Question: agar koi biwi apne husband ko bacho ko leke pareshan (blackmail) kare or uske aami se dur rakhe family se dur kare to husband ko ky karna chaye or agar husband dusri shadi karna chata h to ky sahi h ki galt h
Answer: Mard k liay dosri shadi karna jaiz hay. Or 2 saal ki umar tak bachay per maan baap ka baraber ka huq hay laikin 2 saal k baad baap ka huq makhsoos ho jaata hay. Ref: ( minhaj us saliheen jld 3 masala no 200+ (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2422). Update on dated 26-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Islam me talaq hone k bd beti kis k pas rahe gi is ka kya kanoon ha?
Answer: Jab tak lerka ya lerki 2 saal k nah hojaen unka baap unko unki maa se juda nahi ker sakta is liay k bachon ki negehdaasht maan or baap dono k zimme hai or ahwat or aola(behter) ye hai k bachon ko 7 sal tak unki maan se juda nahi kiay jaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 41,Mafhoom e Maslah # 2422-2462). [Updated on 08-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: As salam o alikum mera sawal ye he..Bachy ki pedaish per relatives ki taraf se de jane wali amount ko Kia parents us kr sakty he ? or relatives jo be bachy ko gift deaty he Kia wo dosry bachy ki pedaish per use kr sakty he ?
Answer: Wali paise apne paas rakh sakta hai lekin us k liye zaroori hai k un paison ko faqat usi bache par kharch kia jaey or wo bhi on maqamaat per jahan wali k liay kharcha karna waji nah ho, Q k wajib akhrajaat tu wali per wajib hain.(Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0445/) . [Updated on 16-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia bachay ka naam sirf uska baap rak skta hay ... ya ma ka bi koi haq hota hay .... ??? Sir maa apnay bachay ka naam adan rakna chahti hay or baap usman... ab ham kia Karay ???
Answer: Bachay ka achcha naam bachay ka haq hay apne walid par. bacahe ka naam rakhne ka huq baap ka hay. Ahadees k mutabiq ambiya, Masomeen (a.s) waghaira k naam per bache ka naam rakhna mustahab hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 387 , Eidition 1439 hij). [Updated on 19-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: aslam o mera sawal h k mai apne bete ka naam syed muhammad mustafa ali shah rakhna chata ho yeh nam sahi he ya nhi mujhe mashwra den or dosra naam agar rakon is k ilawa or syed muhammad haider ali shah rakhna ho to donon ma se konsa sahi hoga
Answer: Dono naam rakh saktey hain.Ahadees k mutabiq ambiya, Masomeen (a.s) waghaira k naam per bache ka naam rakhna mustahab hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 387 , Eidition 1439 hij). [Updated on 23-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar larka jahaiz na laina chahe q k islam ma is ka koe concept nhi habut us k parents majboor karain is situation ma un ki Attat lazim ha ??
Answer: Is tarah k umoor main waldain ki ita,at karna zarori nahi hay, laikin on se bad tamizi nah ki jaey. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#1, maslah#30). Update on dated 15-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ASsalm mualikum Aik banday nay do shadian ki uski do biviyan hain or dono biviyon me say 2 2 bachay hain kia wo bachay saggay hogain apas me ya sotele
Answer: Ye bache apas main mehram hain. Sotele nahi kehlaingay. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#3, maslah#90) Update on dated 09-11-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agr baap ghalti pr hony k bawjood ghr mai sb py ghusa kry apni Bivi r aulad ko gandi ghaliya b dy r ghr mai fasaad b kary tu aesi surat mai kia hukam h baki ghr walu k lye?
Answer: Imam Jafar e Sadiq a.s. nai farmaya hai k : jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghazab sai ghooray jab wo waaldain is par zulm kar rahay hon to khuda is shaks ki namaz qabool nahi karta. Is k alawa waaldain sai naiki karna un tamam aamal sai afzal hai jin k zarie Allah ka qurb hasil kia ja sakta hai. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #298-9 pg # 175-6 Eidition# 5). [Updated on 14-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: میں نے اپنی بھانجی کا نام رکھنا ہے اس کے لئے کون سا نام ہو گا سہی 27 دسمبر کو پیدا ہوئی 2019 میں
Answer: Bachay ka achcha naam bachay ka haq hay apne walid par. Ahadees k mutabiq ambiya, Masomeen (a.s) waghaira k naam per bache ka naam rakhna mustahab hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 387 , Eidition 1417 hij). اللہ تعالی کی عبودیت کے مفہوم پر مشتمل ا سماء کے مطابق نام رکھنا مستحب ہے۔چنانچہ پیغمبر اکرم ﷺ باقی انبیائے کرام،حضرت علی علیہ السّلام،امام حسن علیہ السّلام امام حسین علیہ السّلام جناب جعفر طیار، طالب،حمزہ اور حضرت فاطمۃ الزہرا علیہا السلام کے اسماء کے مطابق نام رکھنا مستحب ہے اور اسلام اور اہل بیت علیہم السّلام کے دشمنوں کے نام کے مطابق نام رکھنا مکروہ ہے۔ (Ref:jadeed fiqhe masail urdu,aqa sistani ) [Updated on 24-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: le palak bache k walid ka naam change kr sakte hen? Agr nahi to wjaa kya hai. Plz help me
Answer: Adoption(Gaud lene) men koi harj nahi albatta agar bachay ki adoption ki jaay to is baat ka khayaal rakha jay k bachay k shajra e nasab or is ki family say is ka ta’al’luq mehfooz rahe. (Ref :Mafhoom e E-mail Recv from A.Sistani(d.b), 24-12-2010).Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). [Updated on 09-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]