Question: Aulad ki paidaish se pehle jaan lena k aulad kiya h kiya ye jaiz h ultrasound k zarye
Answer: Jee haan bazat e khud ye jaiz hay (Ref: istiftaat a sistani i 17) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam .. 1 shakhs ki 2 bivia hain 2no sy auladen hain ... wo apas me Sagy bhen bhai keh laye gy yah sutelay ... baap 1 hi h maa alag alag hain...
Answer: Ye bache apas main mehram hain. Sotele nahi kehlaingay. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part #3, maslah #90) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar ek baap bachi ko us ka haq na dai us ko mahana kharcha na dai us ki islam main kia saza hai
Answer: Baap k liay faqat bachon ka naan o nafaqqah wajib hay lehaza mazeed ye aiteraz nahin kia jasakta keh wo mahana kharacha day rahe hain ya nahin. Aur Aulad ko chahiye har haal men apne walden ka ehteraam karain, Q k quran or ahadees ki roshni men walden ka haq buhut barha hai to agar kisi wajah se wo apne huqooq pure nah ker sakain to is ka hargiz ye matlab nahi k aulad bhi un k sath wohi rawayya rakhe. Jesa k Imam Jaffar e Sadiq a.s nai farmaya hai k jo shakhs apnay waldain ko aisi halat mai ghussay sai dekhay jab wo os par zulm kar rahay hon to khuda oski namaz qabool nahi karta hai. (Ref: Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael, Mafhoom e maslah #298, pg #176, Eidition #5). [Updated on 12-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa mira sawal ya hn adr hasnand ke maa koi glt kam kirty hn or wobaty ko pata chal jata hn to kay us waqt b baty par farz hn maa ke izat kirna
Answer: Aulaad per waldain ke sath ahsaan karna aur un ka ehteraam karna wajib hai . (Ref: www.sistani.org, urdu, waldain k huqooq, que:1) [Updated on 10-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya jawan beti apnay baap ko gal per bosa day sakti hai? Islam main is ki ijazat hai?
Answer: Aik jawan larki ke liye jaiz hai ke wo piyar o muhabbat ke tour par apne mehram afrad (jese baap, bhai) ko bosa dai, lekin agar yehi bosa dena shewat ka bais banay to jaiz nahin ho ga. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #468, pg #254). [Updated on 20-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Pls bataiyen k Shia sunni Shadi k baad jo aulad hogi woh kis k firqay ko follow karnay ki paband hay shairiah k hisab sy Mard Shia hy or aurat sunni
Answer: Shia or sunni ki shadi ke liye buniyadi taur par maslah ye hai ke masalan shia mard ko agar apne shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf na ho to wo sunno larki se shadi kar sakta hai aur agar shia mazhab ke tabdeel ho jane ka khouf ho to jaiz nahin hai. is bina par shia mard ko chahiye ke apni aulad ko apne mazhab ke mutabiq taleem dilayei jaye.(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3 , maslah #215,200) [Updated on 02-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya ek maa ko apni aulaad k faisle lena ka haq hai? Kya usko bache k baap se ijazat lene ki zarurat hai? Aj mere shohar ne narazgy ka izhar kiya jab unhay pta chala k maine apni ek saal ki beti ko ganja karvadia unse puchay bagair.
Answer: Bacahe ki parwarish karnay ka haq 2 saal tak bivi or shohar dono ka mushtarak haq hay, is bina per bacahe ko ghusl daina, os k baal ki islah karna, os k nakhun kaatna jaiz hay. ehtiyaat e mustahab hay keh ye kaam dodno ki rizamandi se hoon. (Ref: Tauzihul masael jaame, jild#4, maslah#407) (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Edition #1439 hij, Maslah #401,408). [Updated on 10-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya aik ummati syed bach dopt kr sakty hain bet ya beti
Answer: Jee han, kar sakta hai. Adoption (Gaud lene) men or us ki daikh bhaal karne men or us se muhabbat ka izhaar karne me koi haraj nahin laikin ise apna bacha kehlana jaiz nahin hay. agar bachay ki adoption ki jaaye to is baat ka khayaal rakha jaye ke bachay ke shajra e nasab or is ki family say is ka taaluq mehfooz rahe. is bache ko adopt karne wale ki wiraasat nahin mile gi or is bache ko haqeeqat bata den albatta is tarah se ke is par zehni dabaao na parhe or is ka naam apne bete ke tour par (I.card) na likhwaain. chunache kisi nuqsaan ya mushaqqat ki waja se aisa karna mumkin na ho to (is baat ko mehfooz karen) or likhen or is per ghawaah banain. or ye adopt kia hua bacha adopt karne wale ka na mehram hay or agar jise adopt kia gaya hay wo larka hay tu adopt karne wale ki wife or betiyon ke lie ye na mehram hay or agar jise adop kia gaya hay wo larki hay tu adopt karne wale liye or adopt karne wale ke beton ke liye ye na mehram hay. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02838/ urdu, guad lena, sawaal #1, english, ques & ans, topic :adoption ques #1,2). [Updated on 08-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: باپ کے مرنے کے باد بچوں کا وارث کون ہے؟
Answer: Dada or agar Dada bhi nahi ho to Hakim-e-Sharah(Mujtahid) hota hay . (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #57,67 , Eidition 1427 hij). [Updated on 11-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam , Waldain k adaaab bacha kiss tarha karay , un k hukook or specially a list of adab e guftugo to parent for young generations . please send some notes for kids ir referal vedio clips .
Answer: Aulaad par walidain k 2 terhan ke haqooq wajib hain : 1. Agar woh ghareeb hoon to un se naik sulook aur infaq karna, un ki zaroriat zindagi aur jaiz khahishaat ko aik aam aur fitri zindagi ke taqazoon ke mutabiq poora karna hai aur un wazifo ka anjaam nah dena ehsaan faramoshi hai . aur yeh ehsaan karna un ke halaat, aaraam aur sakhti, taaqat aur kamzori ke paish e nazar mukhtalif tarah se ho sakta hai . 2. Amal aur zabaan se naik sulook karna, amal aur zabaan se badtameezi nah karna agarchay is par zulm kya ho. Hadees mein aaya hai ke agar maa baap aulaad ko marain tab bhi un se bad tameezi se paish nah ayen balkah yeh kahain keh kkhuda aap ko maaf kere . yeh dono wazifa aulaad ke liye hai. jab ke walidain ki zimma daari bhi aulaad ke liye 2 tarah ki hai : 1. maa baap ko takleef is liye hoti hai ke woh aulaad ka bhala chahtay hain aur jo kaam woh injaam dete hain agarcheh is ka un se koi rabt nah bhi ho onhen takleef pohonchti hai, aulaad ko aisa kaam nahi karna chahiye jis se onhen aziat ho chahay woh usay mana karen ya nah karen . 2. maa or baap ko is liye takleef hoti ho keh un mein kuch buri adaten payi jaati hoon jo onhen pasand nah hon agar walidain ko bachon k aisay kamon se aziat ho to bachon par is ka asar nahi parhe ga aur bachon par un ki is terah ki tawaqqaat ko poora karna wajib nahi hai aur yaheen se maloom hota hai ke walidain agar buray kamon ki taraf hukum karen ya achay kamon se mana karen to un ki itaat wajib nahi hai .(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01882/). [Updated on 30-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]