Question: Kya aurat napaki ki halat main yani f k bd apny bachy ko doodh pila skti ha
Answer: Jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #354). Update on dated 17-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kaya koi aurat kisi 10 years ka bacha joa abhi baligh naheen ha aur samagh daar bhi naheen ha us ko apna doodh pila sakti ha.
Answer: Aurat k lie ehtiyat e lazim ye hai k apna badn aur sir k baal is larkay sai chupay jo abhi balig to na hua ho laikin itna samajhdar ho k achay aur buray ko samajhta ho aur ehtimal ho k aurat k badan par is ki nazar prnay sai is ki jinsi khowaish baidar ho jae gi.agr wo larka itna samjhdaar na ho tou doodh pilana jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399+ Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #905, Eidition 1417 hij). Update on dated 17-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalam o Alaiqum !! Baitay (son) ya baiti (daughter) ko doodh kitnay arsay pilana chahyay ? Mehrabani kar k mujay email per jawab day dain mairay pass koi toazee nahe hay or agar aap k pas soft form may toazee ho tho wo b email kar dain khuda hafiz
Answer: Mustahab hai k aurat bachay ko puray 21 mahinay doodh pilaya jae aue 2 saal sai ziyada doodh pilana munasib nahi hai. (yani pilasakte hai laikin accha nahe ) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2454). Update on dated 17-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asslam-ul-alikum... Mera ak sawal ha.. Jab mein 9 mnths ka tha meri phopho nay mjhe apna dhood pilaya tha 2 bar.. Lekin ab mein unhe ki beti say shadi krna chahta hn.. Kyn kay hum ak dosre ko pasand krte hain.. Tu kia hum shadi kr sakte hain?
Answer: Jee haan is surat mai shadi ki jaskti hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2438). Update on dated 17-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: AOS hambistry k baad mother bachay koo bina ghusal k feed krwa skty hai?? baby mother feed nhe krta
Answer: Jee haan ye kam jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #354,355). Update on dated 17-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: sir mera question ye hai k humbistri k baad orat just wazu kar k apny bachy ko dood pila sakti hai ya Gusal lazmi karna hai ? jazak allh
Answer: Jee haan ye kam jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #354,355). Update on dated 17-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia meri sister nay jais aurat ka dood paiea ha aus aurat ki sarri ollad meary lay bi meraham ha
Answer: Wo aurat or os ki aulad aap k liay mehram nahi hoon gay. (Ref:Ayat Ullah Khumeni(r.a), Tauzee hul masael,Mafhoom e Maslah #2463). Update on dated 29-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera betay ki age iss waqt 22 months hai. Allah ne mje aik aur aulad se nawaza hai.Kia mera pehla beta maa ka dood pee sakta hai
Answer: Jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2454). Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam sir mera beta abi 4 month ka b complete nai hwa or main pregnent hogai to kia ma bachy ko dodh pila sakti hn ?? Or dodh pilane se tklif hone lgi mujhy jbse pregnency ka pta chala
Answer: Mustahab hay k bachay ko poray 21 maah dhoodh pilaya jaey, laikin maan k liay apna dhoodh pilana wajib nahi hay. agar aap k dhodh pilana hamal ko saqit kerne ka sab ban raha ho tu phir aap apna dhoodh nah pilain, Q k hamal ko saqit kerna jaiz nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2417,2454). Update on dated 23-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Note: Aap doctor se mashwarah karain, or ehtiyati tadabeer apna,ein.
Question: qhala ka doodh piya hi kya mai unki ldki se shdi krskta hu
Answer: Agar dhodh 8 sharaet k sath piya ho tu phir aap apni khala ki baiti se shadi nahi ker sakte. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2483). Update on dated 25-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).