Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 15563
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar pehla Bacha abhi ek sal ka ho r pregnancy ho jaey to bachy ko kb tak dudh pila skty hy

Answer: Aap ki marzi hai jitne arse tak bache ko doodh pilayen albatta sharaei taur par Maan ke liye Mustahab hai ke bache 21 mahine doodh pilaaye or 2 saal se ziyada pilana munasib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42 Maslah #2454). [Updated on 27-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15659
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum sir meri chach ny meri aik behn ko dudh pilaya hai to kia us k bety k sth meri dusri behn ki shadi ho skti hai?

Answer: Jee han, ho sakti hai Q ke wo dono aapas men na-mehram hain. jis larki ne dhoodh piya tha faqat wo os larkay ki behen shumaar hogi. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Masalah #2428). [Updated on 30-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15680
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia maa apnay 13 sal k nabalig bachay ko apna dhoodh pila skti hay, dwaye k tor pr agr wo bemar ho to.

Answer: Agar balig nahin hai to pila sakti hai. lekin agar bache ki umr do saal se ziyada ho jaye to use doodh pilana munasib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2454). [Updated on 03-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16027
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar maa ka dudh nahi aa raha ho or kisi muslim aurat ka dudh arrange nahi ho raha ho or kisi ghair muslim(Hindu) aurat ka dudh arrange ho to kia us hindu aurat ka dudh apni bachi ko pila sakte hain ?

Answer: Jee pila sakte hain Q ke mustahab hai keh bache ke liye jo daya moontakhab ki jaaye woh musalmaan ho, aaqil ho, jismaani, akhlaaqi aur nafsiyaati aitbaar se pasandida safaat ki maalik ho. Yeh munaasib nahin keh daaya kaafir, ahmak, burhi ya badsurat ho. Yeh makrooh hai keh kisi aisi daaya ko muntakhab kiya jaaye ho zina zaadi ho ya jis ka dhoodh aise bache se ho jo haraam kaari se paida hua ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition 42, maslah #2452). [Updated on 03-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16112
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ager Mari bahan na Mari saki khala ka dood pia ho or usi khala ki bate see mara Nika ho to jayaz ha ya ni

Answer: Jee han, jaiz hai Q ke aap ki khala ki beti aap ki Rizayei behen nahin hai aur wo aap ki na mehram hai, lihaza aap ka us se nikah jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2438,2438). [Updated on 21-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16113
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ager Mari bahan na Mari saki khala ka dood pia ho or usi khala ki bate see mara Nika ho to jayaz ha ya ni?

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 21-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16145
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Man kitny arsa tuk bachy ko doodh pila sakti hai?

Answer: Maan ki marzi hai jitne arse tak bache ko doodh pilaye, Albatta sharaei taur par Maan ke liye Mustahab hai ke bache 21 mahine doodh pilaaye or 2 saal se ziyada pilana munasib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42 Maslah #2454). [Updated on 31-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16175
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri bachi doodh sahi se nahi pi pati to me breast se Pump krke deti hun. doodh ko thande mausam me rkhna chahye AC chala kar mgr mene adhay ghante tk bahar rkhdia. Ab pilanay se pehle kia aurat apna doodh chakh skti hai? Takay bachay ko koi nuksan na ho.

Answer: Jee han, check kar sakti hain Albatta halaq se neeche na utaaren.kyu ke ehteyaate wajib ki Bina per insaan ka doodh Pina jaiz nahe hay. (Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, mafhoom e maslah #905). [Updated on 09-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16208
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Dudh pilane wali maa kya khaye aur kya na khaye

Answer: Is silsile me hum aap do links provide kar rahe hai aap un me dekh sakti hain ke kaunsi cheezein istemal karni chahiyen or kausi nahin. Link: https://ur-m.iliveok.com/food/dwdh-plny-khy-dwrn-gdh_111921i15882.html https://www.marham.pk/healthblog/doodh-plany-k-doran-muzir-ghizaen/ [Updated on 19-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16364
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri Ammi ne apni Chachi ka doodh piya tha bachpan Mai or Mai unki Chachi ki beti ko Pasand karta ho nikkah Karna Chahta ho kia hamara nikkah ho sakta hai

Answer: 1: Is hawale se zel me chand sharait bayan ki jaa rahi hain agar in tamam sharait ko madde nazar rakhte hoye aap ki ammi ne apni chachi ka doodh piya tha to aap apni chachi ki beti ke mehram ho jayen gay, aur us se nikah nahin kar sakte Q ke doodh peene ki wajah se chachi ki beti aap khala ban gayei hain; Lekin agar in sharait ko madde nazar nah rakhte hoye aap ki ammi ne apni chachi ka doodh piya tha to aap apni chachi ki beti ke mehram nahin bane gay, aur us se nikah kar sakte hain. 2: Bache ko doodh pilana jo mehram banne ka sabab banta hai us ki aath(8) sharten hain. 1. Bacha zinda aurat se doodh piye. 2. Aurat ka doodh fail e haram ka natija na ho. 3. Bacha pistan se doodh piye. 4. Doosd khaalis ho aur kisi doosri cheez se mila howa na ho. 5. Doodh aik hi shohar ka ho. 6. Bacha kisi beemari ki wajah se doodh ki qay(vomit) na kar day. 7. Bache ko is qadar doodh pilaya jaye ke bache ki hadiyan is doodh se mazboot hon or badan ka ghost bhi bane. 8. Bache ki umr(age) ke do saal mukammal na howe hon. In tamam sharaait ki taseelaat maloom ke liye hum aap ko aik link provide (faraham) kar rahe hen aap us link ko visit karen to aap ko sharait ki tafseelaat maloom ho jayen gi. Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/25323/ 3: Doodh pilanay se mehram banay ke teen miyaar hain: 1. Bache ne is had tak doodh piya ho ke awaam ki nazar main gosht banne aur haddiyaan mazboot hone ka sabab banay. 2. Chaubees (24) ghante ke dauran is bache ne kisi aur ka doodh nah piaya ho. 3. Pandra (15) martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho. Agar in tamam sharait ko madde nazar rakhte hoye, bache ko doodh pilaya jaye to mehram ho jayen gay warna nahin. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, edition #1443 hijri, maslah #116,117. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2438,2439). [Updated on 17-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!