Question: Assalamualikum. A child has a right to have breastmilk for two years. Is it right.
Answer: It is recommended, if possible, that a child is suckled for full 21 months. And it is not preferred that it would be suckled for more than two years. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2454). Update on dated 21-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agar meri bhatiji ko meri biwi ne doodh pilaya ho toh kia wo mere bete ke lye halal hai shadi k liye.. Mola SALAMAT Rakhe...
Answer: Agar aap ki biwi ne wo 8 shartain jo mehram bannay ka sabab banta hai aap ki biwi k bachay jo peda ho chukay hoon ya baad me peda hongay wo aap k bhatijay k mehram hai or on se nikah haram hay. Sharait ki malomaat k liay is link per click karain. http://www.sistani.com/urdu/book/61/3649/ . (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2428,2438). Update on dated 21-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamualaikum Kya koi aurat uske bhai ko doodh pila sakti hai
Answer: Jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2448). Update on dated 18-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mery bhai nay meri nani ka doodh piya hai. is hisb sy woh mery mamu kay razai bhai huway to kia ham apny bhai ki shadi apny mamu ki beti sy kr sakty hai ya nai. bhai nay dodh mamu sy jo choti khala thi us time piya tha.
Answer: Agar koi orat apni lrki k bache ko (matlb apne nawase ya nawasi ko) pura doodh pilaye (matlb un sharton k sath jo mehram bannay k leye zarori hain) to wo larki apne shohar pr Hram hojayegi.or aap k mamo ki baiti se aap k bhai k shadi jaiz nahi hogi. Sharait ki malomaat k liay is link per click karain. http://www.sistani.com/urdu/book/61/3649/ . (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2436,2428,2438). Update on dated 22-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: maa ka doodh na hone ki koi dua ya koi wazifa?
Answer: Agar aurat chahay k os ka doodh ziada ho jae to surah nahal surah # 16 ki ayat # 66 ko pani par parhay aur pi jae inshallah doodh ziada ho jae ga. (Ref : Payam E Shifa pg # 284) Update on dated 18-08-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: islam main bachay ko doodh pilanay ka time period kiya hai?agar us time period say ziyada pilaya jaye to usk kiya nuqsanat hain?
Answer: Mustahab hai ke 21 mahine doodh pilaaya jaae, or 2 saal se ziyada pilana munasib nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2454). Update on dated 17-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam Walekum kya aap mujhe yeh bataa sakte hai ki bacho ko kithni umar hai milk pelani ki ladka and ladki Masla ke hisaab se Breastfeeding
Answer: Mustahab hai k Aurat bachay ko puray 21 mahinay doodh pilaya jae aur 2 saal sai ziada doodh pilana munasib nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2454). Update on dated 17-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aoa sir kya razai behn Bhai ka nikah ho skta h????
Answer: Agar koe aurat aik shohar ka dhodh kae bacho ko pilae tu wo sab bache apas mai bhi aur is shohar k or is aurat bache jis ne dhodh pilaya ho mehram ban jate hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2441). Update on dated 18-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aoa sir kya razai behn Bhai ka nikah ho skta h????
Answer: Agar koe aurat aik shohar ka dhodh kae bacho ko pilae tu wo sab bache apas mai bhi aur khud is shohar k aur is aurat k jis ne dhodh pilaya ho mehram ban jate hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2441). Update on dated 18-08-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya 16 sal ka larka apni maa ka doodh pee sakta ha
Answer: Baligh insaan k liay ye kaam Ehtiyate wajib ki bina per jaiz nahi hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #905, Eidition 1417 hij). Update on dated 17-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)