نامحرم پردہ کے کیا احکامہوں گے؟ کیا گود لینا صحیح ہے؟
Answer: Adoption (Gaud lene) men aur us bache ki daikh bhaal karne men or us se muhabbat ka izhaar karne me koi haraj nahin lekin bache ko apna bacha kehlana (yani bacha gaud lene wale is bache ke baare me ye kahen ye hamara bacha hai) jaiz nahin hay. Agar bachay ki adoption ki jaaye to is baat ka khayaal rakha jaye ke bachay ke shajra e nasab aur is ki family se is ka taaluq mehfooz rahe. is bache ko adopt karne wale ki wiraasat nahin mile gi aur is bache ko haqeeqat bata den albatta is tarah se ke is par zehni dabaao na parhe aur is ka naam apne baite ke tour par (I.card) na likhwaain. chunache kisi nuqsaan ya mushaqqat ki wajah se aisa karna mumkin na ho to (is baat ko mehfooz karen) aur likhen aur is par ghawaah banain. Jise adopt kiya jaye agar wo larki hai to adopt karne wale mard (yani aap ke shohar) ke liye na mehram hogi, lihaaza dono ke darmiyan parday ke wohi ahkaam jaari honge jo kisi na-mehram ke liye hote hain. (Ref: link: https://www.sistani.org/urdu/qa/02838/ urdu, guad lena, sawaal #1. + english, ques & ans, topic: adoption, ques #1,2). [Updated on 31-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Baap ki death k baad bacho py kis Ka haq Hoga MAA Ka ya dada Ka?
Answer: Sarparast (wali )dada hota hai aur paalne aur dekh bhaal karne ka haq maan ka hota hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, edition 1443 hij, maslah #57,58,404). [Updated on 14-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa Agr 2 months of pregnancy me miscarriage hojye or bacha bana b na ho tw kia wo aurat jannat me jaye gi?
Answer: Agar hamal khud b khud saaqit (yani miscarriage) ho jaye to ye haram nahin hai aur is se insaan ghunahgar nahin hai hota. lihaza agar insan apni sharaei zimmedariyon ko anjam deta ho yani wajibaat ko baja laye aur muharramat se parhez kare to yaqeenan Allah taala aadil hai aur kisi par zulm nahin karta aur yaqeenan wo insaan bhi zaroor jannat me jaye ga jo muttaqti aur parhezgar ho Q ke Allah taala khud surah maryam ki aayat #63 mein irshad farata hai ke "yeh woh jannat hai jis ka waris hum apne bandon mein se muttaqteen ko banayen ge". (Ref: https://www.balaghulquran.com/index.php?sno=19&ano=63 ). [Updated on 06-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]