Question: What will be kofara on child beating case?
Answer: Bachon ko marna Jaiz nahin hai. aur maarne ki wajah se diyat (wo maal hay jo nuqsan uthanay wale insan ya us ke wali ko nuqsan punhchane wala insan deta hai) wajib ho jati hai. Agar chehra surkh ho jaye to diyat derh(1.5) deenar sharaei hai, aur badan men is ka aadha hai, Aur agar chehra kabod ho jaye to diyat chheh(6) deenar sharaei hai, aur badan me is ka aadha hai. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01802/ ). [Updated on 04-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa...Hazrat sahib meny apny bety ka nam Muhammad Arshman rkha h kya ye durust h?r
Answer: Is web site per fiqhe jafferia ke mutabiq jawaabaat dia jaate hain . Bache ka ye naam rakhna jaiz hain balkeh Muhammad rakhna to mustahab (sawaab) bhi hay. mustahab (sawaab) he ke bache ka achha nam rakha jae chunke yeh bachhe ka bap par haq he, or riwayat me aya he k "sab se sachha nam wo he ke jis me Allah jall shanohu ki ubudiyyat shamil ho ( maslan Abdur rahmaan,abdurraheem ) or namo me sab se achha ambiya salwatullahe alyhim ke nam he( maslan aadam ,nooh ,ibraheem, Ismail,yaqoob ,mosa ,essa , Muhammad)" or inhi ke sath aeema alyhemusslam k namo(ali,Hasan, Hussain )ko bhi mulhiq qiya jayega. (Jaffer,talib,hamza ko bhe ache namo me shumaar kia hay),or nabi salllaho alyhe w aalehi wasllam se marawi he k aap ne farmaya: jis k yaha char awlad ho or usne un me se ek ka nam bhi mere nam se nahi rakha to usne ne mujh par jafa ki" or makrooh he agar bachhe ka nam mohammad ho to us ki kuniyyat abul qasim rakhi jae or eesi tarh makrooh he ke aemma salwatullah alyhim ajmaeen ke dushmano ke nam se bachhe ka nam rakha jae. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Mafhoom e Maslah #387, Edition #1443 hij,jadeed fiqhe masail,aqa sistani urdu). [Updated on 23-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Can We keep our Name is Mohammad Nabeeh Khan
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Jee han, rakh sakte hain. Bachay ka acha naam bachay ka haq hay apne walid par. Ahadees ke mutabiq Anbiya, Masomeen (a.s) waghaira ke naam par bache ka naam rakhna mustahab hay. 2: Allah ki ubudiyat ke mafoom par mustamil naam (maslan Abdul-ur-Rahman, Abdul-ur-Raheem) ke mutabiq naam rakhna mustahab hai. Baqi anbiya e karam, Hazrat Ali(a.s), Hazrat Hasan(a.s), Hazrat Hussain(a.s), Hazrat Jafar Tayyar, Talib, Hamza, aur Hazrat Fatima(s.a) ke naam ke mutabiq naam rakhna mustahabb hai aur islam aur Ahlabait(a.s) ke dusmanon ke naam ke mutabiq naam rakhna makrooh hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatulah Sistani(d.b), Part #3,Maslah #387, Edition 1439 hij). Jadeed Fiqhi Masail, Maslah #573, pg #287). [Updated on 11-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa my name shagufta Naqvi mere sister is worried because your husband beta adopt kerna chta he mere bahnoe ka bahi ja beta he kea ye teek hi ya nahi please tell me thanks
Answer: Adoption (Gaud lene) men aur us ki daikh bhaal karne men or us se muhabbat ka izhaar karne me koi haraj nahin laikin bache ko apna bacha kehlana (yani bacha gaud lene wale is bache ke baare me ye kahen ye hamara bacha hai) jaiz nahin hay. agar bachay ki adoption ki jaaye to is baat ka khayaal rakha jaye ke bachay ke shajra e nasab aur is ki family se is ka taaluq mehfooz rahe. is bache ko adopt karne wale ki wiraasat nahin mile gi aur is bache ko haqeeqat bata den albatta is tarah se ke is par zehni dabaao na parhe aur is ka naam apne baite ke tour par (I.card) na likhwaain. chunache kisi nuqsaan ya mushaqqat ki wajah se aisa karna mumkin na ho to (is baat ko mehfooz karen) aur likhen aur is par ghawaah banain. aur jise adopt kiya jaye agar wo larka ho to adopt karne wale shakhs ki biwi ke liye na mehram hoga, lihaaza dono ke darmiyan parday ke ahkaam jaari honge, isi tarah jise adopt kiya jaye agar wo larki ho to adopt karne wale shakhs liye na mehram hogi, lihaaza dono ke darmiyan parday ke ahkaam jaari honge. (Ref: link: https://www.sistani.org/urdu/qa/02838/ urdu, guad lena, sawaal #1, english, ques & ans, topic: adoption, ques #1,2). [Updated on 17-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa my name shagufta Naqvi mere sister is worried because your husband beta adopt kerna chta he mere bahnoe ka bahi ja beta he kea ye teek hi ya nahi please tell me thanks
Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 15-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: bivi ne or husbadn ne dono ne 2sri shadi krli hai jbky unki 2 betiyan hain or wo maa k pass hain ab baap custody chahta hai kio k wo agla banda betiyo k lye gair mahram hai to eska shariyat mai kya hukam hai ??
Answer: 1: Do saal ki umar tak bachay par maan or baap dono ka barabar ka haq hai lekin do saal ke baad ye haq baap se makhsoos ho jaata hai. yani do ke baad bache par sirf baap ka haq hota hai, maan ka haq khatam ho jata hai. 2: Jis shakhs ne aap ki pehli biwi se shadi ki hai agar us ne aap beti ki maan ke sath shadi ke baad aik dafa bhi hambistri ki hai to aap ki beti us ki mehram ho jaaye gi. lekin agar shadi ke baad us shakhs ne aap beti ki maan ke sath shadi ke baad aik dafa bhi hambitri nahin ki, to aap ki beti us ki na mehram hi rahe gi. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3 maslah #200. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2351,2352,2422). [Updated on 14-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar soteli maa bachi rakhna na chahay
Answer: Do saal tak larka ya larki ki parwarish or negehdaasht, maan aur baap dono ka barabar ka haq hai or zimmedari bhe hay aur do saal ke bad ye haq or zimmedari baap se makhsoos ho jati hai. is bina par bachi apne baap ke pass hi rahe gi, aur soteli maan agar nahin rakhna chahti to us ki marzi hai Q ke soteli maan par us bachi ko koi haq haasil nahin, balke ye haq to baap ke liye hai ke wo bachi ki parwarish or negehdaasht kare. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2422. + Minhaj us Saliheen, part #3, maslah #401). [Updated on 14-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam .ak goud li v aluad ky nikkah py knsy baap ka name likha jahy ga os larki ky nikkah py
Answer: Aap ko aik sharaei masale ki taraf mutawwajah kiya jata hai ke jo Adoption (Gaud lene) walon ke baare men hai aur wo ye hai hai Adoption (Gaud lene) men aur us ki daikh bhaal karne men or us se muhabbat ka izhaar karne me koi haraj nahin laikin bache ko apna bacha kehlana (yani bacha gaud lene wale is bache ke baare me ye kahen ye hamara bacha hai) jaiz nahin hay. Agar bachay ki adoption ki jaaye to is baat ka khayaal rakha jaye ke bachay ke shajra e nasab aur is ki family se is ka taaluq mehfooz rahe. is bache ko adopt karne wale ki wiraasat nahin mile gi aur is bache ko haqeeqat bata den albatta is tarah se ke is par zehni dabaao na parhe aur is ka naam apne baite ke tour par (I.card) na likhwaain. chunache kisi nuqsaan ya mushaqqat ki wajah se aisa karna mumkin na ho to (is baat ko mehfooz karen) aur likhen aur is par ghawaah banain. aur jise adopt kiya gaya hay agar wo larka hay to adopt karne wale shakhs ki biwi ke liye na mehram hoga, lihaaza dono ke darmiyan parday ke ahkaam jaari honge, isi tarah jise adopt kiya gaya hay agar wo larki hay to adopt karne wale shakhs liye na mehram hogi, lihaaza dono ke darmiyan parday ke ahkaam jaari honge. (Note: Is masale ko madde nazar rakhte hue zaroori hai ke nikah naame par larki ke asal baap ka name likha jaye). (Ref: link: https://www.sistani.org/urdu/qa/02838/ urdu, guad lena, sawaal #1. + english, ques & ans, topic: adoption, ques #1,2). [Updated on 14-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bhai ny sister ka beta Pala Kia wo Bhai sister k bety ko apna name Ya B form apny name sy b was skta hy
Answer: Adoption (Gaud lene) men aur us ki daikh bhaal karne men or us se muhabbat ka izhaar karne me koi haraj nahin lekin bache ko apna bacha kehlana (yani bacha gaud lene wale is bache ke baare me ye kahen ye hamara bacha hai) jaiz nahin hay. agar bachay ki adoption ki jaaye to is baat ka khayaal rakha jaye ke bachay ke shajra e nasab aur is ki family se is ka taaluq mehfooz rahe. is bache ko adopt karne wale ki wiraasat nahin mile gi aur is bache ko haqeeqat bata den albatta is tarah se ke is par zehni dabaao na parhe aur is ka naam apne baite ke tour par (I.card ya B form) na likhwaain. chunache kisi nuqsaan ya mushaqqat ki wajah se aisa karna mumkin na ho to (is baat ko mehfooz karen) aur likhen aur is par ghawaah banain. aur jise adopt kiya jaye agar wo larka ho to adopt karne wale shakhs ki biwi ke liye na mehram hoga, lihaaza dono ke darmiyan parday ke ahkaam jaari hon gay. (Ref: link: https://www.sistani.org/urdu/qa/02838/ urdu, guad lena, sawaal #1, english, ques & ans, topic: adoption, ques #1,2). [Updated on 15-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum Mera sawal ye hai ki baad azan bache ka naam kaise pukare
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Zaroori nahin hai ke bache ka naam saatwen din hi rakha jaye balke saatwen din naam rakhna Mustahab hai, lihaza agar pehle din naam rakha jaye to rakh sakte hain, is me koi haraj nahin. 2: Riyawat me hai ke Imam Jaffar Saqid(a.s) farmate hain: 'humaray han koi bacha paida nahin hota magar ye ke hum us ka naam Muhammad rakhen, pas jab saat din guzar jayen to hum chahen to us ka naam tabdeel kar den chahen to tabdeel na karen'. Lihaza is riwayat par amal kiya jaye to pehle din se saatwen din tak Muhammad naan rakh sakte. Phir chahen to saatwen din naam tabdeel kar den ya chahen to tabdeel na karen. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #368. + Wasail-us-shia, part #21, pg #392). [Updated on 23-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]