Question: assalm o alikum mujhe apny beta ka naam rakhna hy data of birth 18/8/2014 timing of birth 08:05 AADAM beyazit Aydan in main sy koi ek nam bata dijiye
Answer: Ahadees k mutabiq ambiya, Masomeen (a.s) waghaira k naam per bache ka naam rakhna mustahab hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 387 , Eidition 1417 hij). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad (s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Hazrat, aise koi hadees ya ayat hai jis me aulad ko maa ya baap se judaa na karne k baray me farmaya gya hai,? tasheeh farmaye
Answer: Imam jaffer sadiq a.s se riwayat hay k jab tak bacha doodh ki muddat (yani 2 saal) main ho, is main maan baap baraber k hissedaar hote hain,or jab os ka dhood choot jaay tu phir maan ki nisbat baap ziyada haqdaaar hota hay.or jab baap mar jay tu doosre rishtedaaro k nisbat maan ziyada huqdaar hoti hay.(Ref: wasaelush shia, baab e nikah,hadees#1, chapter#81.). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad (s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mohammad harfan ya mohammad romaan ye naam rkh sakte h bachhe ka..ubaya ibn umayya ibn harfan ye sahabi ka naam hai.or agar ha to inke matlb bhi bata dijiye plz.
Answer: Ye 2 naam rakhna jaiz hain. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 387 , Eidition 1417 hij). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamu alaykum Me apne bete ka nam mohammad ali rakh na chahta hu kya ye sahi he
Answer: Je haan rakh sakte hen balkeh mustahab hai (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 387 , Eidition 1417 hij). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad (s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya main bachay ka name Muhammad musa rakh sakti hun?
Answer: Je haan rakh sakti hain balkeh ye mustahab bhi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 387 , Eidition 1417 hij). Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Bachey ke bal katwana islam me ku lazmi hI
Answer: Bachay ki paidaish k sathwain din sar mundwana mustahab hay. Lazim nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #387 , Eidition 1427 hij). Update on dated 05-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Hamal agar gir jaye to us Hamal ka kya Krna hoga
Answer: Agar 4 month mukkamal ho chukay hoon to usay ghusl diya jaey, hunoot kia jaey or kafan dia jaey laikin namaz nah perhi jaey laikin agar is se kam umar ka ho tu ehtiyaat e wajib ki bina par is ko aik kaprhay main lapait ker dafan kia jaey,laikin agar is ki khilqat mukammal ho tu is sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per is per 4 month wale ahkaam jaari hoon gay. (Ref: Minhajus sliheen, jld#1, maslah#:330). Update on dated 29-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam o Alaikum kiya mai aapnay maa baap ki ijazat k baghair aapnay paisoo sai ziyarat pai jasakta hoon.(aagar maa naaraz hoti ho)
Answer: Agar walidain ko aulad se jo muhabbat hoti hay oski wajah se aulad ki ziyarat per jaane se unko aziyat ho, to phir jaiz nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1387). Update on dated 29-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salmam my question is when child iS born and the money gifted to child parents is allowed to use that money or its only.used by child
Answer: Wali paise apne paas rakh sakta hai lekin us k liye zaroori hai k un paison ko faqat bache par kharch kia jaaye.(Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0445/) . Update on dated 18-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ASSALAMOALaIKUM my question is agr galti se maa baap se badtamizi se baat kr di jaye to maafi kaise maange unse ya allah se kia trah se ...?
Answer: Dono se,Maa baap sai maafi mangne k baad Aap sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gi.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.aap koshish karain k aap khud ko dosri mufeed kaamo main masroof ker lain jaisay khail, perhae waghaira waghaira or har os cheez se perhaiz karain jo aap ko in kaamo ki janib ubhaaray. (E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). Update on dated 13-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).